Namaz-e-Janaza
Namaz-e-Janaza Farz Kafaya Hai.Agr Chand Admi Kisi Ki Namaz-e-Janaza Parh Lain Tu Baqi Sab Bari-ul-Zima Ho Jain Gy.Agr Koi Bhi Na Parhay Tu Sab Gunhagaar Hon Gy Is Ky Liye Jamaat Shart Nahi.Agr Aik Admi Bhi Parh Ly Tu Farz Ada Ho Jay Ga.Namaz Janaza Wajab Honay Ki Wohi Shrait Hain Jo Or Namazo Ky Liye Hain.
- Namaz-e-Janaza Ki Chand Shrait
- Namaz-e-Janaza Parhnay Walay Ka Qadar,Aqil-o-Baligh Muslman Hona
- Jis Ki Namaz-e-Janaza Parhi Jay Is Ka Muslman Hona Zarori Hai
- Miyat Ka Jism-o-Kafan Paak Hona Chahiye
- Jaha Namaz-e-Janaza Ho Is Ky Agay Janaza Hona Chahiye
- Janaza Ko Zameen Par Rakhna Chahiye
- Janaza Muslla'a Ky Agay Qibla Rukh Hona Chahiye
- Miyat Ka Woh Hissa Chupa Hona Chahiye Jisay Azroy Sheryat Chupana Zarori Hai
- Miyat Ko Imam Ky Muhazi Hona Chahiye.
- Namaz-e-Janaza Ka Tareeqa ( Namaz-e-Janaza Main Do Fraiz Hain )
- Chaar Martba "Allahu Akbar" Kehna
- Kharay Ho Kar Namaz-e-Janaza Parhna.
Is Main Teen Sunat Moukda Hain
- Allah Ki Hamad-o-Sana Krna
- Nabi Akram (SAW) Par Darood Bejhna
- Miyat Ky Liye Dua Krna
- Namaz-e-Janaza Parhnay Ka Tareeqa Hasb-e-Zeel Hai
Muqtadi Takbeerain Ahista Kehay Or Imam Zoor Sy.
- Janaza Ko Kandha Dena Ghalt Fahmiya
Islam Ky Arkan
Islam Main Dakhal Honay Ky Liye Zarori Hai Islam Ky Arkan Ko Taha Dil Sy Mana Jay Agr In MAin Sy Kisi Aik Ko Bhi Chor Diya Jay To Insan Muslman Nahi Rehta. Islam Ky Paanch Arkan Hain,
1.Toheed
2.Namaz
3.Roza
4.Haj
5.Zakat
Agr In Main Sy Koi Arkan Insan Sy Chot Jay Tu Woh Muslman Nahi.
1: Toheed
Allah Ta'ala Ko Sachy Dil Sy Manna Or Is Ky Sath Kisi Ko Shareek Na Thahrana Toheed Hai. "Dar Haqeeqat Naiki Yeh Hai K Insan Allah Ta'ala Par Iman Lay,Or Qayamat Ky Din Par,Or Farshitoo Par,Or Kitaaboo Par,Or Tamam Nabiyou Par." (Al-Baqra 177)
Is Baat Par Eqeeda Rakhna K Is Kainaat Ka Aik Hi Rab Hai,Woh Akeela Hi Isay Paoda Krnay Wala Hai,Wohi Is Ka Maalik Hai,Wohi Is Ki Tadbeer Krnay Wala Hai,Or Wohi Hamy Roozi Denay Wala Hai,Andaza Krnay Wala Hai,Zinda Krnay Wala Hai,Marnay Wala Hai Or Wohi Nafa-o-Nuqsaan Ka Maalik Hai.Is Ky Seewa Koi Rab Nahi Or Woh Jo Chahta Hai Krta Hai,Or Jis Cheez Ka Arada Kar Leta Hai Isi Ka Faisla Krta Hai,Jisay Chahta Hai Izat Deta Hai,Jisay Chahta Hai Zaleel Krta Isi Ky Hath Main Asmaano Or Zameen Ki Badshahi Hai Or Har Cheez Par Qudrat Rakhnay Wala Hai.Is Ky Kaamo Main Is KA Koi Shareek Nahi Or Na Hi Is Ky Mammla'h Par Koi Ghalba Rakhnay Wala Hai.Tamam Makhloqaat Farshtay Or Anas-o-Jin Sab Isi Ky Ghulam Or Bandy Hain.
Arshad Bari Ta'ala Hai. "Beshak Allah Ta'ala Is Baat Ko Mauf Nahi Frmatay K Is Ky Sath Sherk Kiya Jay Or Woh Is KY Alwa Jisay Chahta Hai Mauf Farma Deta Hai." (Al-Nisa 48)
2: Namaz
Islam Ny Eqaid Ky Baad Ibadaat Main Sab Sy Zyda Ahum Namaz Ko Tharaya Hai Or Is Ki Fraizat-o-Ahmiyat Ko Bar Bar Quran Shareef Main Bayan Kiya Hai.Chunacha Quran Paak Main Namaz Ki Adaigi Ki Takeed Saat So Jagga Ai Hai.Is Main Abodiyat Ki Puri Shan Badarja Atam-o-Akmal Pai Jati Hai.Yani Jis Main Humara Dil, Humari Zuban, Humari Ankh, Humaray Kaan or Humaray Hath Paon Waghera Azai Jismaani Apnay Apnay Tabai Fraiz Ko Etadaal Or Miyan Ravi Ky Sath Baja Lain Or Humaray Tamam Zahri-o-Batni Qavia Shareek Ibadat Hon .
Namaz Ki Ahmiyat
Allah Tabark-o-Ta'ala Ny Namaz Ki Ahmiyat-o-Fazilat Ko Ojagar Krnay Ky Liye Sura Baqra Ky Pandravain Ruku Main Waziha Frman Nazal Frmaya:
"Pabandi Kro Sab Namazo Ki Or Khasos'n Darmiyani Namaz." (Sura Al-Baqra:238)
Hazoor Akram (SAW) Ka Frman Hai:
"K Namaz Deen Ka Satoon Hai." (Kinz Al-Amaal)
Namaz Ky Fawaid
- Chehrey Ki Nooraniat
- Dil Ka Noor
- Qabar Main Saathi
- Nuzool-e-Rehmat Ka Zariya
- Asmano Ki Kunji
- Jism ki Rahat
- Mizaan-e-Hisab Ka Wazan
- ALLAH (Subhanahu Wa Ta'ala) Ki Raza
- Jannat Ki Qeemat
- Aag Sy Bachao Ka Zariya
Allah (Subhanahu Wa Ta'ala) Hum Sab Ko Panch Waqt Namaz Ada Krnay Ki Toufeeq Ata Frmaaye,Ameen!
3: Roza
Roza Ky Liye Arbi Zuban Main Lafz "Soom" Istamaal Hota Hai."Soom" Ky Laghvi Maini Hain.Ruk Jana, Baz Rehna, Parheez Krna Or Chup Rehna.Istalah-e-Deen Main "Soom" Sy Muraad Hai K Subah Sadaq Sy Gharoob-e-Aftab Tak Khanay Peenay Or Mubashrat Sy Rukay Rehna.
Quran Majeed Main Rozay Ki Ahmiyat
Arshad-e-Bari Ta'ala Hai: "Ay Iman Walo!Tum Par Rozay Farz Kiye Gai Hain,Jaisa K Tum Sy Pahlay Logo Par Farz Kiye Gai Thy Ta Ky Tum Mutqi Ban Jao."(Surah Al-Baqra: 183)
Mazkora Bala Ayat Main Jaha Rozay Ka Farz Hona Sabat Hota Hai,Waha Is Ko Farz Krnay Ki Hikmat Bhi Maloom Hoti Hai Or Woh Hai Taqwa Ka Hasoo.
Is Ayat Sy Rozay Ka Farz Hona Tu Waziha Hota Hai, Magr Yeh Maloom Nahi Hota K Rozay Kab Rakhain Jain.Chunacha Surah Al-Baqra Ki Is Ayat Sy Yeh Baat Waziha Hoti Hai K Yeh Rozay Mah-e-Ramdan Main Rakhain Jain Gain.
"Ramdan Woh Mahina Hai Jis Main Quran Nazal Kiya Gaya, Jo Logo Ky Liye Hadayat Or Hadayat Ky Waziha Dalail Or Haq-o-Batal Main Farq Krnay Wala, Pas Jo Koi Is Mahina Ko Pai Is Ko Chahiye K Rozay Rakhay." (Surah Al-Baqra: 185)
Hazoor Aqdas (SAW) Ny Frmaya: "Jis Ny Iman Or Ihtasaab Sy Ramdan Ky Mahinay Main Rozay Rakhay Tu Is Ky Pichlay Tamam Gunah Mauf Kar Diye Jain Gain."
"Roza Mere Liye Hai Main Hi Is Ka Badla Don Ga."(Sehi Bukhari)
"Jo Shakhs Ramdan Main Kisi Roza Dar Ko Raza Iftar Krai Ga,Is Ky Gunaho Ky Liye Maufi Hai Or Woh Khud Ko Jahnam Ki Aag Sy Bachai Ga Or Usay Roza Dar Jitna Hi Swab Milay Ga Jab Ky Is Roza Dar Ky Liye Apnay Swab Main Koi Kami Waqiya Nahi Ho Gi."(Tarmzi-Ibn-e-Majha)
4: Hajj
Hajj Ky Laghvi Maini Irada Krna,Zayrat Krna,Ghalib Ana Wagheera Hai.Lakin Islam Main Hajj Aik Mashhoor Ibadat Hai.Jo Khana Kabah Ky Tuwaaf (Chakar) Or Makkah Makrma Shaher Ky Mutaidid Muqdas Muqamaat Main Hazir Ho Kar Kuch Adaab-o-Amaal Baja Lanay Ka Naam Hai.Hajj Islam Ky Panch Arkan Main Sy Aik Rukan Hai.Jis Muslman Main Is Ky Farz Hona Ki Shartain Pai Jain Is Par Umer Main Aik Baar Farz Hai.Jin Ky Baghair Hajj Hota Hi Nahi Kuch Kaam Wajab Hain Jin Main Sy Kisi Aik Ky Reh Jany Sy Amoom'n Dam (Qurbani) Wajab Ho Jati Hai.Kuch Kaam Sunt Hain Jin Ky Reh Jany Sy Swab-o-Barkat Main Kami Aa Jati Hai Lakin Hajj Ho Jata Hai Or Kuch Kaam Manna Hain Jin Ky Kar Leny Sy Jarmana Wajab Hota Hai Or Baaz Main Hajj Fasad Ho Jata Hai Or Baaz Main Sirf Swab Main Kami Aa Jati Hai.
Hajj Ky Fawaid-o-Barkaat
Hajj Ky Beshumar Fazail-o-Barkaat Hain Jin Main Chand Aik Nahait Akhtsaar Ky Sath Beyan Kiye Jatain Hain.
Haji Apna Sab Kuch Chor Kar Rab Ta'ala Ki Bargah Main Hazir Ho Jata Hai Is Rehim-o-Kareem Ran Ta'ala Is Ky Tamam Guzishta Gunah Mauf Kar Deta Hai.
Hajj Ky Duraan Tamam Duniya Sy Muhtlaf Rang-o-Nasl Ky Sab Muslman Agtha Hotain Hain Is Tarha Hajj Aik Aalmi Islami Conferrance Bhi Hai.
Hajj Sy Dars Milta Hai K Koi Bhi Rang Nasal Ki Banyad Par Bartar Nahi.Sab Muslman Apis Main Bhai Bhai Hain.
Hajj Ky Muqmaat Anbiya Karam Or Mahboban-e-Khuda Ki Yaad Garain Hain Jin Ki Zayrat Sy Barkat Ky Hasool Ky Elwaa Anbiya Karam Or Degar Mahboban-e-Khuda Ky Azeem Waqyat Ka Ilm Hasil Hota Hai Or In Ki Itbaah Ka Jazba Paida Hota Hai.
Zindgi Bhar Ky Tamam Gunah Mauf Ho Jatain Hain.
5: Zakat
Zakat Ky Lafzi Maini Paak Hona,NashoNama Pana Or Barhna.Yeh Mali Ibadat Deen-e-Islam Ka Aik Rukan Hai.Jo Aik Sahib Nasaab Muslman Par Apnay Maal Main Sy Aik Khas Sharh Ky Mutabiq Farz Hai.Zakat Ada Krnay Sy Maal Main Barkat Paida Hoti Hai Or Akhrat Main Ajar-o-Swab Milta Hai.
Zakat Ada Na Krna Bouht Bara Gunah Hai.Zakat Ki Ahmiyat Ka Andaza Quran Kareem Ki In Ayat Sy Laga Saktain Hain.
"Jo Namaz Ki Pabandi Krtain Hain Or Zakat Detain,Akhrat Ka Yaqeen Rakhtain Hain,Yehi Apnay Parward-e-Gaar (Ki Taraf) Sy Hadayat Par Hain Or Yehi Najaat Panay Walay Hain."(Sura Luqman:4-5)
"Or namaz Parha Kro Or Zakat Diya Kro Or (Khuda Ky Aagay) Jhuknay Walo Ky Sath Jhuka Kro."(Albaqra:43)
Zakat ada Na Krnay Walo Ky Khalaf Quran Ny Sakht Waeed Sunai Hai.
''Jo Log Sona Chandi Seent Seent Kar (jama Kar Ky,Khazana Bana Kar) Rakhtain hain Or Usay Allah Ki Raah Main Kharch Nahi Krty,Ihain Dard Naak Azab Ki Khabr Suna Dijye.Is (Qaymat Ky) Din (Sonay Chandi) Ko Jahnam Ki Aag MAin Tapaya Jay GA.Phir Is Ky Sath In Ky Chehray,In Ky Pahlo Or In Ki Pushtain Daghi Jain Gi.(Or Kaha Jay Ga) Yeh Hai Woh Khazana Jo Tum Apnay Liye Jama Kar Ky Lay Ho.Ab Is Ka Maza Chakho Jo Tum Jama Krtay Rehay Thy.'' (Al-Tauba:34-35)
Zakat Ky Aath Musaraf Hain.
Faqra'a
Masakeen
Amleen (Zakat Ky Mahkmay Ky Malazmeen)
Taleef-e-Qalab
Raqaab (Rishtay Dar)
Ghazmeen (Qarz Dar)
Fee Sabeel Allah
Ibn-e-Alsabeel (Musafar)
Zakat Ky Fawaid
Zakat Samaji Falah-o-Bahbood Ka Behtreen Zariya Hai.
Zakat Ki Zariye Mashray Ky Mahroom Or Muflas Ki Kafalat Ho Jati Hai.
Zakat Sy Mashray Main Nafrat-o-Intaqam Ky Bajay
Humdardi-o-Ihtaraam Or Bahami Muhbat Ky Jazbaat Ko Faroogh Hasil Hota Hai.
Zakat Denay Walay Ky Dil Sy Maal Ki Muhabt Mit Jati Hai Or Allah
Ta'ala Ki Raza Hasil Krnay Ka Jazba Ghalab Aa Jata Hai.
Ghareebo Sy Humdardi Paida Ho Jati Hai.
Daulat Ky Gardash Main Anay Sy Mashrzy Ky Afraad Ki Mali Halat Behtar Ho Jati Hai.
Labels: haj, islam ky arkan, namaz, namaz-e-janaza, roza, toheed, Zakat
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home