Sunday 14 January 2007

Umer Farooq



                           Hazrat Umer Farooq (R.A) bin Al Khittab



Aap ka nasab nama:-

Hazrat Umer Farooq(R.A) ka nasab nama yau hai:-(hazrat) Umer(R.A) bin Khittab bin Abad al Aazi bin Riyah bin Qart bin Razzah bin Aadi bin Kaab bin Looi-

Islam kis omer ma qabool kiya:-

Ameer al momaneen Abu Hafas al Qurshi al Aadi al Farooq(R.A) 6 hijj nabovt ma mashraf ba islam hove ais waqt aap ki omer sharif 27 saal thi.Zehbi(r.a) aur Novi ka qoal hai ke aap aam al feel (Waqiah feel) ke teerah(13) saal bad paida hove .(1) Aap ka ashraf wa akaber Quresh ma se they.Zamana jehaliat ma aap ke khandan se sifarat mukhtais aur makhsos thi yani jab kabhi aap ke mabeen (qureshi khandan ke darmian)ya kisi aur mulk se jang hoti thi tu aap hi ke khandan ke afrad siley wa safai ke liye safeer bana ker bhaije jate they ya ager kabhi tafahar nasab ke izhar ki zaroorat paish ati tu aap hi ke buzarg ais kaam ke liye rawana  kiye jate they.

Aap ais waqt eman laye jab chalis(40) mard aur giyrah(11) khawateen islam qabool ker chuki thain.Baaz ulema ka khiyal hai ke auntalis(39) mard aur taais(23) aurtoon ke eman laane ke baad aap ne islam qabool kia .Baaz kehte hain ke jab aap ne islam qabool farmiya tu ais waqt 45 mard aur giyrah(11) aurtain eman laa chuki thain .Aap ki zaat e garami wo zaat hai ke aap ke islam qabool karne ke bad hi Makkah  ma islam ka aam tour per charcha hova aur muslmano ko had darja masart hovi aap ka shumar bhi sabqeen awaleen ma hota hai. Aap ashra mubashra ma dakhil hain(jin ko jannat ki khushkhabri di gai)aap ki zaat garami khulfaey rashadeen ma shamil hai,aap ko Rasool Allah(S.A.W) ke khaser hone ka sharf bhi hasil hai.Aap ulema wa zahad sahaba karam(r.a) ma shumar kiye jate hain.Aap se Rasool Akram(S.A.W) ki (539)panch sou auntalis ahadees marvi hain.

Hazrat Umer(R.A) se ahadees ki rawiyt karne wale ashab:-

Aap se ahadees ki rawiyt karne wale Hazrat Usman(R.A) Ibn Aafan,Ali(R.A)  Talha(R.A),Saad(R.A),Ibn Auof(R.A),Ibn Masood(R.A),Abu Zar(R.A),Umer bin Aabah.Aap ke farzand Abdullah,Ibn Aabas(R.A),Ibn Zubair(R.A),Anas(R.A),Abu Huraira(R.A),Omroo bin Al Asas,Abu Mosa,Ashra,Alabara bin Aazab ,Abu Saeed al Khidri(R.A) hain.Ain hazraat ki ilwa baaz aur shaba karam (rizwan Allah eliham ajmaeen) hain.Aab ma chand aunwanat ki tehat aap ke fazal wa kamal ko biyan kerta hon.

1-Aam al feel sarkar dou aalam(s.a.w) ka saal wiladat hai,aur chalis(40) saal ki omer sharif ma aap ko nabovat(zehari)ata hovi ais tarah 6 nabovat ko Hazoor(S.A.W) ki omer sharif 46 saal hovi bas Hazrat Umer Farooq(R.A) jab 6 nabovat ma eman se masharf hove tu aap ki omer 27 saal kis tarah mumkin hai jab ke 13 aam al feel aap ka saal wiladat hai aap ki sana wiladat ager 13 hijj aam al feel mana jaye tu baasat Sarkar dou aalam ke waqt aap ki omer 27 saal hoti hai aur 6 nabovi ko satais(27) saal nahi bulke 33 saal hovi ais liye ye tasleem karna pare ga ke aap ki wiladat 16 aam al feel ko hovi aur baas nabovi ke waqt aap ki omer 24 sal thi aur 6 nabovi ma 30 saal ke they(Shams)

Hazrat Umer farooq(R.A) ke islam qabool farmane ke silsala ma chand ahadees nabvi(r.a)
Tarmazi(r.a) ne Ibn Umer(R.A) ke havala se likha hai ke Rasool Akram(S.A.W) ne ye dawa farmai ke Elahi Umer bin Al Khittab ya Abu Jahal bin Hasham ma se jis ko tu chahye muslman bana ker islam ko ghalba ata farma.Tabrani ne aisi hadees ko Ibn Masood aur Anas(r.a) se rawiyt kia hai.Hakim ne Ibn Aabas(r.a) se rawiyt ki hai ke Hazoor(S.A.W) ne ais tarah dawa farmai"Ala al Alameen!Umer bin Al Khittab se islam ko glalba ata farma!ais rawiyt ma kisi dosre shaks ka naam shamil nahi hai.

Aaisi hadees ko Tabrani ne apni aust ma Abu Baker Sadiq(R.A) se maujam Kabeer ma Sauban(R.A) se rawiyt kia hai.

Ahmed(r.a) ne Hazrat Umer(R.A) se ais tarah rawiyt ki hai ke ma Rasool Akram(S.A.W) se tarz ki gharz se ghar se chala tu ma ne aap ko masjid ma paya ke wo mujh se pehle hi pohnch gaye the pas ma kisi qader pechey tehar gaya aap ne surat AlHaqatah ki talawat chorou farmai ma quran ke ais aser se jo qalab ko mautasir ker raha tha.Hiran tha,ma ne apne dil ma kaha bakhuda ye shaks mujhe shair maulom hota hai (jo ais qader dilnasheen kalam perh raha hai)Quresh bhi aisa hi kehte hain,mere dil ma kahtra guzara tha ke aap asi ayat per pohnche.

Ina la Qwol Rasool Kareem wama ho baqool shair qaleela ma tu manoon al kha log ye qoal Rasool Kareem ka qoal hai ye kisi shair ka kalam nahi hai.Tum ma se thore hi log  emandar hain.Ye ayat sunnte hi islam ne mere dil ma ghar ker liya aur mujh per ais ki azmat zahir ho gai.

Hazrat Umer(R.A) ka kalma shehadat perhna:-

Ibn Abi Shiba(r.a) ne Jaber(r.a) se rawiyt ki hai ke Hazrat Umer(R.A) ne apne islam laane ka waqiah ais tarah biyan kia hai ke meri hamsheera raat ke waqt dard zaha ma mubtala hovain tu ma ghar se nikal ker Kaaba sharif ke pardon ke pechey chala gaya(taake raat  wahan guzar don)itne ma wahan Nabi Akram(S.A.W) ki hijar ki taraf tashreef laye his per souf ki aik mooti chader pari hovi thi aap ne wahan kuch namaz perhi aur phr wahan se tashreef lay gaye,Ais waqt ma ne Rasool Allah(S.A.W) se kuch aisa kalam suna jou ais se qabal ma ne kabhi suna nahi tha,Rasool Akram(S.A.W) ke wapis jane ke bad ma bhi pechey pechey nikala ,aap ne ahat pa ker farmiya kon hai?ma ne kaha ,ma Umer hon!aap ne farmiya ke Umer tum mera raat din ma kisi waqt pecha nahi chorte(har waqt mere pechey lage rehte ho)ais waqt ma dara ke aisa na ho aap mere liye baddawa farmain.

Pas ma ne faoran Kalama shahdat perh liya.(Aashadan la ilha ila Allah wa anak Rasool Allah)aap ne farmiya ke aye Umer!ais ko bhi poshida rakho ma ne aarz kia ke mujhe aus zaat ki qasam jis ne aap ko sacha nabi bana ker bhaija hai ke jis tarah ma apane shirk ko zahir kerta tha aab aisi tarah islam ka bhi eilan karon  ga.

Hazrat Anas(r.a) ki rawiyt:-

Ibn Saad wa Abu Yaali(r.a)wa Hakim aur Behqi ne dalail ma Hazrat Anas ke havala se likha hai ke Hazrat Umer(R.A)talwar hamil kiye aik roz ghar se nikale hi the ke qabeela Banu Zahra ka aik shaks aap ko mila aur pocha aye Umer kaha ka qasad hai?unhon ne jawab diya ke Muhammad(S.A.W) ke qatal ke irada se nikala hon,ais shaks ne kaha ke ais qatal ke baad tu Bani Hashim aur Bani Zahra se kis tarah bach sako gaye(wo ais qatal ka badla lain gaye)ager Muhammad (S.A.W) ko qatal ker diya,ais ko jawab diya ke mauloom hota hai,tum ne bhi apne baap dada ka deen chor diya hai.Ais shaks ne kaha ke ma tum ko ais se bhi zayada dichasp baat batata hon wo ye ke tumhari behain aur behnoi duno apna aabai deen taraq ker chuke hain.Ye sun ker Hazrat Umer(R.A) wahain se palat pare aur apni behain ke ghar pohcnhe ais waqt janab Khabab bhi majood theylakin wo aap ki zara se ahat paa ker ghar ma kisi jagah chup gaye.Hazrat Umer(R.A) ke ghar ma aane se pehle ma aane se pehle ye teeno ahista awaz ma surat Taha perh rahe they.

Aur ain ke aajane per khamosh ho gaye they aap ne ghar ma dakhil  hote hi daryaft kia  ke tum log kiya perh rahe the .Aap ki behain aur behnoi ne kaha kuch nahi hum aapis ma batain ker rahe they.Aap ne kaha mujhe mauloom hova hai ke tum duno bay deen ho gaye ho aap ke behnoi ne kaha ke han tumhare deen ma haq naam ko nahi hai!ye sunnate hi aap ne ghazabnak ho ker behnoi ke zor se tamancha mara ye deikh ker aap ki behain ain ko bachane ayain tu aap ne behain ko bhi hath se pare dhakail diya jis se ain ko bhi chout ayi aur mauo khoon se barh gay.Aap ki behain ne gusey se kaha ke jab tumhara deen sacha nahi tu ma gawahi daiti hon ke siwaey aik maubood ke koi dosra Khuda nahi hai aur Muhammad(S.A.W) Allah ke bande aur ais ke Rasool hain.

Ais waqt Hazrat Umer(R.A) ne farmiya acha mujhe wo kittab dou jo tumhare pas hai ke taake ma bhi ais ko perhon aap ki behain ne kaha ke tum najis ho aur ais muqadas kittab ko pak log hi hath laga sakte hain.Pehle ghusal karo kam az kam wazu ker lou,aap ne(ain ke kehne per) wazu kiya aur wo kittab lai ker perhi ,ais ma surat Taha likhi hovi thi.Aap ais ko perhne lage aur jis waqt ais ayat per pohnche Anani Ina Allah La Ilha Ila Ina Fa abdni waqam alsalat al zikra(beshak ma hi Allah Tallah hon aur koi dosra mere siwa maubood nahiais liye tum meri ibadat karoaur meri hi yad ma namaz perho).

Tu Hazrat Umer(R.A) kehne lage mujhe Muhammad(S.A.W) se jaldi mila dou!jis waqt Hazrat Khabab(r.a) ne ye kalam suna tu aap bahir nikal aye aur kaha ke aye Umer(R.A) ma tum ko bashrat daita hon  ke jumeraat ki shab ma hamare aaqa wa maula Muhammad Mustafa (S.A.W) ne jo ye dawa mangi thi ke Elahi islam ko Umer(R.A) bin Khittab ya Umer bin Hasham ke muslman hone se ghlaba aur qowat ata farma,ye aisi ka asar hai.

Rasool Khuda(S.A.W) ais waqt Koh Safa ki matsal aik makan ma tashreef farma they,Hazrat Khabab(r.a) aap ko sath liye hove Rasool Allah(S.A.W) ki khidmat ma hazri ke irade se rawana hove jis makan ma ais waqt Hazoor(S.A.W) tashreef farma they ais ke darwaze per Hazrat Humza Hazrat Talha(r.a) aur chand dosre sahaba karam(rizwan Allah ajmaeen)batour nigrah bhaite hove Hazrat Humza(R.A) ne unhain deikh ker kaha Umer(R.A) aa rahe hain,ager Allah Tallah ko ain ki khiriat manzoor hai tab tu ye mere hath se bach jayain gaye aur ager ain k airada kuch aur hai tu phr ain ka qatal karna bohat asan hai.Aisi asna ma Sarwar Kainat(S.A.W) per ain tamam halaat per mushtamil wahi nazil ho chuki.

Hazoor(S.A.W) ne mukan se bahir tashreef la ker Hazrat Umer(R.A) ka daman aur ain ki talwar paker li aur farmiya aye Umer kiya ye fasad tum ais waqt tak barpa kerte raho gaye jab tak tum per bhi wo khawari aur zilat Allah ki taraf se masalt na ho jaye jaisi Waleed bin Mughira ke liye hovi.Ye sunnate hi Hazrat Umer(R.A) ne kaha Ashadaan la ilha ila Allah wank Abdullah warasoolha.

Qabool Islam k aizhar

Al Barar (r.a) Tabrani (r.a)Abu Naeem(r.a)Behqi(r.a) ne bahavala Aslam likha hai ke hum se Hazrat Umer(R.A) ne (apne qabool islam ka waqiah ais tarah)khud farmiya ke ma Risaalat Maab(S.A.W) ka sakht tareen dushman tha.Mausam garma ma aik roz ma Makkah ki aik gali se guzar raha tha ke aik shaks mujhe mila aur mujh se kaha ke aye Umer bare taujub ki baat hai ke tum khud ko bohat kuch samjhte ho aur tumhare ghar ma wo kaam ho jaye ke tum ko ais ki khaber hi nahi.Ma ne kaha kiya hova,ais ne kaha hota kia,tumhari behain muslman ho gai hai!ye sunte hi ma jahan tha wahain se ghusa ma palat pera aur seeidha behain ke mukan per pohnch ker darwaza khatkhatiya ,ander se pocha gaye kon hai!ma ne kaha Umer hon ander jo log the ghbara gaye aur mujh se khof zada hove wo aik kittab ko perh rahe the jaldi ma aise othana bhol gaye wo kittab bahir hi rakhi rahi,meri behain ne darwaza khola aise deikhte hi ma ne kaha aye dushman jaan!tu bayeman ho gai(apne deen se hat gai) ye keh ker ghuse ma jo kuch mere hath ma tha wo ma ne ais ke sir per khainch mara.Sir se khoon behne laga ,behain ne rou ker mujh se kaha Umer !ma bayden ho gai ya jo kuch ho gai ,jo kuch meri samjh ma aya wo ma ne ker liya!ye sun ker ma ander gaya aur takht per ja ker bhait gaya wahan ma ne aik kittab rakhi hovi deikhi .

Ma ne behain se kaha ye kiya hai mere pas lao,behain ne jawab diya ke tum ais ko choone ke eihal nahi ke ais ko pak log hi hath laga sakte hain ma ne israr kiya.mere israr se majbour ho ker wo kittab lai ker mere pas ayi ma ne jaise hi ais ko khola tu chorou ma Bismiallah airhman ara haeem likha hova tha,Allah Tallah ke naam ki haibat se ma kaanp gaya.Aur wo muqadas kittab (haibat ke baais)mere hath se chot gayi.Jab kuch dair ke bad mere ausan behal hove tu ma ne phr aise otha ker perha ais martaba meri nazer ais ayat per pohnchi Sabah Allah ma fi samat wal aarz(jo kuch zameen wa aasman ma hai sab Allah ki paki biyan kerte hain).

Ma phr larzah bernadam ho gaya.Teesri bar jab ma ne aise perha aur jab ma ais ayat per pohncha Aamano BiAllah Warasoolha(Allah aur ais ke rasool per eman lao)tu besakhta meri zuban se nikala.Ashadwan Ila Ilha Ila Allah ye sun ker sab log jo ghar ma majood they meri taraf doore aur sab ne zour se takbeer kahi aur mujhe mubarak bad di.Peer ke roz Rasool Akram(S.A.W) pehle hi dawa farma chuke they ke Ala al Alameen apne deen ke ain dushmano Abu Jahal bin Hasham ya Umer bin Khittab ma se jise tu chahye ais ke zariye apne deen ko ghalba ata farma.

Hazoor(S.A.W) ais waqt Koh e Safa ki wadi ke mukan ma tashreef rakhte they ye log mujhe wahan lai gaye.Ma ne wahan pohnch ker darwaza khatkhataiya,ander se pocha kon hai?Ma ne aarz kiya ke ma Umer hon chaunke tamam log meri dushmani aur adawat se waqif the chaunacha mera naam sun ker kisi ne darwaza kholne ki jurat nahi ki yahan tak ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya ,darwaza khol dou.Logon ne darwaza khol diya aur dou afarad ne mere bazo paker liye aur Nabi Akram(S.A.W) ke pas lai gaye ,aap ne farmiya unhe chor dou phr aap ne mera daman pakra aur mujhe apni taraf khaincha aur farmiya Umer muslman ho jawo!Elahi Umer ko hadiat dai !Ma ne foran Kalma Shadat perha aur muslmano ne ais zor se takbeer kahi ke Makkah ki galion ma ais takbeer ki awaz pohnchi !log dar gaye aur mujh se mar pit ki kisi  ko himat na hovi.

Jab ma bahir nikala  tu kuch dhinga mushti zaroor hovi lakin ma zarbat se mehfoz raha .Yahan se ma apne mamo Abu Jahal Bin Hasham ke pas pohncha ,Abu Jahil Quresh ma ba asar samjha jata tha aur ais ko bhi raais Quresh ki hasieat hasil thi,ma ne ais ke darwaze per dastak di,ais se pocha kon hai?ma ne kaha ma Umer(R.A) hon aur ma ne tera deen chor diya hai ais ne kaha ke Umer aisa mat karna aur phr khof ke baais ander se darwaza band ker liya aur ma aisi tarah bahir khra raha .Ma ne ais se kaha ke ain baton se kiya faida
  
Hazrat Umer(R.A) ka dosre roosa Quresh se milna:-

Yahan se ma Quresh ke aik aur sardar aur baaser shaks ke pas pohcnha aur ais se bhi wohi ghoftago hovi jo Abu Jahal se hovi thi ais ne bhi wohi jawab diya jo mere mamo ne diya tha aur ais ne bhi khoof se ander se darwaza band ker liya.Ma ne kaha ke ain ki harkaton se kiya hasil !tum dosre muslmano ko tu (deen ki tabdeeli ki wajah se)marte paite ho mager aab mujh se aankh bhi nahi milate meri ye batain sun ker aik shaks ne kaha ke tum apna deen aur apna islam kya ais tarah zahir karna chahte ho ma ne kaha ke han aab aisi tarah ho ga!ais ne kaha ke wo deikho ais pather ke pas kuch log bhaithe hain ain ma se aik shaks aisa bhi hai ke ager tum se kuch raaz ki bat karo tu wo raaz nahi reh sake gi(foran ais ko tasht az baam kar daye ga).

Ais se ja ker apne islam laane ka waqiah biyan karo har jagah khaber ho jaye gai.Khud kiyo darwaze darwaze jate ho chaunacha ma wahan pohncha aur ais se apne islam qabool karne ka izhar kiya ais ne kaha kiya tum muslman ho chuke.Ma ne kaha han.Ye sunnte hi ais ne zor se kaha ke logo Umer(R.A) Bin Khittab hamre khandan se kharij ho gaya .

Ye sunnate hi idhar odhar jo mushrakeen majood they mujh per toot pare ,dair tak mar peet hoti rahi ais shoroughul ki awaz sun ker mere mamou ne pocha.Ye kiya chorou ghul hai unho ne kaha ke Umer muslman ho gaya hai.Ye sun ker mera mamou(Abu Jahal)pather per charha aur logon se kaha ke ma ne apne bhanje ko panah dai di hai,ye sunnate hi wo log jo mujh se ulajh rahe they mujh se alag ho gaye mager ye amer bara shaaq guzara ke dosre muslmano se mar peet ke silsala jari rahe aur ma khara tamasha deikhon ma  Abu Jahal ke pas phr pohncha aur ma ne ais se kaha ke mujhe tumhari panah nahi chahye ais ke baad mar peet ka silsala chalta raha yahan tak ke Allah Tallah ne islam ko ghalba ata farmiya(aur ye silsala band ho gaya)-

Hazrat Umer(R.A) ka laqab Farooq kis tarah rakha gaya:-

Abu Naeem(r.a)aur Ibn Aasker(r.a) ne Hazrat Ibn Abbas se rawiyt ki hai ke aik roz ma ne Hazrat Umer(R.A) se daryaft kiya ke aap ka laqab Farooq(R.A) kis tarah hova.Aap ne farmiya ke Hazrat Humza(R.A) mujh se teen roz qabal masharaf ba islam ho chuke they,ma itefaqun masjid ki taraf ja nikala tu ma ne Abu Jahal ko deikha ke wo Rasool Allah(S.A.W) ko sab wa shatum kerta chala aa raha hai ,ais baat ki Hazrat Humza(R.A) ko khaber hovi wo foran apni kaman lai ker masjid ki taraf chale aur Quresh ke ais halka ke qareeb jis ma Abu Jahal bhaitha tha Abu Jahal ke bilmaqabil kaman ke sahre khare ho gaye aur ais ko masalsal deikhne lage ,Abu Jahal ne andaza ker liya ke aaj Humza ke teevar kharab hain,ais ne Hazrat Humza(r.a) se kaha ke aye Abu Amarah aaj tumhe kya ho gaya hai,ye sunnate hi Hazrat Humza (R.A) ne apni kamaan ais zor se ais ki peeth per mari ke ais ke khoon behne laga Quresh ne foran bich bachao kara diya.Hazrat Humza(r.a)se Rasool Allah(S.A.W) ki talash ma chale .Rasool Akram(S.A.W) ais waqt Arqum Bin Aabi Arqum Mukhzoomi ke yahan tashreef rakhte they.Hazrat Humza(R.A) wahan tashreef laye gaye aur islam qabool ker liya.

Ais waqiah ke teesre din ma bahir nikala tu raaste ma mujhe aik mukhzoomi shaks mila ma ne ais se kaha ke kiya tum ne apne deen ko tark ker diya aur Muhammad(S.A.W) ka deen ikhtiar ker liya ,ais ne kaha ke ager ma ne aisa kiya tu kya taujub hai jab ke aik aise shaks ne ye deen ikhtiar ker liya hai jis per tum ko mujh se zayada haq hai(mujh per itna haq nahi jitna ke tum ko ain per hai)ma ne kaha ke wo kon hai,ais ne kaha ke tumhari behain aur behnoi ye sun ker ma foran apni behain ke ghar gaya ,jab darwaze per pohncha tu kuch perhne ki bhinbhanat mujhe mehsos hovi ma seeidha ander chala gaya aur ain se kaha ye kya hai .Sawal o jawab ma baat berh gai aur ma ne behnoi ka sir paker ker mara ais ka sir phat gaya aur khon behne laga.

Meri behain ne mera sir paker liya aur kaha ke beshak tumhari mansha ke khalaf hova hai !ma ne jab behnoi ke sir se khoon bhaita deikha tu mujhe sharmaindagi lahaq hovi aur ma bhaith gaya aur kaha ke zara mujhe bhi ye kitab deikho jo tum perh rahe the,behain ne jawab diya aise pak log hi chou sakte hain chaunacha ma ne oth ker ghusal kiya tab unho ne wo kittab mujhe di ma ne jo deikha tu awwalan meri nazer Bismiallah airhman ara haeem per pari.Ma ne kaha ye tu barey pakeeza naam hain.Ais ke baad likha tha Taha ma anzalna elaik al quran aan latashke ta ayat Ila Sama Al Husna mere dil ma ais kalam ki bari azmat paida hovi,ma ne kaha Quresh ais kalam se bhagte hain ,aur ma ais dum muslman ho gaya.Phr ma ne pocha Rasool Allah(S.A.W) kahan tashreef rakhte hain ,meri behain ne kaha ke wo arqum ke mauqam ma tashreef farma hain ma yahan se aisi waqt wahan pohncha aur darwaza per hath mara log jama ho gaye.Hazrat Humza(r.a) ne logon se pocha ke kiya baat hai logon ne kaha Umer(R.A) hain.Unho ne farmiya ager Umer(R.A) hain tu darwaza khol dou,ager wo naik niyati ke sath aye hain tu hum unko khush amdeed kehte hain,ager aunka irada bad hai tu hum unhe qatal kiye baghair nahain chorain gaye .Ye batain Rasool Allah(S.A.W) ne bhi samat farmain aur aap bahir tashreef laye aye,aap ke bahir tashreef late hi ma ne kalma shahdat perh liya.

Ais ghar ma ais waqt jitne muslman the  unho ne (mere islam qabool karne ki khushi ma )ais zor se takbeer buland ki ke ais ko tamam eihal e Makkah ne suna!Ma ne Rasool Allah(S.A.W) se daryaft kiya !YaRasool Allah kiya hum haq per nahi hain?aap ne farmiya.kyo nahi!hum yaqeenan huq per hain.Ais per ma ne aarz kiya ke phr ye akhfa aur parda kya hai?chaunacha ais ghar se hum tamam muslman dou safain bana ker nikale aik saf ma Hazrat Humza(r.a) the aur aik saf ma ma tha.Aur aisi tarah safon ki shakal ma hum masjid haraam ma dakhil hove .Quresh ne mujhe aur Humza(r.a) ko jab dosre muslmano ke sath deikha tu ain ko had darja malal hova .Ais roz se Hazrat Rasool Khuda(S.A.W) ne Farooq ka khittab marhamat farmiya kyunke islam zahir ho gaya aur haq batil ke darmian farq paida ho gaya,

Ibn Saad(r.a) Zakwan(r.a) se rawiyt kerte hain ke aap ne Hazrat Ayesha(R.A) se daryaft kiya Hazrat Umer(R.A) ka naam Farooq(R.A)kis ne rakha,aap ne farmiya Rasool Allah(S.A.W) ne,Ibn Maaja wa Hakim Hazrat Ibn Abbas(R.A)se rawiyt kerte hain ke ke jab Hazrat Umer Farooq(R.A)  eman laye tu Hazrat Jibraeel (a.s) nazil hove aur kaha ke aye Muhammad(S.A.W) aasman waley Hazrat Umer(R.A) ke eman laane per mubarakbad paish kerte hain.

Al Bazar aur Hakim ne Ibn Abbas (r.a) ki sehat ke sath rawiyt kia hai ke jab Hazrat Umer(R.A) eman laye tu mushrikeen ne kaha ke muslmano ne hum se apne pora pora badla chuka liya aur Allah Tallah ne bhi ye ayat Ya ayohal nabi hasbak Allah Waman atabaq min al momaneen nazil hovi(yani aye Rasool(s.a.w) aap ke aur aap ki itebah karne wale momaneen ke liye Allah kafi hai).Bukhari ma Abdullah(R.a) bin Masood (r.a) se rawiyt hai ke jis roz se Hazrat Umer(R.A) islam laye ais din se islam hamesha izat wa sir balundi hi pata gaya.

Masjid Haram ma muslmano ka namaz perhna:-

Ibn Saad aur Tabrani(r.a) ne Ibn Masood(r.a) se rawiyt ki hai ke Hazrat Umer(R.A) ka islam goya islam ki fatah thi,aap ki hijrat nusrat thi aur aap ki imamat rehmat thi .Hum ma ye himat wa taqat nahi thi ke hum Bait Ullah Sharif ma namaz perh sakain lakin jab Hazrat Umer(R.A) ne islam qabool kar liya tu aap ne mushrikeen se ais qader jadaal wa qatal kiya ke aajiz aa ker unho ne hamara pecha chor diya aur hum Bait Ullah Sharif ma(itmenan se)namaz perhne lage.

Ibn Saad aur Hakim ne Huzaifa(r.a) ke havala se likha hai ke jab se Hazrat Umer(R.A)islam laye tab se islam ki halat aisi ho gai jaisa aik iqbal mand shaks jis ka har qadam taraqi ki janib hota hai aur jab se aap shaheed hove ye halat hovi ke islam ke arooj wa taarqi ma kami aa gai aur ais ke har qadam pechey ki taraf hi parne laga.

Hazrat Umer(R.A) ke islam laane se muslmano ko toqiat:-

Tabrani Hazraat Ibn Abbas(r.a) ke havala se biyan kerte hain ke jis ne sab se awal apna islam ali al eilaan zahir kiya wo Hazrat Umer(R.A) hain.Ibn Masood(R.A) ne Sahaib(r.a) se rawiyt ki hai ke jab Hazrat Umer(R.A) eman laye tab islam zahir hova(warna log apna islam lana zahir nahi kerte the) islam ki taraf khulm khula logon ko bauliya jane laga aur hum Kaaba ke gird bhiatne,tawaaf karne ,mushrikeen se badla laine aur ain ka jawab daine ke qabil ho gaye.Ibn Saad ne Aslam Maula ke havala se likha hai ke Hazrat Umer(R.A) maha Zilhajj 6 ma ba Umer 26 saal mashraf ba islam hove.

Hazrat Umer(R.A) ne apni hijrat ko kisi se nahi chupiya:.

Ibn Asker(r.a) ne Hazrat Ali(R.A) se rawiyt Umer(R.A) ke siwa hum kisi aise aik shaks ko bhi nahi batla sakte jis ne eilaniya hijrat ki ho jis waqt Hazrat Umer(R.A) hijrat ke irade se nikle tu aap ne apni talwar himail ki aur apne shane per kaman latkai aur hath ma tarkash se teer nikal ker lai liya phr Kaaba Allah ma tashreef laye,wahan kuch ishraf Quresh bhi bhaite the,aap ne ain ke samne hi saat martaba Kaaba ka tawaaf kiya ,muqam Ibrahim per dou rakatin perhain aur phr ishraf Quresh ke halqa ke pas aa ker aik shak se alag alag farmiya ke tumhari suratain bigrain,tumhara naas ho jaye!hai koi tum ma jo apni maa ko baypoot,baite ko yateem,aur biwi ko baywah karne ka irada rakhta ho !aye aur jungle ke ais taraf aa ker mujh se mauqabla kare!mager wahan kis ma taab thi ke wo aap ka pecha kerta.

Hazrat Bara(r.a) kehte hain ke sab se pehle hijrat karke hamare pas (Madina ma) Mausab bin Umair aye,phr Ibn Maktoum aur ain ke bad Umer Bin Al Khittab(R.A) beeis(20) sawaron ke sath tashreef laye !hum ne ain se daryaft kya ke Rasool Allah(S.A.W) ka kya irada hai unho ne farmiya wo pechey tashreef layain gaye.Chauncha aap ke bad Rasool Allah(S.A.W) maa Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) tashreef lai aye.

Imam Novi(r.a) farmate hain ke Hazrat Umer(R.A) tamam ghazwat ma Rasool Akram (S.A.W) ke sath rahe aur jang e Ohad ma aap ne sabit qadmi deikhai thi.

Fazilat Hazrat Umer(R.A) per mushtamil ahadees

Bukhari(r.a) aur Muslim(r.a) ne Abu Huraira(r.a) ke havala se biyan kya hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne aik roz farmiya ke ma ne khawab ma jannat ka mushaida kya aur deikha ke ais ma aik aurat jannat ki qaser ki janib bhaithi hovi wazu ker rahi hai ,ma ne daryaft kya ye qaser kis ka hai?,firishton ne kaha ye qaser(hazrat) Umer(R.A) ka hai,ye khawab biyan farma ker aap(S.A.W) ne (hazrat)Umer(R.A) se mukhatib ho ker farmiya ke aye Umer(R.A) ma ne tumhari ghairat ke paish nazer ais qaser ma qadum nahi rakha aur wapis aa gaya ye sun ker Hazrat Umer(R.A) roone lage aur aarz kya Hazoor(S.A.W) ma aur aap se ghairat karon! 

Bukhari(r.a) aur Muslim(r.a) ne Ibn Umer(R.A) se rawiyt ki hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne irshad farmiya ke ma ne khawab ma deikha ke ma ne doodh piya hai ,doodh ki tazgi aur khushboo mere nakhono tak sariat kar gai hai phr ma ne bacha hova doodh Umer(R.A) ko dai diya hai .Sahaba Karam(r.a) ne daryaft farmiya ke Hazoor(S.A.W) ais khawab ki tabeer kia hovi?aap ne farmiya "ilm"!Bukhari(r.a) aur Muslim(r.a) ne Hazrat Abu Saeed Khudri(r.a) ke havala se biyan kia hai ke ma ne Rasool Allah(S.A.W) ka ye irshad suna ke:-

"Ma ne khawab deikha ke logon ko mere samne paish kiya ja raha hai unho ne qameezain pehain rakhi hain wo baaz ke seeno tak hain aur baaz ki ais se kuch zayada nechey hain ,jab Umer(R.A) paish kiye gaye tu ain ki qameez zameen se ghasitee ja rahi thi"

Sahaba Karam(r.a) ne daryaft kia"YaRasool Allah(S.A.W) wo kameez kya thi?Aap ne irshad farmiya "Deen"

Bukahri(r.a) aur Muslim(r.a) ne Saad Bin Abi Waqas se rawiyt ki hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne irshad farmiya"aye Umer(R.A) mujhe ais zaat ki qasam jis ke qabze ma meri roh jan hai,jis raaste se tu guzaroo gaye ais raaste se shaitan nahi guzaree ga bulke wo dosre raaste se jaye ga.

Hazrat Umer(R.A) umat ke muhades ya sahab alhaam hain:-

Bukhari(r.a) ne Abu Huraira se rawiyt ki hai ke Rasool Allah ne farmiya ke tum se pehle umatoon ma muhdees yani sahab al haam guzarte rahe hain ager meri umat ma koi ho sakta hai tu wo Umer hain.Tarmazi(r.a) ne Hazrat Umer(R.A) se rawiyt ki hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya ke Umer(R.A) ki zuban aur qalb per Allah Tallah ne haq jari ker diya hai.Ibn Umer(R.A) kehte hain ke logo ke qwol ke mutabiq hukam nazil nahi hova mager quran shaif akser Umer(R.A) ke qwol ke mutabiq nazil hova hai. 

Taramzi(r.a) aur Hakim(r.a) ne Aqbah Bin Aamir ki sehat ke sath rawiyt ki hai ke Rasool Allah ne irshad farmiya hai ke ager mere bad koi nabi hota tu wo Umer Bin Khittab hi hote.Ais hadees ko Tabrani ne Abu Saeed Khudri(R.a) aur Aasma Bin Malik se rawiyt kia hai aur Ibn Aasker ne Ibn Umer(R.A) ki hadees se biyan kia hai.

Jinn wa ans aur shiateen Hazrat Umer(R.A) se bahgte hain:-

Tarmazi ne Hazrat Ayesha Sadiq(r.a) se rawiyt ki hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne irshad farmiya hai ke ma jinn wa ins aur shiateen ko Umer(R.A) se bahgte hove deikhta hon.Ibn Maaja(r.a) aur Hakim(r.a) se rawiyt ki hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya hai ke wo shaks jis se Khudawand Aazo Jal sab se awal musafha farmaye ga aur salam bhaije ga aur hath paker ker jannat ma dakhil kare ga wo Umer(R.A) hain.

Ibn Maaja aur Hakim(r.a) ne berriwayt Abu Zar likha hai ke ma ne Rasool Allah(S.A.W) ka ye irshad suna hai ke Allah Tallah ne haq ko Umer(R.A) ki zuban per wazah ker diya hai ke wo hamesha haq hi bolte hain .Ahmed(r.a) aur Al Bazar ne Abu Huraira(r.a) ki rawiyt se likha hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya ke Allah Tallah ne Hazrat Umer(R.A) ki zuban aur dil per haq jari farma diya hai.

Ibn Muneeh(r.a) ne Hazrat Ali(R.A) ke havala se likha hai ke hum tamam sahaba Rasool Allah ko ais aamer ma kuch shak nahi hai ke Hazrat Umer(R.A) ke irshad per hum sab ki dil mautmaeen ho jate hain aur hum sab ko dili sakoon mauyaser aata hai.Al Bazar ne Ibn Umer(R.A) ke havala se likha haike Rasool Allah(S.A.W) ne irshad famiya hai ke Umer(R.A) ashab jannat ki chashum wa chiragh hain.(ais hadees ko Ibn Aasker(R.a) ne bhi biyan kia hai).

Al Bazar(r.a) ne Qadama Bin Mantaun ke aam muhtaram Usman Bin Mantaun ki zubani biyan kia hai ke Rasool Akram(S.A.W) ne (hazrat) Umer ki janib farmate hove irshad farmiya ke yehi wo hasti hai jis ke baais fitna wa fasad ki darwaze band hain aur jab tak zinda rahain gaye ais waqt tak tum ma koi shaks phoot aur fitna wa fasad nahi dal sake ga.

Hazrat Jibraeel(A.S) ke salam Hazrat Umer(R.A) per:-

Tabrani ne Ibn Abbas(R.A) ki zubani likha hai ke Jibraeel(A.S) ne darbar risaalat ma hazir ho ker kaha YaRasool Allah(S.A.W) Hazrat Umer(R.A) se salam ke baad farma dijiye ke ain ka ghazab aziz wa pasand hai aur ain ki raza ke mutabiq hi hukam hota hai.Ibn Aasker(r.a) ne Hazrat Ayesha se rawiyt ki hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya ke Umer(R.A) se shaitan khof ke baais bhagta hai.

Ahmed(r.a) ne mautadad tareeqon se likha hai ke Rasool Akram(S.A.W) ne farmiya aye Umer(R.A) tum se shaitan dar ker bahgta hai.Ibn Aasker(r.a) ne Ibn Abbas(r.a) ke havala se biyan kia hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya ke tamam aasmani mukhloq(firshte) ma aisa koi nahi jo Umer(R.A) ki izat wa tauqeer na kerta ho aur zameen per shaitan ain se dar ker bahgta hai.

Tabrani ne Aust ma Abu Huraira(r.a) ke havala se likha hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya Allah Tallah eihal Arfa bilamoom aur Umer(R.A) per bilkhasos mabahat farmata hai.(Aisi tarah ki aik hadees kabeer(r.a) ne Ibn Abbas se biyan ki hai)Tabrani aur Walimi ne Fazal Bin Abbas(r.a) se rawiyt ki hai ke mere baad haq Umer (R.A) ke sath rahe ga khawa wo kahin hon.

Hazrat Umer(R.A) ki khilafat ma firogh islam:-

Bukhari(r.a) aur Muslim(r.a) ne Ibn Umer(R.A) aur Abu Huraira ke havale se biyan kia hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne irshad farmiya hai ke ma ne khawab ma apne aap ko aik kowain per deikha jis per dool pera hova tha chauncha ma ne kowain se kai dool khainche ,phr bhara hova aik ya dou dool Abu Baker(R.A) ne khainche,lakin ais kaam ma unho ne kuch zaaf mehsos kia(Allah ain per apna karam farmaye) phr Umer(R.A) aye aur unho ne kai dool khainche aur aise tarah khainche ki kisi jawan mard ko ma ne ais tarah dool khainchte nahi deikha.Phr charon taraf se piyase log aye aur khoob seerab hove.

Imam Noovi Tehzeeb ma likhte hain ke Ulema Karam(R.a) ke khiyal ma ais hadees ka ishara Hazrat Abu Baker(R.A) aur Hazrat Umer(R.A) ki khilafat ki taraf hai aur ais amer ka izhar hai ke Hazrat Umer(R.A) ke eihad khilafat ma baksarat fatohat hon gai aur islam bohat zayada pehle ga.

Tabrani ne Sadisa se rawiyt ki hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne irshad farmiya ke jis waqt se Umer(R.A) islam laye hain tab se jab kabhi ain ko shaitan mila aur aamana samana hova tu ulte pawon bhaga hai Tabrani ne Abi Bin Kaab (R.a) se rawiyt ki hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya ke mujhe se Jibraeel kehte hain ke islam Umer(R.A) ki moot per rooye ga.(islam ko ain ki moot se bohat nuqsan pohnche ga).

Hazrat Umer(R.A) se mohbat aur adawat:

Tabrani ne aust ma Abu Saeed Khadri ke havala se biyan kia hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne famiya hai ke jis shaks ne Umer se bauz rakha aus ne mujh se bauz rakha aur jis ne Umer se mohbat ki aus ne mujh se mohbat ki.Allah Jal Shana,ne eihal Arfa per amoman aur Hazrat Umer(R.A) per khasoosan fakher o mabahat ki hai ,jitne anbiyah elhaim al salam mauboos hove hain .

Har aik ki umat ma aik muhdis zaror hova hai ke ager meri umat ka koi muhdis hai tu wo Umer(R.A) hain.Sahaba Karam(r.a) ne ye sun ker aarz kiya YaRasool Allah(S.A.W) muhdis kon hota hai?aap ne farmiya jis ki zuban se maalika ghuftagoo kerain.

1-Ye hadees shaiifa ain ahadees ke ilawa hain jin ma Hazrat Abu Baker(R.A) li fazilat biyan ki gai hai.

Hazrat Umer Farooq(R.A) ke bare ma Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) aur Hazrat Ali(R.A) ki irshadat :-

Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) farmate hain ke ke tamam roye zameen per mujhe Umer(R.A) se zayada koi aziz nahi hai(Ibn Aasker)Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) se kisi ne maarz moot ma daryaft kia ke ager janab se Khuda Wand Tallah daryaft farmaye ke tum ne Hazrat Umer(R.A) ko khalifa muqarer kyo kia tu aap ais ka kia jawab dain gaye?aap ne farmiya ma aarz karon ga ke ma ne logon per ain ma se sab se behtar shaks ko apna kahalifa muqarer kiya tha.(Ibn Saad)

Hazrat Ali(R.A) farmate hain ke jab tum salhaeen ka zikar karo tu Hazrat Umer(R.A) ko bhi faramosh na karo kyunke kuch baeed nahi ke ain ka qwol alham ho aur farshte ki zubani biyan ker rahe hon.

Aqwaal salaf salhaeen:-

Ibn Saad ne Ibn Umer ki zubani likha hai ke Rasool Allah(S.A.W) ke baad Hazrat Umer(R.A) sab se zayada aaqal wa shoar aur buzarg wa barter sabit hove,Hazrat Ibn Masood(R.A) ne farmiya ke ager Umer(R.A) ka ilm tarazoo ke aik pala ma ho aur tamam duniya ka ilm aik pala ma rakh ker wazun kiya jaye tu Hazrat Umer(R.A) ka pala hi bhari rahe ga.Kyunke ilm ke das (10)hison ma se nou(9) hisey ilm aap ko diya gaya hai.(Tabrani aur Hakim).
Hazrat Huzaifa(R.A) farmate hain ke ma siwey Hazrat Umer(R.A) ke kisi shaks se waqif nahi jis ne jurat ke sath Khuda ki raha ma malamat suni ho.

Hazrat Ayesha Sadiqa(R.A) farmati hain ke Hazrat Umer(R.A) nehayat zod feham teez tabah aur mamla feham the.

Hazrat Mauwia(R.A) ne farmiya hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ke pas na duniya ayi na unho ne ais ki khawaish aur arzoo farmai Hazrat Umer(R.A) ke pas duniya ayi mager unho ne ais ko dhatkar diya aur ma ne duniya ko bilqul hi apne pait ma bhar liya.Hazrat Jaber(r.a) farmate hain ke Hazrat Ali aik roz Hazrat Umer Farooq(R.A) ke pas tashreef laye Hazrat Umer(.A) ais waqt aik kapra oorahe hove the,Hazrat Ali(R.A) ne aap ko deikh ker farmiya ke mujhe Rasool Allah(S.A.W) ke aqwaal ke bad ais chader oorhne wali hasti ke aqwaal sab se zayada aziz hain.

Hazrat Abu Masood(r.a) farmate hain ke Jab salhaeen ka zikar kiya jaye tu ain ma Hazrat Umer(R.A) ka tazkara zaror hi karna chahye kyunke aap hum sab se zayada quran kareem aur islami hikam ke janane wale hain.

Hazrat Ibn Abbas se Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ke seerat ke bare ma pocha gaya tu aap ne farmiya ke wo seerapa khair the phr ain se Hazrat Umer(R.A) ki seerat ke silsala ma daryaft kia gaya tu aap ne farmiya Hazrat Umer(R.A) ki misaal ais pirande ki hai jis ko deikh ker arzoo hoti haike ma kisi na kisi tarah ais ko apne daman ma lai lon,phr aap se Hazrat Ali karam Allah Waja ke bare ma pocha gaya tu aap ne jawaban irshad kiya ke irade ki pokhtagi,hoshmandi,ilm,deelairi,aur mardangi se aap bharpor the.(Aap ke ander ye ausaf batamam wa kamal majood the).

Tabrani Umair bin Rabiya ki zubani biyan kerte hain ke Hazrat Umer bin Al Khittab(R.A) ne Kaab al Ahabar se daryaft kia ke tum ne kisi pechale sehaifa ma mera zikar bhi paya hai unho kaha ke han aap ke bare ma likha hai ke aap Karna min al hadeed hon gaye,Hazrat Umer(R.A) ne daryaft farmiya ke karna min al hadeed se kya mutlab hai unho ne kaha ke aik aise mazboot ameer jo kisi milamat karne wale ki milamat se Allah Tallah ke raaste se nahi hatain gaye ya asi ki perwah nahain karain gaye  .Aap ne phr pocha ke aur ais ke bad kiya likha hai unho ne kaha ke aap ke bad jo khalifa ho ga ais ko aik zalim jamat qatal (shaheed)kar dai gai.Aap ne farmiya aur ais ke sath aur kya likha hai unho ne kaha ke asi ke bad fitna fasad phail jaye ga.

Hazrat Abdullah Ibn Masood(r.a) farmate hain ke Hazrat Umer(R.A) ki fazilat wa bazurgi char baton se zahir hai awal isareen Bader ki silsala ma qatal ka hukam diya gaya aur loula katab min Allah sabaq al Kha nazil hovi(jis se Hazrat Umer(R.A) ki raye ki taeed hovi).Doam aap ne azwaj mohtarat ke parde ke silsala ma farmiya aur ais per Hazrat Zanib(r.a) ne farmiya ke aye Umer Bin Al Khittab(R.A) tum hum per apna hukam nafid deikhna chahte ho halanke wahi tu hamare hi ghar otarti hai.

Chaunacha Umaht al Momaneen ke parde ke bare ma ayaat faana saalatmoho hun aa al kha.Soam Hazoor Aqdas(S.A.W) ne aap ke mautaliq dawa farmai ke Elahi Umer(R.A) ko muslman bana ker islam ko ghalba ata farma.Chiram aap ka sab se pehle Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) se bait e khilafat karna.Hazrat Mujahid farmate hain ke hum aapis ma zikar kiya kerte the ke shaitan Hazrat Umer(R.A) ke eihad khilafat ma maqeed rahe aur aap ke bad azad ho ker har taraf phail gaye.

Hazrat Sufiyan Soori(r.a) farmate hain ke jis shaks ne ye khayal kia ke Hazrat Ali(R.A) Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) aur Hazrat Umer(R.A) se zayada khilafat ke mustahiq the tu ais ne sirf Hazrat Abu Baker(R.A) wa Hazrat Umer(R.A) hi ko nahi bulke tamam mahjarin wa insar ko khatakar thairiya.

Hazrat Sharik(r.a) kehte hain ke jis shaks ma ik zara se bhi naiki hai wo kabhi ye nahi keh sakta ke Hazrat Abu Baker wa Hazrat Umer(R.A) ke muqable ma zayada mustahiq khilafat the,

Hazrat Abu Usama(r.a) farmate hain ke ke logo!tum ko mauloom hai ke Hazrat Abu Baker wa Hazrat Umer(r.A) kon the ,wo duno hazraat islam ke liye bamanzala maa baap ke the.
Hazrat Jafer Sadiq(R.A) farmate hain ke jo shaks Hazrat Abu Baker wa Hazrat Umer(R.A) ko bhalai ke sath yad na kare tu ma aise shaks se bilqul baizar aur log hon.

Ain mauafqaat qurani se sirf beeis maqamat ka zikar:-

Ibn Mardoiya ne Mujahid se rawiyt ki hai ke Hazrat Umer(R.A) jo kuch raye(kisi eiham masle ma)daite the quran kareem ka hukam ais ke mautabiq nazil hota tha Ibn Aasker Hazrat Ali(R.A) ka qwol naqal kerte hain ke akser quran sharif ma Hazrat Umer(R.A) ki rayain majood hain.Ibn Umer(R.A) se marvi hai ke ager bauz amoor ma logon ki rayain kuch aur hovain aur Hazrat Umer(R.A) ki kuch aur tu quran sharif Hazrat Umer(R.A) ki raye ke maufiq nazil hota tha!

Bukhari(r.a) aur muslim(r.a) Hazrat Umer(R.A) se (marfoan) rawiyt kerte hain ke mere Rab ne meri raye se teen mauqon per itefaq farmiya awal ais waqt ke jab ma ne Rasool Allah(S.A.W) se aarz kiya ke kaash hum maqam e Ibrahim ko apni namaz ki jagah banate tu ais ke bad hi ye ayat nazil hovi waatkhaz wa aman maqam Ibrahim masle () dosre ma ne aarz kiya ke Hazoor aap ki khidmat ma har tarah ke log aate jate hain aur wahan azwaj e mohtarat bhi hoti hain.Behter ho ga aap ain ko parda karne ka hukam farma daite tu ais guzarish ke bad hi ayat hijab nazil hovi.Tessere jab azwaj mohtarat Hazoor(S.A.W) ko naan wa nufqa ki taangi ke silsala ma)ghirat dalane per yak jan aur muhtad ho gayin tu ma ne Baregha risaalat ma aarz kia:Aisa Raba ain talqkan ain yabdlha azwaja khaira mankan   ais ke bad wohi nazil hovi aur bilqul yehi ilfaz Bari Tallah ne irshad farmaye.(bilqul inhi ilfaz ke sath wahi nazil hovi).

Muslim(r.a) ne Hazrat Umer(R.A) ki zubani biyan kia hai ke aap ne farmiya ."Allah Tallah meri raaye ki maufaqat teen maqamat parki ,parde ke bare ma.Maqam Ibrahim per namaz ke bare ma .Iseeran Bader ke qaziya ma.Aur aisi hadees se aik chothe mauqa ka bhi izhar hota hai yani ghirat dilane ke masala per.

Imam Noovi(r.a) Tehzeeb ma ais tarah likhte hain ke quran sharif ma Hazrat Umer(R.A) ki raye se 4 jagah itefaq kiya gaya .Iseeran Bader.Parda azwaj moutahrat ,maqam Ibrahim aur tehreem sharab,chauncha ais se panchwain baat tehreem sharab ki silsala ma pai.Ais silsala ma Hakim ne Sanan aur maustadraq ma ais tarah biyan kia hai ke Hazrat Umer(R.A) ne dawa ki ke Elahi sharab ke bare ma hamare liye wazah biyan farma dijiye ais ke bad shirab ke haram hone per ayat nazil ho gai.

Ibn Abi Hathim ne apni tafseer ma Hazrat Anas(R.a) se ais tarah rawiyt ki hai ke Hazrat Umer Farooq(R.A) ne farmiya ke Khudawand Tallah ne mujh se char baton ma maufaqat farmai hai ain ma se aik ye ke jab ayat laqad khalqnal insan salatah min teen() nazil hovi tu aise sun ker meri zuban se baisakhta nikala fatabaruk Allah ahsan al khalaqeen()ais ke bad hi ye ayat nazil ho gai.Ais hadees se mauqam maufaqat ka chata mauqam zahir ho gaya.

Ais hadees ke dosre tarq bhi Hazrat Ibn Abbas se marvi hain jin ko ma ne apni tafseer masnad ma biyan kia hai phr mere mautala se kittab fazail al mabain Abu Abdullah Shaibani guzari tu ais ma ma ne deikha ke Hazrat Umer(R.A) ne farmiya hai ke ais Rab ne ais se ikis(21) jagah maufqat farmai hai unho ne mazokara bala chey(6) mauqamat ka zikar karke Abdullah Ibn Abi ke waqiah likha hai ke :-

7-Jab Abdullah Ibn Abi mara tu ais ke logon ne Rasool Allah(S.A.W) ko namaz janaza ke liye bauliya(aur khawastgar hove ke ais ki namaz janaza aap perhain )jab Rasool Akram(S.A.W) rawangi ke liye tayar hove tu ma bhi khara hova lakin mere dil ma ye bat ayi aur ma ne Rasool Allah(S.A.W) se aarz kia ke Ya Rasool Allah ye Abdullah Ibn Abi sakht tareen tu bara sakht tareen dushman tha aik din tu wo  ais tara keh raha tha.Bakhuda abhi thori dair hi guzari thi ke ye ayat nazil hovi.Wala tasal ala ahad manhum maat abda al akh(aur jab ain ma se koi mare tu ais per namaz na perhe)-

8-Nazol ayat yaslonaka aan al khamer wal mayasir al kha(wo aap se sharab ke bare ma sawal kerte hain)

9-Yaahaalzeena aamano la taqarbo al kha ka nazol.

meri raye hai ke mazkora duno ayatain bulke guzashta ma teesri baat jo biyan hovi wo aik hi silsala ki chezain hain.

10-Jis waqt Rasool Akram(S.A.W) aik qwom ke haq ma dawae mughfarat farmane lage tu ma ne aarz kia sawa elihum tab bhi ayat sawa elihum astaghfarat lahaum al kha nazil hovi(Tabrani ne ais ko Ibn Abbas(r.a) se rawiyt kia hai).

11-Jis waqt Rasool Akram(S.A.W) ne jang e Bader ke silsala ma sahaba karam (r.a) se bahir nikal ke larne ki silsaly ma mashwara kia tu ais waqt Hazrat Umer(R.A) ne nikalne hi ka mashwara  diya tha aur tab hi ayat kama akhar jak rabak man baik al kaha(aap ke Rab ne aap ko ghar se bahir larne ke liye nikala)nazil hovi.

12-Hazrat Ayesha(R.A) ke qaziya namarziya ke silsala ma jab Rasool Allah(S.A.W) ne aap se mashwara farmiya tu Hazrat Umer(R.A) ne aarz kia ke Hazoor(S.A.W) aap ka nikah kis ne kia tha?Hazoor Akram(S.A.W) ne irshad farmiya Allah ne!ais waqt Hazrat Umer(R.A) ne aarz kia aap ye khiyal kerte hain ke aap ke Rab ne ap se ain ke aaib ko chupaya ho ga.Bakhuda!ye Hazrat Ayesha(R.A) per sab kuch bohtan hai.Subhanaka haza bohtan azeem   bas aisi tarah ayat nazil hovi.

13-Ibtadae islam ma ramzan sharif ki raat ma bhi biwi se qarbat mana thi,Hazrat Umer(R.A) ne ais ke bare ma kuch aarz kia.Ais ke bad(shab ma majamat ko jaaiz qarar dai diya gaya)aur ayat nazil hovi ahal lailata saaiyam alrafat alkha.

14-Ibn Hathim ne berriwayt Abdul Rehman Bin Abi Yaali biyan kia hai ke aik yahodi Hazrat Umer(R.A) se mila aur aap se kaha Jibrael farashta jis ka zikar tumhare Nabi(S.A.W) kerte hain wo hamara dushman hai ye sun ker Hazrat Umer(R.A) ne farmiya.man kana adoallah wa malaikta warasoolaalah wa jibrael wa meakal faan Allah ado laka fareen () pas bilqul inhi ilfaz ma ayat nazil hovi ais hadees ko Ibn Jareer ne chand tareeqon se biyan kia hai mager maufqat se zayada qareeb yehi hai jo oper mazkora hova hai.

15-Allah Tallah ke irshad fala warabuk yamanon al kha (aap ke rab ki qasam wo eman nahi layain gaye) se maufqat raye ka waqaih Ibn Abi Hatim aur Ibn Mardoiya ne Abu al la Saood(r.a) se asi tarah biyan kia hai ke dou shaks larne ke bad insaf ke liye Hazoor(S.A.W) ki khidmat sharif ma hazir hove aap ne ain ke qaziya ka faisala ker diya lakin jis shaks ke khilaf ye faisala hova tha ais ne kaha ke chalo Hazrat Umer(R.A) ke pas chalain aur ain se faisala karain.

Chaunacha ye duno pohnche aur jis shaks ke maufiq Hazoor(S.A.W) ne faisala kia tha ais ne Hazrat Umer(R.A) se kaha ke Hazoor(S.A.W) ne tu hamara faisala ais tarah farmiya tha lakin ye mera sathi nahi mana aur ais ne kaha ke awo Hazrat Umer(R.A) ke pas faisala ke liye chalain.Hazrat Umer(R.A) ne farmiya zara thairo ma ata hon .Aap ander se talwar nikal laye aur ais shaks ko jis ne Hazoor(S.A.W) ka faisala nahi mana tha aur Hazrat Umer(R.A) ke pas chalne ko kaha tha qatal ker diya,dosra shaks bhaga hova Rasool Allah(S.A.W) ki khidmat ma hazir hova aur ais waqiah ki  itlah Hazoor(S.A.W) ko pohnchai.

Aap(S.A.W) ne farmiya ke mujhe tu Umer(R.A) se ye umid nahi ke wo kisi momin ke qatal per ais tarah jurat karain.Ais per Allah Tallah ne ayat fala warabuk la yaumonona nazil farmai aur asi shaks ka khoon raye gah gaya aur Hazrat Umer(R.A) ais ke khoon se bari rahe .(ais hadees ko aur bhi tareeqon se biyan kia gaya hai jin ko ma ne apni tafseer masnad likha hai)

16-"Ghar ma dakhla ke liye ijazat lai lo"hova yaun ke Hazat Umer(R.A) aik roz sou rahe the aur aap ka aik ghulam bay dharak (bagair ijazat talab kiye)ander chala aya,ais waqt aap ne dawa farmai ke Elahi !baghair ijazat ke dakhil hona haram farma daye.Pas ayat aistezan(hasol azaan)nazil hovi.

17-Hazrat Ali(R.A) ka ye farmana ke yahood aik hiran wa sard gardan qoam hai air aap ke asi qwol ke mutabiq ayat nazil hona.

18-Ayat saltah ila waleen wasaltah min la akhareen() ki shan nazol ka qisa wohi hai jis ko Aasker(r.a) ne berriwayt Jaber Bin Abdullah biyan kia hai.

19-Ayat Al sheikh wal sheikhta aza zeena ka mansokh al talawat hona bhi aap ki raye se maufqat rakhta hai.

20-Jang e Ohad ma jab Abu Sufiyan ne kaha afi al qwom falan tu Hazrat Umer(R.A) ne farmiya la tajeebna ho(ais ka jawab na dou) aur Rasool Allah(S.A.W) ne aap ke ais qwol se maufqat farmai,ais waqiah ko Ahmed(r.a) ne apni masnad ma biyan kia hai aur kaha hai ke ais ke sath ais qisa ko bhi mila laina chahye jise Usman Bin Saeed al Darami ne apni kitab ma Salim Bin Abdullah se rawiyt kia hai jo ais tarah hai ke aik roz Kaab Ahbar ne kaha  ke aasman ka badshah zameen ke badshah per afsos kerta hai.Hazrat Umer(R.A) ne ye sun ker Kaab Ahabar(r.a) ne kaha Wallah Toorait ma ye ilfaz hain,ye sun ker Hazrat Umer(R.A) sajde ma gir gaye.(sajdah shukar baja laye).

21-Ma ne Kamil Ibn Aadi ma  Abdullah Bin Umer(R.A) ke havala se ye mautala kia hai ke jab pehle Hazrat Bilal(R.A) azan diya kerte the tu ashadwan ain la ila ilha Allah ke bad hiya alal salat kaha kerte the.Hazrat Umer(R.A) ne tajweez paish ke ke tum ashadwan la ilha ila Allah ke bad ashadan Muhammad al Rasool Allah bhi kaha karo,Rasool Akram(S.A.W) ne Hazrat Bilal(r.a) se farmiya ke jis tarah Umer(R.A) kehte hain kaha karo.

1-Aap maqam Ibrahim ko namaz perhne ki jagah bana laijiye.
2-Hum ne insan ko gandhi hovi(khameer ki hovi)mati se paida kiya hai.
3-Pas barkat wala hai wo jo tamam khalaqon ma sab se behter aur bartar khaliq hai.
4-Jo shaks Allah ,ais ke farishton ais ke Rasoolon aur Jibrael wa Maekail(A.S) se dushman kare tu kafron  se Allah ais dushmani ka badla lain gaye.
5-Ain ka aik bara garoh agley logon ma se ho ga aur aik bara bara gorah pechely logon ma se ho ga.

Karamat Hazrat Umer(R.A)

Behaqi(r.a) aur Abu Naeem(r.a) ne dalail al nabovat ma aur al laqai ne sharah al sana ,Ibn la Arabi ne karamat al awoliya ma aur Al khattib ne Zawat Malik(r.a) ma nafa se  berriwayt Ibn Umer(R.A) biyan kia hai ke Hazrat Umer(R.A) ne Saariya nami aik shaks ko ameer lashker bana ker aik jang per mamor kia ,kuch aarsa bad aik roz aap ne asnaey khuttba farmiya(aye Saariya pahar ki taraf )ye jumla aap ne teen martaba duhriya ,chand roz ke bad ais lashker ka farastadah aik ilaichi aya aap ne ais jang  ke halaat daryaft kiye ais ne kaha ke aye ameer al momaneen hum ko shikast ho chuki thi yakayak hum ne teen bar ye awaz suni ke"aye Saariya pahar ki taraf "

chaunacha hum ne foran pahar ki taraf rukh kiya .Humara odhar rukh karna tha ke jang ka rukh badal gaya aur Allah Tallah ne hamare dushmano ko shikast dai di.Ibn Umer(R.A) kehta hain ke jab khuttaba ke doran aap ne ya sareetah al jabal kaha tha tu logon ne Hazrat Umer(R.A) se aarz kiya tha ke Saariya tu Nahwand(ajum) ma hain aur aap  ain ko yahan pukar rahe hain.

Ibn Mardoiya ne Memoon Mehran ke havala se likha hai Hazrat Umer(R.A) juma ka khuttaba dai rahe the ke achanak aap ne khuttaba  ke doran farmiya  "aye Saariya pahar ki taraf hat jis shaks ne bhairiye ki hifazat ki ais ne zulm kiya".Log doran Khuttaba aap ki ye bat sun ker aik dosre ka maun takne lage Hazrat Ali(R.A) ne farmiya ke ais waqt unho ne jo kuch kaha hai ais ka pata lag jaye ga.

Chaunacha aap jab namaz se farigh hove tu logon ne sawal kiya ke aap ne ye kiya farmiya?aap ne famiya ke aus waqt mere dil me ye bat paida hovi ke hamare bhai kafron ke hath se shikast kaha gaye hain aur ais waqt wo pahar ki taraf se guzar rahe hain ager wo yahan se palte tu aik muslman shaheed ho jaye ga aur ager agey barhe jab halak ho jayain gaye .Lehaza meri zuban se ye ilfaz nikal gaye(ke kisi tarah ain ki salamti hai).Aik mehaine ke bad jab aik qasid fatah ki khushkhabri lai ker aya tu ais ne kaha ke hum ne lashker ma Hazrat Umer(R.A) ki awaz suni aur hum pahar ki taraf hat gaye ,Allah Tallah ne hum ko fatah ata farma di.

Abu Naeem ne dalail ma Umer Ibn Haris se rawiyt ki hai ke Hazrat Umer(R.A) juma ka khuttaba perh rahe the ke aap ke darmian ma khuttaba tark karke teen bar ye farmiya ke "Aye Saariya pahar ki taraf ja ".Aur ais ke bad phr khuttaba chorou ker diya .Hazrin ma se bauz logon ne kaha ke aap ko janoon la huqq ho gaya hai.Hazrat Abdul Rehman Bin Auof ,Hazrat Umer(R.A) se qadre baytakluf the unho ne kaha ke aaj aap ne aisa kaam kiya hai ke log aap per zuban taan daraz ker rahe hain.aap tu khuttaba dai rahe the ke yaka yak cheekhane lage ya saaritah al jabal lage ap ne farmiya Khuda ki qasam ma ye kehne per majbour ho gaya tha ke ma ne deikha ke muslman pahar ke pas lar rahe hain aur dushman aun ko agey aur pechey se ghirey hove hai ye deikh ker mujh  se zabt na ho saka aur ma ne keh diya ke"Saariya pahar ki taraf hat ja"

Ais waqiah ke bad Saariya ka khat aik qasid lai ker aya ais khat ma likha tha ke juma ke roz hum dushman se lar rahe the aur qareeb tha ke hum shikast pa jayain ke aain namaz juma ke waqt hum ne kisi ki awaz suni ke "Saariya pahar ki taraf hat ja".Chaunacha hum pahar ki tarf hat gaye aur hum ko dushmano per fatah hasil ho gai aur inhain hum ne teh taikh ker dala.

Umer Bin Haris kehhain ke jin logon ne ais roz aap per zuban tan daaraz ki thi unho ne ais shahdat per bhi yehi kaha tha ke ye sa kuch tasnah aur banawat hai.(nauzbillah) Jumra ka ghar jal gaya:-

Abu al Qasim  Bin Bashrn ne fawaid ma Ibn Umer(R.A) se rawiyt ki hai ke Hazrat Umer nin Kittab(R.A) ne aik shaks se daryaft kia ke tumhara naam kia ai ais ne kaha Jumra ( changari)ap ne daryaft farmia  baap ka nam ais ne kaha Shahab (shula) aap ne ais ke qabeele ka naam daryaft kia aise ne harqa(aag) bataiya,aap  ne ais ka watun daryaft kia ais ne bataya Hira(garmi) aap ne kaha hira kaha waqiah hai aise ne kaha natmi(shula)ma,ye sun ker aap ne farmiya apne eihal wa aiyal ki jald khaber lo wo tu jal mare,wo shaks apne ghar gaya tu waqai ais ke ghar ko aag lag chuki thi aur sab ke sab jal mare theMalik ne motah ma bhi aisi tara rawiyt ki hai.

Hazrat Umer(R.A) ka nama daryae Neel ke naam:-

Abu al Sheikh al Asmat ma Qais Ibn Hajaj se rawiyt kerte hain ke jab Umroo Bin Al Asas ne Misar fatah kiya tu aik maqarah din per jo eihal Ajum ka mamol tha,bohat se log Hazrat Umroo Bin Al Asas ki khidmat ma hazir hove aur kaha ke hamrai khaiti bari ka daromadar daryae Neel ke pani per hai jab daryae Neel khushk ho jata hai tu aik qadeem taraqey (totkae) ke baghair ais ma pani nahi barhta. 

Hazrat Umer Bin Al Asas(R.A) ne daryaft kia ke wo qadeem tareeqa kia hai unho ne kaha ke jab chand ki giyrah tareekh ati hai tu hum aik kaanwari larki ka intekhab karke ais ke waladain ke razamandi se aise ala darja ke zeewarat aur kapre pehnate hain aur phr ais ko daryae Neel ke bhaint charaha daite hain(pas ais martaba hi daryae Neel ma pani nahi hai hume bhaint charhane ki ijazat di jaye).

Hazrat Umroo Bin Al Asas ne kaha ye tamam  loghv aur baysaropa batain hain islam tu ain tamam batil baton aur wehmon ko matane aya hai chauncha aap ne ijazat na di aur daryae Neel bilqul khushk ho gaya bohat se log tark watun per amadah ho gaye.Chaunacha Hazrat Umroo Bin Al Asas  ne tamam waqiah se Hazrat Umer(R.A) ko agah kia.Hazrat Umer(R.A) ne jab ye khat perha tu aap ne ain ko jawab ma likha ke tum ne Misrion ko bohat acha jawa diya,islam ain tamam loghv baton ko matane aya hai,ma asi khat ke hamra aik ruqah malghof ker raha hon ais ko daryae Neel ma dal daina.

Jab Hazrat Umroo Bin Al Asas ke pas wo khat aya tu aap ne ais ruqah ko perha ais ma likha tha ke:.

Banda Elahi Umer al Momaneen ki taraf se daryae Neel ko maulom ho ke ager tu khud bkhud jari hota hai tu mat jari ho aur ager Allah Tabark wa Tallah jari farmata hai tu ma Allah wahid hi se astdah kerta hon ke tujhe jari kar dai.Faqat
Hazrat Umroo Bin Al Asas ne ais ruqah ko salaib sitarah ke talooh hone ke pehle daryae Neel ma dal diya ,jab eihal e Misar subah ko aidar hove tu deikha ke ais ko Allah Tallah ne aisi tarah jari ker diya hai ke mamol se 16 guz pani zayada char gaya hai aur aisi din se eihal Misar ki ye mazom aur jehalana rasam hi khatum ho gai.

Hazrat Umer(R.A) jhot baat pehchan laite the:-

Ibn Aasker ne Tariq Bin Shab se rawiyt ki hai ke Hazrat Umer(R.A) ki khidmat ma aik  shaks hazir hova aur aap se koi jhoti baat kahi ,aap ne ais se farmiya chup rah!ais ne phr wohi baat dohrai ,aap ne farmiya chup rah tab ais shaks ne kaha ke ma aap se jo baat kehta hon wo sach hoti mager aap ne mujhe jis baat per chup rehne ka hukam diya wo fi al waqiah jhot thi.Imam Hassan(r.a) farmate hain ke Hazrat Umer(R.A) jhot pehchan liya kerte the aur ye baat aap ke liye makhsos thi.

Behqi ne dalail ma Abu Hadba Hamsi se rawiyt ki  hai ke Hazrat Umer(R.A) ko ye kahber mili ke eihal Iraq ne aap ke mauqarer kar dah wali ko sangsar karke halak ker diya hai.Ais khaber se aap ko bohat sakht gusa aya aur aap ne taaish ki halat ma ghar se bahir tashrif laye namaz perhi aur ye dawa ki:
.
"Elahi!ager ain logon ne mujhe dhoka diya hai tu ain ko apne wabal ma giraftar farma aur ain per qabeela Bani Taqeef ka aik cho kara maslat farma dai jo ain per aisi hakomat kare jaise ehad jehliat ma ki jati thi aur Elahi na ain ke naik (amal) ko qabool farma aur na amal bad se darguzar farma."

mera khiyal hai ke ais kamsan zalim hakim se aap ka maqsood hajaj Bin Yousaf  Saqfi tha.Ibn Lehya ke khiyal hai ke wo choukera abhi paida nahi hova.

(1)Seerat Hazrat Umer(R.A)

Hazrat Umer(R.A) bait ul maal se kya hasil kerte the:.

Ibn Saad ne Ahnaaf Bin Qais ke havala se likha hai ke hum log Hazrat Umer(R.A) ke darwaze per bhaithe the itne ma aik londi guzari logon ne kaha ke ye mere ameer ul momaneen ki bandi hai ye sun ker Hazrat Umer(R.A) ne farmiya ke ye ameer ul momaneen ki bandi hai ye sun ker Hazrat Umer(R.A) ne farmiya ye ameer ul momaneen ki bandi nahi hai aur  kaisi bandi  kaisi kaneez!jab ke ameer ul momaneen ke liye bait ul maal (Allah ke maal )se ain ko kaneez rakhna hilal bhi nahi hai hum ne aarz kiya ke phr Allah ke maal se aap ke liye kya hal hai .Hazrat ne jawab diya Hazrat Umer(R.A) ke liye tu bas dou jori kapre aik jora mauson sarma ke liye aur aik mausom garma ke liye ,haaj aur umrah ka kharch ,meri aur mere ghar ke logon ki ghaza jaisi ke aam tour per Quraish istemal kerte hain ke ma aik mamoli muslman jaisi haisiat rakhta hon!

Hazrat Umer(R.A) ki janib se governeron ke liye shariat nama:.

Huzaima Bin Sabit kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) jab kisi shaks ko wali maqerer farmate the tu ye shariat rakhte aur ain shariat ko zabt tehreer ma lai aate the,ke wo turki ghore per sawar na ho aala darja ki ghaza na kahe.Bareek (reshami) kapra pehne ga .Eihal hajaat ke liye apne darwaze ko band nahi karega.Ager aisa kare ga tu saza ka mustahiq ho ga.(Aap walion ko bhi ahakam ki khilaf warzi per saza daite the).

Awlad ka mashwara qabool karne se inkar:!

Akarma Bin Khalid kehte hain ke aap ki sahabzadi Hafsa aur sahabzade Abdullah ne aik roz aarz kiya ager aap omdah ghaza khain tu amor khilafat aur zayada mustadi se injam dain aur amer haq per bhi aur zayada qawi ho jayain,aap ne farmiya bachon!ais meshware ka shukriya lakin ma ne apne duno doston ,Rasool Khuda(S.A.W) aur Hazrat Abu Baker(R.A) ko aik khas dastor ka paband deikha hai ager ain ki rosh aur dastour ke mautabiq amal nahi karon ga tu ain ki manzil kis tarah pa sakon ga .Logon ka biyan hai ke qehat saali ma jo aik saal tak jari rahi,aik sal tak matwater aap ne ghee aur ghosht tanaval nahi farmiya.

Ibn Abi Malika(r.a) kehte hain ke Atbah Bin Farqad ne Hazrat Umer(R.A) se (aisi zamana ma )achi ghaza khane ko kaha tu aap ne jawab diya ke afsos ais chand roza zindagi ma achi ghaza khane aur ais se matmatah hone ki kya zarorat hai.

Hazrat Hassan(r.a) farmate hain ke Hazart Umer(R.A) apne farzand Asim ke pas aye tu deikha wo ghosht kaha rahe hain,Hazrat Umer(R.A) ne kaha ye kya hai unho ne jawab diya ke ghosht khane ko jee cha raha tha (pas ghosht kaha raha hon).Tab aap ne farmiya tab tu tum har chez ki chori karne ke liye bhi tayar ho jawo gaye.

Aslam(r.a) kehte hain ke Hazart Umer(R.A) ne farmiya ke taza mechali khane ko dil chata hai chauncha aap ke ghulam Yarfa ne aunt dohriya aur aik mechali kharid laya.Wapsi ma unt ko bhi nehliya ,aap ne famriya mechali abhi rakh dou ma pehle aunt ko deikh lon chauncha aap aunt ke pas gaye aur aap ne aunt ke kan ke nechey pasina behta hova deikh liya,ghulam se farmiya ke tum ais ko dhona bhol gaye.Afsos ma ne apni khawaish ke liye gharib janwar ko takleef di ais surat ma Bakhuda ais mechali ko chukh bhi nai sakta.

Paiyund dar saof ka labas.

Qatadah(r.a) kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) akser saof ka libas pehnte the jis ma chamre ka paiyund laga hova tha halanke aap kahlifa (ameer al momaneen) the.Aur aisi libas ma darha liye hove bazar tashref laye jate aur eihal e bazar ko adab wo tanbeh se farmate the,ager aap ke raasta ma kahain tarkash ki rasi ya choware ki ghutali pari hoti tu aap ais ko otha ker logon ke gharon ma phaink daite the take wo asi se dobara faida othain.
Hazart Anas(r.a) farmate hain ke ma ne Hazrat Umer(R.A) ke kurte ma shane ke qareeb char paiyund lage deikhe.Abu Usman al Nehdi kehte hainke Hazrat Umer(R.A) ke pajame ma chamre ka paiyund laga hova tha.

Hazrat Umer(R.A) safar ma paro kerte tu nehaiyat sadgi se:.

Abdullah Bin Amir kehte hain ke ma ne Hazrat Umer(R.A)ke se sath hajj kiya,safar ke doran aap manzil per jab parao kerte tu koi khaima ya shamiyana nahi lagwate the bulke kisi darkhat ke nechey kambal ya kapre wagirah ka saiban dal liya kerte the aur aisi ke saaiya ma aram farma liya kerte the.

Abdullah Bin Isa kerhte hain ke Hazrat Umer(R.A) ke chehre per kasrat giryah se dou saaiya lakarian par gai thain.

Hazrat Hassan(R.A) kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) jab kisi ki iyadat ke liye tashreef lai jate the tu ais ko ghulab ki pankhrian (hadiya)dai daite the.Hazrat Anas(r.a) farmate hain ke ma aik bagh ma gaya tu ma ne Hazrat Umer(R.A) ki awaz suni(mere ain ke darmian dewar haail thi)wo keh rahe the ke Umer Khittab ka baita aur ameer ul momaneen ka mansab!wah kia khoob!aye Umer Allah se darte raho warna Allah tum ko sakht azab dai ga.

Abdullah Bin Amir(r.a) ka Hazrat Umer(R.A) ne zameen se aik tinka otha ker kaha ke kaash ma ain tinke ki tarah hota ,kaash ma kuch na hota,kaash ma paida na hota .Obaid Allah Bin Umer Bin Hafas kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) apni phith per pani mushk ladai ja rahe the ,logon ne kaha ye aap ne kia kya!ap ne jawab diya ke mere nafas ma gharor paida ho gaya tha pas ma ais ko ais tarah zalel ker raha hon.

Muhammad Bin Sareen kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) ke khaser bait ul maal se kuch laine aap ke pas aye tu aap ne ain ko sakhti se mana ker diya aur kaha kia aap ki ye khawaish hai ke Allah Tallah mujhe ain badshaon ki ferhaist ma shamil kare jo khaiyanat kiya kerte the,ais ke bad apne zaati maal se das(10) darhum ain ko dai diye.

Kar khilafat aur karobar tijarat:.

Imam Nakha(r.a) kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) apne eihad khilafat ma baraber tijarat kerte rahe ,Hazrat Anas(R.a) kehte hainke 17 hijj ma qeht pera,ais khushk saali ma Hazrat Umer(R.A) ne ghee ka istemal bilul tarq ker diya tha aur ais ke bajaye roghan zaitoon istemal kia kerte the jis ki wajah se aap ke pait ma qaraqar rehti thi,aik martaba jab aisi tarah ki qaraqar aap ke pait ma paida hovi tu aap ne halaq ma aungaliyan dal ker qai ker di aur farmiya ke hamare liye ye bhi munasib nahi kyunke awam qeht ki musibat ma giraftar hain aur sari qwom bhoki hai.

Sufiyan Bin Aabina ka biyan hai ke Hazrat Umer(R.A) farmate hain ke mujhe sab se zayada shaks wo pasand hai  jo mujhe mere nuqais se agah kare .Aslam(r.a) ka biyan hai ke ma ne bachum khud deikha hai ke aap  aik hath se ghore ka kan pakre hain aur dosre hath se pane kan pakre hove hain aur phr ghore ki than ki taraf jhuk gaye.

Ibn Umer(r.a) farmate hain ke ma ne hamesha yehi deikha ke jab kabhi aap ko ghusa aya aur kisi ne aap ko Khuda ka khof yad daaliya ya quran sharif ki koi ayat perh di ,Allah Tallah ka zikar kiya!pas aap ka ghusa foran kafour ho gaya.

Hazrat Bilal(r.a) ne Hazrat Aslam se Hazrat Umer(R.A) ke bare ma daryaft kia ke  tum ne Hazrat Umer(R.A) ko kaisa paya tu unho ne jawab diya ke wo sab se ache admi hain lakin jab aun ko ghusa aata hai sambhalna mushkil ho jata hai ye sun ker Hazrat Bilal(r.a) ne farmiya ke jab wo ghuse ma hote hain tu ais waqt tum koi ayat kyo nahi perh ker phonkte taake aunka sara ghusa khatum ho jaye.

Ahwas Bin Hakim apne walid ke havale se biyan kerte hain ke aik bar Hazrat Umer(R.A) ke samne aisa ghosht paish kiya gaya jis ma ghee pera hova tha,aap ne ais ko khane se inkar ker diya ke har aik se alaidah jab salan ban sakta hai tu phr malane ki kya zarorat thi.
Ibn Saad(r.a) ne Hazrat Hassan(R.a) se rawiyt ki hai ke Hazrat Umer(R.A) ne farmiya ke mujhe ye asan mauloom hota hai ke ma aik qwom ki islah ker don bamauqabla ais ke kay aik ameer ko dosre ki jagha tabdeel ker don.

Sarapaye Hazrat Umer(R.A)

Ibn Saad(r.a) aur Hakim(r.a) Zar(r.a) se biyan kerte hain ke eid ke din ma Madinah ke logon ke sath sheher se bahir nikala tu ma ne Hazrat Umer(R.A) ko paidal jate hove deikha ,aap ka rang gandami tha.Khud pehnane ki wajah se aap ke sir ke baal gir gaye the.Aap ka qad lamba tha,aap ka sir dosre logon ke siron se auncha mauloom hota tha aisa mehsos hota tha ke aap kisi janwar per sawar hain.

Waqadhi kehte hain ke jo log Hazrat Umer(R.A) ka rang gaundami batlate hain unho ne aap ko qeht ke zamane ma deikha ho ga ,roghan zaitoon ke istemal ne aap ka rang gandumi ker diya tha.

Ibn Saad(r.a) ne Hazrat Ibn Umer(R.A) Ki rawiyt se aap ka sarapa biyan kia hai ke aap ka rang safaid maail ya surkhi maail tha,sir ke baal jore hove the aur burhape ke asar naumaiya the.

Obaid Bin Umair kehte hain ke aap tamam logon ma auonche mauloom hote the.Salma Bin Akwah kehte hain ke aap tamam kaam bayain hath se kia kerte the.
Ibn Aasker ne Ibn Raja aa al Attari se rawiyt ki hai unho ne bataya ke Hazrat Umer(R.A) taavil qamat aur farba andam shaks the,aap ki baal bohat zayada jhore hove the,rang gora chita tha jis ma surkhi jhalak marti thi,gaal ander ko dhanse hove the aur maunchain bohat lambi thain aur ain ke atraf ma bhi surkhi thi.

Ibn Aasker ke tarikh ma majood hai ke aap ki waldah majdah Hantmah Bint Hasham Bin Mughira yani Abu Jahal ki behain thain(aise rishta se Abu Jahal aap ka mamo tha).

1-Aab tak eihal Iraq per aise bohat se zaalim naujawan hukmaran guzar chuke hain.

Tarikh khilafat wa fatohat:.

Hazrat Umer(R.A) Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki hiyat hi bamah jamadi al akhir 13 hijj khilafat ke liye namzad ho gaye the.Zehri(r.a) kehte hain ke Hazrat Abu Baker(R.A) ka jis roz inteqal hova  aap aisi roz mauntakhib ho gaye the yani berroz saa shanba 22 jamadi ul akhir 13 hijri!

Aap ke doure khilafat ma behad fatowahat ho jayain chaunacha 14 hijj ma dumshuk ,salah aur jang se fatah hova ais ke bad Hamas Babulak per baazriya salah qabiz hove aur aisi saal Basra aur ayla fatah hove ,aisi saal aap ne logon ko jamat ke sath tarveeh perhai.
15hijj ma mulk Aurdan jang se fatah hova aur Tabriya bazriya sulah muslmano ke qabza ma aya .Yarmok wa Qadsiya per zaberdast jangain hovain.Ibn Jareer kehte hain ke ais saal Hazrat Saad ne Kauofa ka sheher basiya.Aisi saal Hazrat Umer(R.A) ne logon ko jagirain muqarer farmain ,dafatir khole aur logon ko atiyat bukshe.

12 hijj ma Ahwaz aur Madain fatah hove,Hazrat Saad(r.a) (Ibn Waqas) ne uwan Kasra ma juma ki namaz ada ki aur ye pehle juma tha jo Iraq ki mumlikat per perha gaya (ye mah safar tha).

Aisi saal jalwa ka waqaih paish aya Yazeed Jard Bin Kasra ne shikast faash othai aur raye ki taraf bhag gaya .Aisi saal Takriat fatah hova aur wahan Hazrat Umer(R.A)ba nafas nafees tashreef laye gaye.Phr Bait ul Muqdas fatah hova aur aap ne sheher Jabiya ma apana mashoor khuttaba diya.Aisi saal Qansareen aur Saroj  jang se halab aintakiya aur manhaj sulah wa safai se fatah hove Aisi saal Qarkisa sulah se muslmano ke qabza ma aya.Aisi saal mah Rabi ul Awwal ma Hazrat Ali(R.A) ke meshwara se saal hijri ka ajer hova.

Masjid Nabvi(S.A.W) ki tauseeh:.

18 hijj ma aap ne Masjid Nabvi(S.A.W) ki tauseeh ka kaam kiya.Aisi saal qeht azeem pera ,aisi nisbat se ais saal ka naam "Am al Ramadatah" rakha gaya.Talab barah ke liye aap ne Hazrat Abbas (r.a) ke sath namaz aistasqah ada farmai.Ibn Saad(R.a) ne Niaz al Salma se rawiyt ke hai ke jis waqt Hazrat Umer(R.A) namaz aistasqah ke liye bahir tashreef lai gaye tu ais waqt aap Rasool Maqbool(S.A.W) ke char mauqadas wa mohtar aurahe hove the.

Hazrat Ibn Aun farmate hain ke Hazrat Umer(R.A) ne Hazrat Umer(R.A) ne Hazrat Abbas(r.a) ka hath pakra aur ais ko buland karke ais tarah dawa ki ,aye Rab ul Alameen!hum aajiz bande tere Rasool(S.A.W) ke chacha ko wasila bana ker tere Hazoor ma aarz kerte hain ke qeht aur khusk saali ko khatum farma dai aur hum per baarane rehmat nazil farma !aap ye dawa maang ker abhi wapis bhi nahi chale the ke baarish chorou ho gai aur kai roz tak matwater hoti rahi .Ahawaz ke sheher Bhis aisi saal fatah hova.

Mazeed fatwahat:.

18hijj ma jand Nisabour(Nisha Pour) sulah se aur halwan jang se muslmano ke qabza ma aa gaye .Aisi zamane ma halwan ma sakht tawon phaila ,jo tareekh islam ma tawon amos ke nam se zikar kiya jata hai.Aisi saal Samsat ,Hiran,Naseebin,bauz jazair jang se fatah hove aur bauz morkhaeen ka khiyal hai ke ye tamam aalaqe sulah ki surat ma qabze ma aye mosal aur ais ke itraf ke aalaqe jang se fatah hove!19 hijj ma Qaisariya bad jang qabza ma aya.

20hijj ma Misar jang ke bad fatah hova,bauz morkheen ke khiyal ke mautabiq Aiskanderiya ke ilwa baqi tamam alaaqe bazzriya sulah hasil hove Ali Bin Riyah kehte hain ke tamam Maghrib (mumalik gharbi)jang se hasil hove aur aisi saal Taster fatah hova !19hijj ma Qasir Rome ka inteqal hova aur Hazrat Umer(R.A) ke Khaiber aur Nijran se Yahod ko jila watun kiya Khaiber aur wadi al Qara ko taqseem ker diya.

21hijj ma jang azeem ke bad Aiskanderiya aur Nahawand fatah hove,ain shehron ke fatah hone ke bad mulk Ajum ma ko sarkash jamat baqi nahi rahi.

22hijj Azerbaijan baqwol bauz jang se aur bauz ke qwol ke mautabiq sulah hasil hova.Ais ke bad Deenwar .Masbazan aur Hamdan jang se fatah hove.Aisi Tarabalis al Gharb.Ray Aasker aur Qomas mumalik Mehrosa ma dakhil ho gaye.

23 hijj ma Karman ,Behstan ,Makran fatah hove bilad jabal se Asbaha(Asfhan)aur ais ke itraf ke aalaqe fatah hove aur aisi sal ke akhir ma hajj se tashreef awari ke bad aap ki shahdat waqiah hovi.

Aap ne Mana se wapis ate hain apni moot ki dawa mangi thi:.

Saeed Bin Maseeb kehte hain ke Umer(R.A) ne Mana se Abtah wapis ate hove apne aount ko raste ma bhaitaliya  

Mazeed Fatohat:.

18hijj ma Jaban Nisabur(Nishapur) sulah se aur Halwan jang se muslmano ke qabza ma aa gaye.Aisi zamane ma Halwan ma sakht tawwun pehla ,jo tareekh islam ma tawwun Amos ke nam se zikar kia jata hai.Aisi sal saal khatum ho gaya.Ais saal Samsat ,Hiran,Nasibiyan aur baaz jazair jang se fatah hove aur baaz morkhaeen ka khiyal hai ke ye tamam aalaqe sulah ki surat ma qabze ma aye mausol aur ais ke itraf ke aalaqe jabg se fatah hove !19hijj ma Qaisariya bad jang qabza ma aya.

20 hijj ma Misar jang ke bad fatah hova ,bauz morakheen ke khiyal ke mautabiq Aiskanderiya ke ilwa baqi tamam aalaqe bazriya sulah hasil hove Ali Bin Riyah kehte hain ke tamam maghrib (mumalik Garbi) jang se hasil hove aur aisi saal Taster fatah hova . Qasir Rome ka inteqal hova aur Hazrat Umer(R.A) ne Khaiber aur Najran se Yahod ko jila watun kiya khaiber aur wadi al Qara ko taqseem ker diya.

.21 hijj ma jang azeem ke bad Aiskanriya aur Nahawand fatah hove,ain shehron ke fatah hone ke bad mulk Ajam ma koi sarkash jamat baqi nahi rahi.

22hijj ma Azerbaijan baqwol bauz jang se aur bauz ke qwol ke mautabiq sulah se hasil hova.Ais ke bad Deenwar Masbazan aur Hamdan jang se fatah hove.Aisi saal Tarabalis Al Gharib ,Ray Asker aur aur Qomas mumalik mehrosa ma dakhil ho gaye.

23 ma Karman ,Sahbastan ,Mukran fatah hove Bila Jabal se Asbhan(Aasfan) aur ais ke aitraf ke eilaqe fatah hove aur aisi saal ke akhir ma hajj se tashreef awari ke bad aap ki shahdat waqiah hovi.

Aap ne Mana se wapis aate hove apni moot ki dawa mangi thi:.

Saeed Bin Maseeb kehte hain ke Umer(R.A) ne Mana se 1 batah wapis aate hove apne aunt ko raaste ma bathliya aur ais ki pusht se takiya laga ke aasman ki taraf hath othae aur ais tarah dawa mangi !Elahi ma borha ho gaya hon mere qawa ma zaaf aa gaya hai.Raghbato ma inteshar aa gaya hai ais se pehle ke ma nikarah ho jawon aur meri aaqal ma fatoor paida ho jaye tu mujhe apne pas talab farma lai!chaunacha aap ki wo dawa qabool hovi aur abhi zillhajj khatum bhi nahi hone paya tha ke ap shaheed ker diye gaye.

Torait ma aap (R.A) ki shahdat ki basharat:.

Imam Bukhari ne Abu Salah ke havala se likha hai ke ma ne Hazrat Umer(R.A) se kaha ke ma ne toorait ma deikha hai(perha hai) aap ne farmiya ye kis tarah mumkin hai ke Arab ma rehte hove ma shaheed ho jawon.(jab ke ma islami ma hisa nahi laita).

Aslam(r.a) kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) ne dawa ki ke Elahi !mujhe apni raha ma shaheed kijiye aur apne mehbob ke sheher ma moot dijiye.(Bukhari)

Shahdat se qabal aik khawab aur ais ki tabeer!:.

Maadan Ibn Abi Talah (r.a) kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) ne khuttaba ma farmiya ke ma ne deikha hai ke Murgh ne mere dou aik thongey mari hain ,ais ki tabeer siwaey ais ke aur kya ho sakti hai ke meri moot ka zamana qareeb aa gaya hai ,mujh se qwom kehti hai ke ma khilafat ke liye kisi walie ihad ka taqarer karon tu yad rakho ke Allah Tallah apne deen aur ais amer khilafat ke sath nahi hai ,mere bad khalifa ka intekhab ain she (6) afrad ke meshwara se hona chahye jin se Hazoor(S.A.W) razamand rehte hain hove jannat ko tashreef laye gaye hain (Hakim)

Asbab e shahdat:.

Zehri(r.a) kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) ka tareeqa kar ye tha ke wo kisi nabaligh larke ko Madina Manawara ma bahir se dakhil nahi hone daite the.Aik bar Hakim Koufa Hazrat Mughira Bin Shauba (r.a) ne Kuofa se aap  ko likha  ke yahan aik bohat hoshiar aur karegar larka majoud hai,ais ko bohat se hunar aate hain lohar aur berhi ka kam khoob achi tarah janta hai.Naqashi bohat umdah kerta hai ager aap ais Madina ma dakhala ki ijazat dai dain  tu ma aus ko  wahan se rawana ker don taake wahan pohnch ker eihal Madina ke kaam aa sake !aap ne ais ko Madina ma dakhale ki ijazat dai di aur likh diya ke yahan bhaij  diya jaye.

Hazrat Mughaira Bin Shuba ne Kaufa ma ais per sou(100) darhum ka akhraj (taiks) aeid ker rakha tha.Yahan Madina aa ker ais ne Hazrat Umer?(R.A) se Hazrat Mughaira(r.a) ki shakaaiyt ki ke unho ne mujh per bohat taaiks laga diya hai .Aap ne farmiya ye taaiks zayada nahi hai.Hazrat Umer(R.A) ka jawab ais ko bohat nagawar guzara aur ghusa se tilmalata hova wapis aa gaya.Chand roz ke bad Hazrat Umer(R.A) ne ais ko phr bauliya aur farmiya ke tu kehta tha ke ager aap kahain gaye tu ma aisi chaki tiyar kar don ga jo hova se chale gi."Ais ne karwae teevaron ke sath jawab diya ke ma aap ke liye aisi chaki tayar ker don ga jis ka log hamesha zikar kiya karain gaye,jab wo chala gaya tu Hazrat Umer(R.A) ne farmiya ke ye larka mujhe qatal ki dhumki dai ker gaya hai.

Aap ki shahdat:.

Ye larka Abu Loloh nami aik dou (1,2)dahara khanjer(jis ka qabza baaich ma tha)aasteen ma chupa ker masjid ma aik gosha ma chup ke bhaith gaya ,abi pou nahi phati thi,Hazrat Umer(R.A) logon ko namaz ke liye jagate hove ghasht ker rahe the jab masjid ma ais ke qareeb se guzare tu ais ne aap ki jism per paydarpe teen war kiye(Ibn Saad).
Umroo Bin Ansari(r.a) kehte hain ke Abu Loloh Mughaira ke ghulam ne Hazrat Umer(R.A) ko dou dhare khanjer se shaheed kiya aap ke ilwa barah aur afrad ko bhi zakhmi kiya,ain maujroheen ma che(6) afrad ka inteqal ho gaya.Ais hal ma jab ke wo logon ko zakhmi ker raha tha aik Iraqi ne ais per kapra dal diya (taake wo uljh jaye aur ais ko paker liya jaye)jab Abu Loloh ais kapre ma uljh gaya tu ais ne aisi waqt khudkhushi ker li.

Abu Rafah kehte hain ke Abu Loloh mughaira ka ghulam chakian banaya kerta tha aur Hazrat Mughira ais se char(4) darhum rozana wasool kiya kerte the jis waqt wo Hazrat Umer(R.A) se mila tu ais ne shikaiyat ki ke aye ameer al momaneen Mughaira(R.A) mujh per zayadati kerte hain aap ain ko tanbeeha ker dijiye,aap ne jawab ma farmiya ke tujhe apne aaqa ke sath achi tarah paish aana chahye,aap ka mansha tu tha ke aap ais ke bare ma Hazrat Mughaira(R.A) se sifarash karain gaye lakin chaunke aap ne wazah tour per nahi kaha tha ais liye Abu Loloh ko aap ka jawab nagawar guzara aur kehne laga ameer al momaneen aap mere siwa har aik ka insaf kerte hain!ais ne aap ke qatal ka irada ker liya aur aik khanjer per dhar rakhi aur ais ko zehar ma bhuja ker apne pas rakh liya .

Hazrat Umer(R.A) ka mamool tha ke aap takbeer se pehle farmiya karte the safain seeidhi ker lou!ye sun ker Abu Lolou saf ma aap ke bilqul mauqabil akhara hova aur foran hi aap ke shane aur pehlo per khanjer se dou(2) war kiye jis se aap gir pare ais ke bad ais ne aur namazion per hamla kiya aur teerah(13) afrad ko zakhmi ker diya(jin se baad ma che afrad hazrat wafat pa gaye)chaunke aftab talouh hova chahta tha ais liye Hazrat Abdul Rehman Bin Auof ne dou bohat hi choti suraton ke sath namaz perhai aur Hazrat Umer(R.A) ko aap ke makan per laye aur aap ko awwalun nabaid paalai lakin wo aap ke zakhmo ke raaste bahir nikali hai,phr aap ko doodh pilaya gaya wo bhi zakhmo se bahir nikal gaya.Logo ne aap ko tasali khatir ke liye kaha ke aap fikar na kijiye(ager doodh aur nabaid zakhmo se nikal gaya tu kuch harj nahi)ye sun ker aap ne farmiya ke ager qatal ma kuch harj bhi hai tu bhi ma qatal ho chuka.

Hazrat Umer(R.A) ke anfaas baz paseen aur aqwal zarrin:.

Log aap ki tareef karne lage ke aap aise the aur aise the,aap ne farmiya Wallah ma chahta tha ke ma duniya se jis waqt rukhsat ho raha hon tu mujh per kisi ka qarz na ho aur na mera kisi per Khuda ka shukar hai ke Rasool Allah(S.A.W) ke suhbat ne mera sath diya aur mujh ko mehfoz rakha.Ye sun ker Hazrat Abbas(R.A) phr aap ki tareef karne lage tu aap ne farmiya ke ager mere pas tamam duniya ka sona hota jab bhi ma ais ko qayamat ki dashat aur aane wale halaat ke dar se Khuda ke rah ma fida ker daita phr aap ne Hazrat Usman,Hazrat Ali,Hazrat Talha,Hazrat Zubair ,Hazrat Abdul Rehman Bin Auof aur Hazrat Saad(RIzwan Allah Tallah Ajmaeen)ki intekhab khalifa ke liye shoara muqarer farma di ke ain ma se kisi ko khalifa muqarer karain.Aur Hazrat Suhaib(R.A) ko logon ki imamat ka hukam diya. Majlees shoara  ke teen ashab ne intekhab se dastbardari dai di.

Hazrat Ibn Abbas(R.A) ke biyan hai ke Abu Loloh majosi tha aur Umroo Bin Memon kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) ne farmiya ke Allah ka shukar hai ke meri moot kisi muslman ke hath se nahi hovi phr aap ne apne baite Abdullah se farmiya ke batao hum kitne maqroz hain?unho ne hisab karke bataya ke takareban cheyasi(86) hazar rupiya qarz hai!Aap ne irshad farmiya ye raqum hamare maal se ada kar daina aur ager ais se pora qarz ada na ho sake tu Bani Adi se mangna aur ager phr bhi na ho tu Quresh se laina !phr farmiya Jawo Um al Momaneen Hazrat Ayesha(R.A) se ja ker kaho ke Umer ye ijazat chahta hai ke wo apne donu doston ke pas dafan ho.Abdullah Ibn Umer Hazrat Ayesha (R.A) ke pas gaye aur Hazrat Umer(R.A) ki khawaish ka izahr kiya tu aap ne farmiya ke ye jagah tu ma ne apne liye mehfoz rakhi thi mager aaj ma apni zaat per Hazrat Umer(r.A) ko tarjeeh daiti hon,Hazrat Abdullah ne aa ker aarz kiya ke Um al momaneen ne aap ko ijazat dai di hai ye sun ker aap ne Khuda ka shukar ada kiya.

Logo ne aarz kiya ke ya ameer al momaneen aap ko wasiatain karna hain ker dijiye aur kisi ko khilafat ke liye bhi mauntakhib farma dijiye.Aap ne irshad kiya ke ma ais kaam ke liye siwaey ain che(6) ashkhas ke jin se Rasool Akram(S.A.W) razi aur khush rah ker duniya se tashreef lai gaye hain,kisi aur ko haqdar nahi samjhta hon,phr aap ne ain che(6) hazraat ke naam liye aur farmiya ke majlees shoara ke intezam ma Abdullah Ibn Umer(R.A) hath batain lakin khilafat se ainhain koi sarokar nahi ho ga.Ager Saad(R.A) Ibn Waqas mauntakhib ho jayain.

Tu wo ais ka aistehsaq rakhte hain wagarna ain che ma se jis ko chahain mauntakhib kar lain.Aur ma ne Saad(R.A) ko kisi khaiyanat!kisi ajaz ki bina per( amamrat se)mauzol nahi kiya tha.Phr aap ne logon se farmiya ke ma apne baad mauntakhib hone wale khalifa ko wasiat kerta hon ke Khuda se darta rahe.Aur tamam Mahjarin(R.A) wa Insar(R.A) aur tamam riyah ke sath naiki se kaam lae aur aisi qism ki bohat se waisaeeyatain farmain aur phr jan afreen ke sapurd farma di.

Hazrat Umer(R.A) ki tadfeen:.

Jis waqt aap ka janaza tayar ho gaya tu log aap ka janaza lai ke chale ,Hazrat Abdullah Bin Umer(R.A) ne Hazrat Ayesha(R.A) ke pas pohnch ker salam aarz kiya aur kaha ke dafan ki ijazat farma dijiye,unho ne ijazat marhamt farma di aur hum ne aap ko aap ke donu doston ke pas supard khak ker diya.

Tadfeen ke bad khalifa ka intekhab:.

Aap ke dafan se farigh ho ker log khalifa ke intekhab ke lye jama hove,Hazrat Abdul Rehman Bin Auof(R.A) ne kaha  ke awwalan meshware ke liye teen admi mauntakhib ker lain chahye.Chaunacha Hazrat Zubair ne apni taraf se Hazrat Ali ko,Hazrat Saad Bin Waqas ne Hazrat Abdul Rehman aur Hazrat Talha ne Hazrat Usman(Rrazi Allah Ajmaeen) ko mauntakhib kiya ye teeno hazraat bahum meshwara karne ke liye aik  taraf chale gaye.Wahan pohnch ker Hazrat Abdul Rehman Bin Auof ne farmiya ke ma ais amer khilafat apne liye pasand nahi kerta ,tum ma bhi ager koi khilafat ki zime dari se bari rehna chahta ho tu mujhe bata dai aisa hi shaks khalifa ka intekhab kare ga,jo koi khalifa mauntakhib kare ga,jo koi khalifa mauntakhib ho ais ke liye zaroori hai ke wo ummat Muhammad(S.A.W) ma sab se afzal ho aur islah ummat ki khawaish rakhta ho.

Hazrat Abdul Rehman ka ye faisala sun ker duno hazraat(Hazrat Ali aur Hazrat Usman Razi Allah Tallah aunah)khamosh rahe ,phr Abdul Rehman Bin Auof ne hi khud daryaft kiya acha ais intekhab ka kam tum mere sapurd ker dou taake ma sab se behter aur afzal shaks ka intekhab ker don.Duno hazraat ne ain se kaha ke hume manzoor hai.Tab aap Hazrat Ali(R.A) ko aik taraf lai gaye aur ain se kaha ke aye Ali(R.A) !aap pehle islam laye hain aur Rasool Allah(S.A.W) ke aap kareebi aziz hain aise liye aap khilafat ke zayada mustahiq hain pas ager ma aap ko khalifa muqarer ker don tu aap qabool ker lain  aur ager aap per kisi dosre ko khalifa maqarer ker don tu aap ais ki itaat karain.Hazrat Ali(R.A) ne farmiya mujhe tasleem hai.Phr aap aisi tarah Hazrat Usman(R.A)ko aik taraf lai gaye aur ain se bhi ainhi baton ka iqrar liya.Hazrat Abdul Rehman  Bin Auof ain duno hazraat se eihad o paiman lai chuke tu aap ne Hazrat Usman(R.A) ke hath per bait ker li aur aap ke bad Hazrat Ali(R.A) ne bhi aap se bait ker li.

Intekhab Khalifa ma bauz dosri riwayat:.

Masanad Imam Ahmed(r.a) ma hai ke Hazrat Umer(R.A) ne aik mauqah per farmiya ke ager ma Abu Abaida Bin Jarah ki zindagi ma inteqal karon tu(hazrat) Abu Abaida(r.a) ko khalifa muqarer kiya jaye aur Allah Tallah mujh se ais bare ma sawal kare ga tu ma aarz karon ga ke har umat ma aik ameen hota hai aur mere ameen Abu Abaida(r.a) hain aur ager meri zindagi ma Abu Abaida(r.a) ka inteqal ho gaya tu phr ma Mauz Bin Jabal (R.A) ko khalifa muqarer karon ga .Ager mere Rab ne ain ke bare ma mujh se sawal kiya tu ma aarz karon ga ke ma ne Rasook Allah(S.A.W) se suna hai ke Mauz(r.a) Bin Jabal qiyamat ke roz ulema ke garoh ma mehshour hon gaye(mager ye duno hazraat aap ki hiyat hi ma wafat pa chuke the.

Hazrat Umer(R.A) se khalifa ke bare ma astafsar :.

Imam Ahmed(r.a) apni masnad Abu Rifey ke havala se biyan kerte hain ke Hazrat Umer(R.A) se aap ke inteqal ke waqt khiafat ke bare ma daryaft kia gaya tu aap ne farmiya ke ma apne ashab ma se kisi ke bare ma wasuq se nahi keh sakta.Albata ager salim (r.a) (Maula Abu Huzaifa(r.a),Abu Abaida(r.a) Bin Jarah baqeed hiyat hote tu ma ain ma se kisi ke mautaleeq keh sakta tha.

Tareekh Shahdat wa Tadfeen aur Umer Sharif:.

Hazrat Umer(R.A) 26 Zilhajj 23hijj berroz chahar shaunba shaheed hove aur yakshanba ke din Gharah Mahrum(chand raat)ko dafan kiye gaye.(1)Shahdat ke waqt aap ki umer sharif 63 saal thi.Bauz ka qwol hai ke cheyasath saal ki umer payi.Bauz kehte hain ke aap iksat(61) saal ki umer ma shaheed kiye gaye ,bauz ne aap ki umer sharif sath(60) saal likhi hai aur Waqadi ne aisi ko tarjeeh di hai .Bauz aqwal ma aap ki umer sharif ke bare ma aunsath saal chawan (54) aur bachpan(55) saal bhi aya hai.

Namaz Janazah:.

Hazrat Umer(R.A) ke janaze ke namaz Hazrat Suhaib(r.a) ne perhai.
Tehzeeb Mazani ma mazkora hai ke aap ki mehar khilafat per ye naqash kunda tha.wa kafi bilmoot waazah(moot admi ke liye aik kafi wauz hai)

1-Aap ki shahdat ke waqiyat ma likha hai ke jab wasaitain farma chuke aur Hazrat Ayesha (R.A) ne pehlwae Rasool Akram(S.A.W) ma dafan ki ijazat dai di tu janaza othaiya gaya aur Hazoor(S.A.W) ke pehlo mubarak ma dafan ker diya gaya ye sarahat kahain nahi hai ke aap ki naash mubarak che(6) din tak baghair tadfeen ke rakhi gai yani char shanba se yakshanba tak!(matrajum)

2-Guzashta awaraaq(ais ki jagah koi word add karain koi aur) ma aap ne saal wiladat ke silsala per perha hai ke app 6 nabovat me baumer 27 saal mushraf ba islam hove ais liye hijrat ke waqt aap ki umer 34 sal hovi aur Hazoor(S.A.W) ke wisal mubarak ke waqt aap 45 saal ke the.Aap ne 11 sal khilafat farmai.Phr 45 +2,1,2+11=2,1,58 che(6) mah sal aap ki umer sharif hovi.Yani bawaqt wisal umer sharif aunsath saal sahih cheiasath ya iksath(61) saal ki rawiyt durast nahi.(mautrajum)

Awwaliat Umer(R.A)

Aaskri kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) wo pehle shaks hain jin ko ameer ul momaneen se mausom kiya gaya .(Aap ki awwaliat ma khas tour per qabil zikar batain ye hain):-

1-Aap hi wo pehle shaks hain jinho ne tareekh wa saal jari kiya.
2-Bait al maal qaim kiya.
3-Mah Ramzan ma tarveeh ki namaz bajamat jari farmai.
4-Logon ke halaat mauloom karne ke liye raaton ko abadi ka ghasht kiya.
5-Hijou,mauzamat karne wale logon per had jari farmai(sazain dain).
6-Shirab paine wale per aisi(80) koure lagwae.
7-Mata ki harmat ko aam kiya aur aise kisi fard ke liye bhi jaaiz na kiya.
8-Jin londion se awolad ho jaye ain ke kharid o farokht mamnou qarar dai di.
9-Namaz janaza ma char takbeerain perhne ka hukam diya.
10.Dafatir qaaim kiye aur wazartain maoyeen wa maqarer farmain.
11-Sab se zayada fatowat hasil kain.
12-Misar se behareila ke raaste Madina Maunawara ghala pohnchane ka bandobast farmiya.
13-Sadqa ka maal islami amoor ma kharch karne se rooka .
14-Tarka aur waarse ke maqarrah hison ki taqseem ka nafad farmiya.
15-Ghoron per zakat wasol ki.
16-Hazrat Ali(R.A) ko Itlah Allah Baqaik aur aaidak Allah keh ker dawa di.Ye tamam batain hain jin ko Hazrat Umer(R.A) ne chorou kiya aur jab tak baaqid hiyat rahe ain ko sir ainjam daite rahe .Aaskeri ne aap ki awwoliat ko yahain tak biyan kiya hai.Mager Imam Novi(r.a) ne tehzeeb ma mazeed ye amor bhi biyan kiye hain:
17-Aap hi ne sab se pehle darha aijad kiya.Aap ka darha aijad hone ke bad ye baat zarb ul misal ban gai ke Umer(R.A) ka darha tumhari talwaron se zayadah hibat naak hai.
18-Shehron ma qazi maqarer farmaye
19-Koufa,Basrah,Jazirah,Sham,Misar aur Mausol ke sheher abad kiye.

Ibn Aasker(r.a) ne Ismael Bin Zayad ke havala se likha hai ke Hazrat Ali Ibn Abi Taalib(R.A) Mah Ramzan ma aik masjid ke pas se guzare tu aap ne wahan qandeel roshan deikhi ,ye roshni deikh ker aap ne farmiya ke Allah Tallah Hazrat Umer(R.A) ki qaber ko roshan farmaye ke unho ne hamari masjidon ko roshan ker diya.Ibn Saad ka biyan hai ke Hazrat Umer(R.A) ne aate ka aik goudam banwa diya tha ais ma aata ,saatou,khajorain,manqa(mooviz)wagairah kaafi rakhwa dain taake hasab zaroorat ain chezon ko mausafir yahan se hasil ker liya karain.Aap ne Makkah aur Madina ke darmian aisie intezamat aur wasail bahum pohnchae ke jis se mausafron ko asnae safar ma kisi qisam ki takleef na ho,aap hi ne masjid Nabvi(S.A.W) ko bhi wasiah karaiya aur ais ma taat ka farsh bechwaiya.

Aap ne yehodion ko najad se sham ki taraf bhaij diya.Aur Nijran ke yehdiyon ko Koufa mauntaqil ker diya.Aap hi ne maqam Ibrahim ko ais jagah qaaim kiya jahan wo aab maujood hai warna pehle wo bait Allah se mila hova tha.

Hazrat Umer(R.A) ke bare ma chand mazeed batain aur aap ke faisale Ameer ul momaneen ke laqab ka kis tarah aghaz hova:.

Aaskeri(r.a) ne awwail ma likha hai aur aisi ko Tabrani ne Kabeer ma aur Hakim(R.A)ne Ibn Shahab ke havala se biyan kiya hai ke Hazrat Umer Bin Al Aziz ne Abu Baker Bin Subhan se farmiya ke Hazrat Abu Baker(R.A) ke eihad khilafat ma aap ko khalifa Rasool Allah aur Hazrat Umer(R.A) ko khalifa khalifa Rasool Allah likha aur kaha jata tha lakin ye batao ke Khalifa Abu Baker(R.A) ke auoz sab se awwal ameer ul momaneen kis ne likha ?Abu Baker Bin Suleman Bin Abi Hashma ne jawab diya ke mujh se Shafa ne jo aik mahjir khatoon hain ais tarah biyan kiya hai ke Hazrat Abu Baker(R.A) ais tarah tehreer farmate the."Khalifa Rasool Allah ki taraf se"aur Hazrat Umer(R.A)ais tarah tehreer farmate the."Khalifa Khalifa Rasool Allah ki janib se".

Aik baat Hazrat Umer(R.A) ne Iraq ke aamil(governer)ko tehreer farmiya ke tum mere pas dou bahadur aur hoshiar Iraqion ko bhaij dou taake hum ain se Iraq aur eihal Iraq ke bare ma ma kuch maulomat hasil ker sakain!Hakim Iraq ne aap ke pas Labaid Bin Rabiyah aur Aadi Bin Hathim ko bhaij diya jab ye duno Madinah Manawara pohnche tu sab se pehle Masjid Nabvi ma pohnche yahan Umroo Bin Aas se maulaqat hovi unho ne aap se kaha ke hum hazir ho gaye hain aap hume "ameer al momaneen"ki khidmat ma bariyab kara dijiye.Ye sun ker Hazrat Umer(R.A) Bin Al Aas ne kaha Wallah tum ne ain ko bohat hi acha laqab diya ye keh ker aap Hazrat Umer(R.A) ki khidmat ma hazir hove aur kaha ke Asalam Alaikum ya "ameer al momaneen".Ye sun ker Hazrat Umer(R.A) ne farmiya tum ko mera ye laqab kahan se mauloom hova hai .

Unho ne aap ko ye tamam qisa suniya aur kaha ke waqai hum sab momannen hain aur aap humare ameer hain ais liye aap ameer al momaneen hi hove ,pas ais roz se khilafat ke tamam khaghazat ma yehi likha jane laga.

Novi(r.a) Tehzeeb ma likhte hain ke aap ko ais naam (laqab) se Adi Bin Hathim aur Labaid Bin Rubiya ne ais waqt mausoom kiya jab wo Iraq se behaisiyat safeeron ke aye the ,bauz kehte hain ke aap ka ye laqab Mughaira(r.a)Bin Shuba ne rakha tha aur ye bhi riwayat hai ke khud Hazrat Umer(R.A) ne irshad farmiya tha ke tum momeen ho aur ma tumhara ameer hon,pas aisi roz se aap ka laqab ameer al momaneen per gaya warna ais se pehle aap ko khalifa khalifa Rasool Allah likha aur kaha jata tha chaunacha ais laqab ke mauqabil ye pehla bawajah tawalat ke matrok ho gaya .

Ibn Aasker ne Mauwiya Bin Qirah ke havala se biyan kiya hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A)Khalifa Rasool(S.A.W) keh jate the,jab Hazrat Umer(R.A) ka zamana khilafat aya,tu logon ne aap ko khalifa khalifa Rasool Allah kehna chorou kiya aur yehi likhne ka irada kiya tu khud Hazrat Ali(R.A) ne farmiya ke ye taweel laqab hai,ais per logon ne kaha ke ap humare ameer hain aap ne farmiya tum momain ho aur ma tumhara ameer hon ais tarah logon ne aap ko ameer al momaneen likhna aur kehna chorou ker diya.

Tareekh Islam ki tehreer wa tadween ka kam !:-

Imam Bukhari(r.a) ne apni tareekh ma Maseeb(r.a) se ais tarah riwayat ki hai ke awwal Hazrat Umer(R.A) Bin Khittab ne apni khilafat ke dhai(2.5) saal ke baad tareekh islam likhwana chorou ki aur Hazrat Ali(R.A) ke meshware se ya kaam chorou ker diya.Ye tareekh 16hijj ke waqiayat tak likhi gai.

Salfi ne apni taivoriyat ma sahih asnad ke sath Ibn Umer ki zubani likha hai ke Hazrat Umer(R.A) ne Rasool Akram(S.A.W) ki seerat likhwane ka irada kiya.Phr aap ne ais  silsala ma istikhara karne ke bad mujh se irshad kiya ke mujh se kaha gaya hai ke tum se qabal bhi logon ne seerat ki kitabain maurtab kain jin per log bauri tarah reejh gaye aur unho ne kittab Allah ko chor diya(ais ke bad aap ne ye irada tarak ker diya).

Bait khilafat ke bad sab se pehli ye dawaiya taqreer:-

Ibn Saad ne Shadad se rawiyt ki hai ke Hazrat Umer(R.A) bait ke bad manber per tashreef laye gaye tu sab se pehle aap ne yehi dua ki ke Elahi!ma sakht hon tu mujhe naram farma dai,Elahi!ma zaaif hon tu mujhe qawi kar dai,ma bakhil hon tu mujhe sakhi bana dai.

Bait ul maal se qarz:

Ibn Saad aur Saeed Bin Mansoor ne Hazrat Umer(R.A) se rawiyt ki hai ke aap ne irshad farmiya ke jab kabhi mujhe zaroorat hoti thi tu ma bait ul maal se (qarz)lai liya kerta tha aur jab mere pas aata tha tu ma ada ker diya kerta tha aur jab phr mauflees ho jata tha tu phr logon ke samne hi bait ul maal se lai laita tha aur phr ada ker diya kerta tha.

Ibn Saad(r.a) Ibn Umer(R.A) se rawiyt kerte hain ke Hazrat Umer(R.A) Bin Khittab ko aihtiyaj aur zaroorat hoti thi tu wo darogha bait al maal se qarz lai liya kerte the aksar aisa hota tha ke darogha bait al maal aap per qarz ki adaigi ke liye taqaza kerta aur aap ghurbat wa tangdasti ke baais ada nahi ker pate tu darogha aap ko ilzam diya kerta tha aur aap kuch hulia ker daite the jab aap ke pas hota tha tab ada ker daite the.

Bait ul maal se shehad laina:.

Ibn Saad Ibn Baralehan Maaroor se rawiyt kerte hain ke aik roz Hazrat Umer(R.A) bahir tashreef laye aap ko koi takleef lahuq thi bauz logon ne kaha ais marz ki dafiya ke liye shehad achi chez hai.Ais waqt bait ul maal ma shehad ka aik kaupa majood tha.Aap ne logon se kaha ke kya tum mujh ko ijazat daite ho ke ma ais ma se shehad lai lon ager tum ijazat dou gaye tu lon ga warna tumhari baghair ijazat ke wo mujh per haram hai chaunacha logon ne aap ki zaroorat ka ehsas kerte hove aap ko ijazat dai di.

Khashiat Elahi:.

Saalim Bin Abdullah kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) apni aunt ki zakhum ko dhote jate the (jo ais ki peeth per tha) aur farmate jate the ke ma darta hon ke kahain qiyamat ma mujh se ais zakhum ke bare ma pershish na ho,Hazrat Ibn Umer(R.A) kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) jab logon ko kisi chez se rokne ya mana karne ka irada kerte the tu ain ke gharon per tashreef lai jate the ke ma jis chez ki mimanat karon aur wo phr bhi ki jaye tu ma aise maujrimo ko dogni saza donga.

Khulq Allah ki khabergeeri:.

Hazrat Umer(R.A) ka mamuol tha ke raaton ko Madina Maunawara ki abadi ma ghasht farmiya kerte the,aik bar aik aurat apne darwaza band kiye ye faraqiya ishar perh rahi thi
"Ye raat berh gai hai aur sitare chamak rahe hain mujhe ye baat jaga rahi hai ke mere sath khailne wala koi nahi .

Khuda ki qasam ager Allah ke azab ko khof na hota tu ais ki charpai ki chaulain hilti hotain.
Lakin ma ais naighban aur maukal se darti hon. apne nafas ke sath jis ka katib kisi waqt nahi thakta.Mujhe khof Khuda aur hiya mana kerti hai . ilwa azain mera khawand aisa kareem hai ke ais ki sawari per koi nahi sawar ho sakta.

Dosre roz aap ne foran hi ghazwat ma majood ammaleen ko likha ke koi shaks char mehne se ziyada maidan e  jang ma na rehne paye.(4 mah bad ais ko ghar jane ki ijazat dai di jaye)

Badshah aur khalifa ka farq:.

Ibn Zazan Salman se riwayat kerte hain ke Hazrat Umer(R.A) ne ain se daryaft kiya ke ma khalifa ya badshah hon.Salman(r.a) ne jawab diya ke ager aap muslmano ka aik darhum lai ker baija kharch karain gaye tu aap badshah hon gaye ,warna aap kahlifa hain Hazrat Umer(R.A) ne ais se nashiat hasil ki.

Safiyan Ibn Abi al Arja kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) ne aik roz farmiya ke Wallah mujhe nahi mauloom ka ma badshah hon ya khalifa hon.Ager ma badshah hon tu ye bara mushkil mamla hai,ye sun ker aik shaks ne kaha ke aye ameer ul momaneen !ain duno ma bara farq hai,aap ne farmiya kiya farq hai?unhu ne kaha khalifa wo hai jo na kisi se baija paisa wasool kare aur na hi kisi ko dai aur Alhamd u Allah ke aap ma ye duno batain majood hain aur badshah wo hai ke logon se bajbar wasol kare aur jis se chahye hasil kare aur jis ko chahye dai de,aap ye sun ker bilqul khamosh ho gaye.

Ibn Masood(R.A)farmate hain ke aik martaba Hazrat Umer(R.A) ghore per sawar hove itefaq se sawar hote waqt aap ki raan khul gai,Eihal nijran(yahodion)ne aap ki raan per aik siyah daagh deikh ker kaha hamari kittabon ma tehreer hai ke jis shaks ke ye nichan ho ga wo hum ko hamare shehron se nikale dai ga(chauncha aap ne nijran ke yahodion ko jila watun ker diya tha).

Saad(R.A) Bin Jaariya kehte hain ke Kaab Ahbar(r.a) ne Hazrat Umer(R.A) se kaha ke ma na Ainbiyah Sabqeen(elihum al salam) ki kutab ma perha hai ke jahnum ke darwaze per khare ho ker logon ko ais ma jane se mana farmayain gaye aur jab aap ka inteqal ho jaye ga tu phr qayamat tak log ais ma girte rahain gaye.

Abu Maasher(r.a) kehte hain ke ma ne apne asatzah se suna hai ke Hazrat Umer(R.A) farmate the ke karobar khilafat ais waqt tak durast nahi hota jab tak ais maitni shidat na ki jaye jo jaber ban jaye aur na itni narmi ki jaye jo susti se tabeer ho.

Amal ko nasihat:.

Ibn Abi Shiba(r.a) ne mausnif ma Hukam Bin Umair se rawiyt ki hai ke Hazrat Umer(R.A) ne apne amal ko likha ke koi ameer habeesh ya ameer sariya kisi shaks ko ais waqt tak koron ki saza na dai jab tak islami lashker apni hadood ma na a jaye.Mumkin hai ke mazrob shaks ko phr shaitan behqa ker kafreen ma dakhil ker dai.

Ibn Abi Hathim apni tafseer ma Shabi(r.a) se rawiyt kerte hain ke Qaiser e Rome ne Hazrat Umer(R.A) Bin Khittab ko likha ke mera elichi jo aap ke pas gaya tha ais ne mujh eitlah di hai ke aap ke pas aik asia darkht hai jo kisi darkht se paida nahi hota.Ais darkht ki surat gudhe ke kano se mushba hai jis waqt ais ke phool pahte hain tu ain se motiyon ki manand kuch nikalta hai.Hare hone ki shakal ma wo sabz zamrad mauloom hota hai aur jab wo surkh hota hai tu surkh ya qowat nazer ata hai aur ais ka phal jab pukhtagi tak pohnchta hai tu omadah qisam ka faloda ban jata hai,muqeem ki ghaza aur musafir ke liye zaad rah ka kam daita hai.Ager mere qasid ne jhot nahi kaha tu mere khiyal se ye jannat ka aik darkht hai.

Aap ne Qasir e Rome ke ais khat ke jawab ma likha ke:.

"Ye khat Abullah Umer ameer ul momaneen ki taraf se Qaiser e Rome ke naam hai tumhare qasid ne sach kaha wo darkht hamare han majood hai ,ye wohi darkht hai ki jis waqt Isa Ali nabiyena waaelaih al salam paida hove the tu Allah Tabarak Tallah ne Hazrat Marium eilha al salam ke waste paida kya tha!tujhe lazim hai ke Khuda e Buzarg wa barter ka khof kare aur Isa alihe al salam ko maubood na bane kyunke Isa alihe al salam ki misal Khuda wand Tallah ke nazdeek aisi hai jaise Adam alihe al salam ki ke Allah Tallah ne ain ko mati se paida farmiya tha.

Amal ke asason se agahi:.!

Ibn Saad Ibn Umer(R.A) se rawiyt kerte hain ke Hazrat Umer(R.A) ne apne amal ko hukam diya ke wo apne apne maal(asasa) ki aik aik firhast bana ker ain ko bhaij dain inhi apne amal ma Hazrat Saad(r.a) Bin Waqas bhi the jab unho ne apne asason ki fihrast bana ker bhaiji tu Hazrat Umer(R.A) ne ain ke maal ke dou hise karke aik hisa ain ko chor diya aur aik hisa bait ul maal ke liye lai liya.

Shabi(r.a) kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) ka ye mamol tha ke aap jab kisi aamil ko kisi soba per maqarer farmate tu ais ke tamam maal (asase) ki firhisat likh liya kerte the.

Seerat Farooqi:.

Ibn Saad ne Abu Amata ki zubani likha hai ke Hazrat Umer(R.A) ne tawil mudat tak bait ul maal se koi chez ya raqum nahi li yahan tak ke aap iflas ma mubtala ho gaye,ais surat hal per pohnch ker ap ne sahaba karam(r.a) se meshwara kiya aur farmiya ke amoor khilafat injam daine ke baais apne aur apne eihal wa eiyal ke azoqa ka kuch bandobast nahi ker sakta ais per Hazrat Ali(R.A) ne kaha ke aap subah wa sham ka khana bait ul maal se lai liya karain chaunacha Hazrat Umer khalifa Rasool Allah ne ais ko manzoor ker liya.
Ibn Umer(R.A) farmate hain ke aik bar hajj ke kharch ma se solah(16) asharfiyan(deenar) kharch ho gayain walid muhtarum ne farmiya aye Abdullah hum ne bait ul maal se fazol kharchi ki hai.

Abdul Razzaq ne apani tasneef ma Qatadah(r.a) aur Shabi(r.a) se rawiyt hai ke Hazrat Umer(R.A) ke pas aik aurat ayi aur ais ne kaha ke mera shohar din ma roza rakhta hai aur raat bhar ibadat ma masrof rehta hai,ye sun ker Hazrat Umer(r.A) ne farmiya tumhara shohar tehseen ke kabil hai wah! wah! Kaab(r.a) Bin Sawar ne kaha ke ais ne aap se shohar ki shikayat ki hai,Hazrat Umer(R.A) ne farmiya wo kaise Kaab(r.a) Bin Sawar ne  kaha ke mera khiyal hai wo wazifa zaujiyat ada nahi kerta ,ais per aap ne farmiya ke jab tum ais mamla ko samjh gaye ho  tu phr ais qaziye ko taye bhi ker do ,pas Kaab Bin Sawar ne aarz kiya ke aye ameer ul momaneen Allah Tallah ne ais shohar ke liye char biwiyan hilal farmai hain pas ais hisab se chotha din aur chothi raat ais aurat ke liye makhsos hona chahye.

Ibn Jareeh biyan kerte hain ke mujh se mere aik dost ne biyan ke Hazrat Umer(R.A) hasb e mamol ghasht farma rahe the ke unho ne suna ke aik aurat ye ashar per rahi hai(sabqa safa per ain ashar ko darj ker chuke hain) .Ye ashar sun ker Hazrat Umer(R.A) ne ais aurat se daryaft kia ke tujhe kiya hova tu ye ashar kyo perh rahi hai ais ne kaha ke mera shohar kai mah se jang per gaya hova hai ais se ishtiaq e maulaqat ma ye ashar perh rahi hon.Aap ne ais se kaha ke tu ne apne nafas ko badi ki taraf maail tu nahi kiya  hai ,ais ne jawab diya mauz Allah(khuda ki panah ye kasie ho sakta hai) .

Aap ne aise se farmiya ke tu apne nafas per qadir reh ma subah tere shohar ko baulata hon.Chaunacha subah hi ko ais ki talbi ke liye qasid rawana ker diya aur ais ke bad apni sahabzadi (um ul momaneen)Hazrat Hafsa(r.a) ke pas tashreef laye gaye aur farmiya ke mujhe aik mushkil darpaish hai tum ais ko hal ker do aur wo mushkil ye hai ke ye batao aurat kitne aarsa tak shohar ki zarorat mehsos nahi kerti.(1)ye sun ker Hazrat Hafsa(r.a) ne sharam se apna sir nechy ker liya aur khamosh rahain ais per aap ne farmiya ke Khuda wand Tallah haq bat ma sharam nahi kerta,tab bajaye zuban se kehne ke Hazrat Hafsa(r.a) ne hath ke ishara se batiya ke teen ya zayada se zayada char mah!wapis aa ker aap ne hukam jari farma diya ke char maheenay se ziyada kisi maujahid ko maidan jang ma na roka jaye.

Hazrat Jabir(r.a) Bin Abdullah biyan kerte hain ke ma ne Hazrat Umer(R.A) se apni biwi ki shikayt ki tu aap ne farmiya ke tum ain ki kia shikayt kerte ho ma khud ais ma maubtala hon meri tu ye halat hai ke ma ager  kisi zaroorat se bahir jata hon mujh se kaha jata hai ke tum falah qabeelay ki aurton ki deedah bazi ke liye gaye the.Ais per Abdullah Bin Masood (r.a) ne kaha ke ameer ul momaneen aap jante hain ke Hazrat Ibrahim(a.s) ne apni biwi Saaira ki badmazaji ki shikayat Allah Tallah se ki thi ais per aap ko Baregah Elahi se jawab mila tha ke auratain tumhari pasli se paida ki gai hain aur tumhara libaas hain,ain se nibhao!jab tak ain ma koi deeni kharabi na deikho!

Farzand ko saza:.

Akarma(r.a) Bin Khalid(r.a) biyan kerte hain ke aik din Hazrat Umer(R.A) ke aik sahabzade balon ma kanghi kiye aur omdah libas pehne Hazrat Umer(R.A) ke pas aye,Hazrat Umer(R.A) ne ain ko dare se mara wo rone lage,ain ka rona deikh ker Hazrat Hafsa(r.a) ne farmiya ke aap ne ain ko kis qasor ki saza di,Hazrat Umer(R.A) ne farmiya ke ma ne ye deikha ke ais ma kuch ajab wa gharor paida ho gaya hai bas ma ne yehi maunasib samjha ke ais  gharor ka sir jhuka don.

Mamar(r.a)ne lais Bin Abi Salim se rawiyt ki hai ke Hazrat Umer(R.A) ne farmiya ke alhakim ya abu al hakim nam mat rakho ke hukam tu sirf Allah hi ke liye hai aur na kisi raaste ka nam seika rakah jaye!

Behqi ne Shoaib al Eman ma zahak se rawiyt ki hai Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ne farmiya ke Wallah mujhe ye zayada mehbob tha ke kisi raaste per darkht hota aur koi aunt mujhe chuba ker nigal jata phr maingniyah kerke aise nikal phainkta,mager ma insan na hota.

Hazrat Umer(R.A) ne aisi ki misal farmiya kaash ma paltou daunba hota aur mujhe khala pila ker itna farba kiya jata ke log mere deikhne ko ate phr mujhe zibah ker dala jata .Kuch log mera ghosht bhon ker khate aur mere ghosht ka qeema karke khate mager ma insan na hota.

Muhbat eihal bait:.

Ibn Aasker(r.a) Abu al Najtari se rawiyt kerte hain ke aik roz Hazrat Umer Bin Al Khittab maunber per khuttaba ke liye tashreef lai gaye wahan Hussain Ibn Ali(R.A) bhi majood the aap ko maunber tashreef farma deikh ker kaha ke mere baba jan ke maunber se otariye!Hazrat Umer(R.A) ne farmiya ke beshak ye aap ke baba jan(s.a.w) hi ka manber hai.Mere baap ka nahi hai.Mager ye batao tumhe kis ne seikhiya .Hazrat Ali(R.A) ye sun ker khare ho gaye aur aap ne farmiya Wallah me ne ain se kuch nahi kaha tha.Hazrat Ali(R.A) ne Hazrat Hussain(r.a) ki taraf deikh ker farmiya!aye nadan tum se ye bat kis ne khai thi?Hazrat Umer(R.A) ne farmiya aye Ali(R.A) mere bhatije ko na dantain!waqai ye manbran ain ke baba jan ka hai,unho ne sach kaha !(AIS MA MUJHE KUCH GHLATI LAG RAHI HAI KI BABA JAN KI BAJYAE NANA JAN HONA CHAHYE)

Durguzar:.Khatib(r.a) ne Rawatah ma Abu Musloma Ibn Abdul Rehman aur Saeed Bin Maseeb ke havala se biyan kia hai ke aik martaba Farooq Azam aur Hazrat Usman Ibn Affan (R.A) ke mabeen kisi masala per ais qader nazah ho gaya ke deikhne wale yehi samjhe ke aab ain donu ma kabhi sulah nahi ho gai mager jab donu hazraat aik dosre se rukhsat hove tu aisa mauloom hota tha jaise koi baat hi nahi hovi.

1-Ye wo zamana tha ke Hazrat Umer(R.A) ki zauja wafat pa chuki hain ais liye badarja majbouri sahabzadi se daryaft kia.

Khuttaba Awwal ma aap ne kia farmiya?

Ibn Saad(r.a) ne Hazrat Hassan(r.a) se rawiyt ki hai ke sab se pehla khutaba jo Hazrat Umer(R.A) ne diya wo ye tha.

"Hamd wa salwat ki bad mauloom ho ke ma tumhare sath mubtala ho gaya hon aur tum mere sath maubtala ho gaye ho,ma apne dostou ke bad khalifa maqarer hova hon,jo log hamare pas majood hain wo apne nafoos ke sath hamare sath mile hove hain aur jo ghaib hain ain per hum ain logon ko maqarer karain gaye jo eihal qowat aur sahab e imanat hon gaye,jo shaks naiki kare ga hum ais ke sath naiki se paish ayain gaye aur jo humse badi kare ga hum ais ko saza dain gaye Khudawand Tallah hum sab ki bakhshish wa maghfarat farmaye"

Dafater amor mulki ka qiyam aur ais silsala ma meshwara:.

Jeerban Havoyeeris kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) ne taqseem amdani ke liye dafatir qaaim karne ke mansoba per sahaba karam(r.a) se meshwara kiya.Hazrat Ali(R.A) ne farmiya ke ap ke pas jo kuch jama  hova kare ais ko salana taqseem ker diya kijaye.Amdani aur kharch likhne ke liye dafatir ki chandan zarorat nahi hai ,Hazrat Usman Ghani(R.A) ne farmiya saman ais qader zayada hai ke ager ais ko taqseem kiya jaye tu ye mauloom hona  dashwar hai ke wo kaise pohncha aur kon ais se mehroom raha .Aise tarah badnazmi paida ho jane ka andesha hai.Walid Bin Hasham Bin Mughaira ne kaha ke aye ameer ul momaneen ma ne mulk sham ki sair ki hai aur wahan ke badshahon ko deikha hai unho ne nazam saltanat ke liye dafatir qaaim ker rakhe hain.Jis ke baais shehron ko khoob abad kiya hai.

Walid ka ye meshwara aap ko bohat pasand aya aur aap ne aisa hi kiya.Pas aap ne Aqeel(r.a) Bin Abu Talib,Mukharma Bin Naufal aur Jear(r.a) Bin Mautam ko jo Quresh ke nasab name ke mahir the.Talab farmiya aur ain se kaha ke tum tamam logon ke naam aala qader maratib likh ker lawo chaunacha wo ais tarah likh ker laye ke pehle unho ne Bani Hashim ko likha ,ain ke bad Hazrat Abu Baker(R.A) ke khandan aur afrad ko qoam ko likha phr Hazrat Umer Farooq(R.A) aur ain ki qoam ke naam tehreer farmaye aap ne deikh ker farmiya ke pehle Rasool Akram(S.A.W) ke qarabat daron se chorou karo phr jo ain ke qareeb hain ain ko likho aiis tarah likhte jawo aur mera naam sab se akhir ma likho jaisa ke Khudawand Tallah ne mujhe banaya hai.

Koh e Arfa ka akhari qiyam:.

Saeed Ibn Maseeb (r.a) kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) ne ye dafatir muharrum 20hijj ma qayim farmaye.Hazrat Hassan(R.A) farmate hain ke Hazrat Umer(R.A) ne Hazrat Huzaifa(r.a) ko likha ke logon ko ain ki tankhwain aur ais ke sath sath itiyat bhi taqseem ker do unho ne aap ko tehreer kiya ke ma ne aisa hi kiya lakin abhi maal bohat zayada majood hai.Hazrat Umer(R.A) ne ain ko likha ke ye sab maal:maal ghanimat" hai jo Allah Tallah ne muslmano ko diya hai ye sab unhai per taqseem ker dou,ye Umer(R.A) ye ais ki olad ka maal nai hai .

Ibn Saeed ne Jaer Bin Mataum ke havala se likha hai ke Hazrat Umer(R.A) koh Arfa per khare hove the ke aik shaks aye Khalifa!aye khalifa!keh ker chikhne laga,ais ki ye cheikh wa pukar sun ker kisi ne kaha ke ye shaks zamana jehaliat ki tarah ais tarah cheikh raha hai jis tarah wo parindon ko uriya kerte the,

chaunacha aik dosre shaks ne aye khalifa ,aye khalifa pukarne wale shaks se kaha ke tujhe kiya ho gaya hai tu ne apni khawaishat ke liye Allah ko chor diya hai(ye maqam tu zikar Elahi ke liye hai aur tu khalifa khalifa pukar raha hai)chaunacha ais roz tu ye baat gai guzar ho gai,dosre roz ma(Jaer Bin Mataum)Hazrat Umer(R.A) ke pechey hi khara tha ke itne ma aik namauloom jagah se aik pather aa ker Hazrat Umer(R.A) ke sir per laga .Ais ke zarab se aap ke sir per maumooli si kharach bhi aa gai ,pas jis seemat se pather aya tha ma idhar ko gaya tu samne ke pahar se insani awaz ayi ke Rab Kaaba ki qasam!tum yaqeen ker lo ke ais saal ke bad qayamat tak phr Hazrat Umer(R.A) ais maqam per kabhi khare nahi ho sakain gaye,jab ma ne ghor karke deikha tu ye kehne wala wohi kal wala shaks tha jo ya kahlifa ya khalifa pukar raha tha ,mujhe ye paish goi bohat shaaq guzri.

Jinnat ka aap ki shan ma manqabat perhna:.

Hazrat Ayesha Sadiqa(R.A) se rawiyt hai ke Hazrat Umer(R.A) ne apni zindagi ka akhari hajj umhat ul momaneen ke sath ada kiya ais ke bad hum sab wapis hove aur maqam Muhsab se guzare tu ma ne aik shaks ki awaz suni jo apni sawari per bhaitha hova ais tarah keh raha hai ke ameer ul momaneen kahan hain?jab ais ke sath ke dosre shaks ne kaha ke ameer ul momaneen ye majoood hain!phr aisa mauloom hova ke unho ne apne aunton ko bhata diya aur ain ma se aik ne ye ashar perhe.

Aye Imam aap ke oper salam ho barkat     dai Allah Tallah ais chamare ko jo para para ho ga shutar murgh jald aap ke darja per nahi pohnch sakta ke   wo sabooq ho jaye bulke amal jaleela ke baais aap sabooq rahain gaye  aap ne musibaton aur halakaton ko chor diya hai ais tarah ke wo band kaliyan hain jo abhi nahi khali hain.

phr na ain ishar ka perhne wala wahan per mila aur na ye pata chala ke wo kon tha hum ne aapis ma yehi kaha ke ye jin the(jo Hazrat Ameer ul momaneen(r.a) ki manqabat ma ishar perh rahe the)jab Hazrat Umer(R.A) ais hajj se wapis hove tu khanjer ki zarbaat se shaheed ker diye gaye.

Khilafat ke eihal afrad majood nahi hain:.

Abdul Rehman Bin Abza rawiyt kerte hain ke Hazrat Umer(R.A) ne irshad kia ke amoor khilafat ki injam dahi ka dhang eihal e bader ma tha lakin aaj ain ma se koi baqi nahi hai,ain ke bad shurka ghazwa Ouhad ais ke saza war ho sakte the lakin ain me se bhi koi baqaid hiyat nahi!aab ye jo falah Ibn falah baqi hain(bad ma islam qabool karne wale) ya wo jo fatah Makkah ke roz eman laye ya fatah Makkah ke roz azad ker diye jane wale log aur ain ki aulad ya wo jin per islam ka ehsan hai amoor khilafat sir injam daine ke laiq nahi hain.
Aap apne baiton ma se kisi ko bhi apna naaib nahi banana chahte the:.

Imam Nakha ne biyan kia hai ke Hazrat Umer(R.A) se kisi shaks ne kaha ke aap apne farzand Abdullah ko apne baad khalifa namzad kar dain aap ne ais shaks ko jawab diya Allah tumhe gharat kare (ke tum aisa ghalat meshwara dai rahe ho)jis shaks ko apni biwai ko dhang se talaq daine ka bhi saleeqa bhi na aata ho ma aise shaks ko khalifa namzad ker don.

Shad Bin Anas,Kaab se rawiyt kerte hain ke Bani Israel ma aik(salah) badshah guzara hai,Hazrat Umer(R.A) se ais ke fazail bohat milte julte the chaunacha jab kabhi hum ais ka zikar kerte the tu Hazrat Umer(R.A) yad aa jate tha aur jab kabhi Hazrat Umer(R.A) ka zikar hota tha tu khawama khawa wo Israeli badshah yad aa jata tha.

Ais ke zamana badshahat ma Allah Tallah ke aik paighamber majood the,ain ko aik martaba wahi ayi ke tum ais badshah se keh do ke ais ki zindagi ke sirf teen din baqi hain ager wo kuch wasiat karna chahta hai tu kar lai jis waqt ais badshah ne ye suna tu sajdah ma gir ker nehaiyat khazo wa khusho se dawa ki ke Elahi mujhe itni mohlat dai ke mera larka jawan ho jaye aur tujhe khoob mauloom hai  ke ma ne kahan tak tere ihkam ki itaat ki hai aur ma ne apni riayah se jahan tak ho saka hai adal wa insaf se kaam liya hai ais ki  ais aistadah ke bad paighamber aser per phr wahi nazil hovi ke ais badshah ne hum se ais ais tarah istadah ki hai aur ais ne apni dawa ma jo kuch kaha hai sach kaha hai lehaza hum ais ki umer ma pandrah baras ka izafa kerte hain take ais maudat ma ais ka larka jawan ho jaye,jis waqt Hazrat Umer(R.A) ko naaize ki zarbaat lagain aur aap zakhmi ho gaye tu Kaab Aihbar ne ye qisa biyan karke kaha ke ager Hazrat Umer(R.A) bhi Khudawand Tallah se ye sawal karain tu Khudawand Tallah ain ki bhi umer barha dai ga,Hazrat Umer(R.A) ko bhi ais ki khaber mil gai ais waqt aap ne ye dawa farmai ,Elahi mujhe aajiz kiye baghair ranj wa alam diye duniya se otha lai.

Aap ki moot per jinnoh ki ka noha karna;.

Sulaiman Bin Yasar kehte hain ke Hazrat Umer(R.A) ki moot per jinno ne bhi Noha kiya chaunacha Hakim Maalik Bin Deenar se rawiyt kerte hain ke jab aap shaheed ho gaye tu Yeman ke paharon ki taraf se ye ishar sunai diye gaye.

jo shaks islam per roone wala ho rou lai    kyunke wo behosh hain aur aab ain ka zamana khatum ho gaya goya duniya hi ulat gai aur ais ka behtareen shaks chal basa      wo shaks jo wadon per yakeen kiye bhaita tha ghumzada ho ga.

Hazrat Umer(R.A)  ki takfeen wa tadfeen ke silsala ma wasaya:.

Ibn Abi al Duniya Yahya Bin Rashid Basra rawiyt kerte hain ke Hazrat Umer(R.A) ne apne sahabzade ko wasiyat farmai ke mere kafan ma baija kharch na karna kyunke ma ager Allah Tallah ke nazdeek behter hon tu wo ais (mamoli kafan) ko badal daiga aur ager ma ais ke nazdeek behter nahi hon tu ye kafan bhi chein jaye ga.Pas ais ma takluf kyo kia jaye.Meri kaber lambi chori na khudwana ke ager ma Khuda ke nazdeek behter hon tu wo meri qaber ko hud nazer tak waseeh ker dai ga warna khawa kitni hi waseeh qaber ho wo otni tang ki jaye gai ke paslian toot jayain gai.

Mere janaze ke sath koi aurat na chale,jo sifat mujh ma nahi hain ain sifaat se mujhe marne ke bad yad na kiya jaye kyunke Khudawand Tallah alam ul ghaib hai wo mujhe achi tarah janta hai.Jab mera janazah ghar se lai ker chalo tu chalne ma jaldi karna kyunke ager ma Khuda ke nazdeek acha hon tu jitni jaldi mumkin ho mujhe ais ke pas pohncha dou aur ager me baura hon tu aik baure admi ko bojh dair tak kyo othae raho,jald apne kandhon se otar phainko!

Ainteqal ke bad bazurgon ka aap ko khawab ma deikhna :.

Ibn Aasker(r.a) ne Ibn Abbas(r.a) se rawiyt ki hai ke ma ne Hazrat Umer(R.A) ke inteqal  ke aik sal ke bad dawa ki ma khawab ma ain ka deedar hasil karon pas aik sal ke bad  ma ne Hazrat ko khawab ma ais hal me deikha ke aap ke paichani aarq alood hai ma ne aarz kiya aye ameer ul momaneen(mere maa baap ap per qurban) aap kis hal ma hain,aap ne farmiya ke abhi abhi hisab dai ker farigh hova hon,ager Allah Tallah Rauof Al Raheem na hota tu meri izat barbad hone ma koi kaser baqi nahi thi!Zaid Bin Aslam(r.a) biyan kerte hain ke Abdullah Ibn Umer(R.A) wa Bin Al Aas ne Hazrat Umer(R.A) ko khawab ma deikha ,aap ne daryaft kia ke aap kis hal  ma hain.Hazrat Umer(R.A) ne jawab diya ke mujhe tum se juda hove kitna aarsa guzar gaya unho ne kaha ke barah(12) saal ke qareeb hove,aap ne farmiya ke bas ma(hisab kittab se) abi abhi farigh hova hon Ibn Saad(r.a) ne Saalim Bin Abdullah Ibn Umer(R.A) ke havala se biyan kia hai ke ma ne suna hai  ke aik Ansari(r.a) ne Allah Tallah se dawa mangi ke mujhe khawab ma Hazrat Umer(R.A)ka deedar ho jaye das saal ke bad ma ne Hazrat Umer(R.A) ko khawab ma deikha ,aap ki paichani paseena se tar thi.Ma ne ais hal ma aap ko deikh ker kaha ,aye ameer ul momaneen aap ka kia hal hai farmiya ke hisab kittab se abhi faursat mili hai ager Allah Tallah ki rehmat shamil na hoti tu ma barbad ho jata.

Hakim ne Shabi(r.a) ke havala se likha hai ke Aataka bint Zaid Ibn Umroo Bin Nafeel ne Hazrat Umer(R.A) ki wafat per marsiya likha,chand ishar ye hain:.

Aain  Jodi (YA SARI ARABIC HAI AGER NAHI LIKHNI TU PORA TOPIC DELETE KARNA PARE GA)

Wo sahaba karam(r.a) jinhon ne eihad Farooqi ma rehlat farmai

Hazrat Umer(R.A) ke eihad masood ma ain akabareen sahaba(r.a) ne inteqal farmiya:.
(1)Hazrat Atbah Bin Ghazwan.(2) Hazrat Ala Bin Hizrmi.(3) Qais Ibn Alskeen,(4) Hazrat Abu Qahfa.(Hazrat Abu Baker Sadiq(r.a) ke walid).(5).Hazrat Saad Bin Ibadah.(6)Hazrat Sohail Bin Omroo.(7)Hazrat Ibn Um Kalsoom.(8)Hazrat Aiyash Bin Abu Rabiya.(9) Hazrat Abdul Rehman (barader Zubair Bin Awam)(10) Hazrat Qais Bin Abi Saasata(ye ain hazrat ma shamil hain jinho ne quran pak jama kia tha)(11) Hazrat Noufal Bin Haaris Bin Abdul Mautalib aur ain ke bhai(12) Abu Sufiyan.Um ul momaneen(13) Hazrat Maaria Qabtiya(r.a) ,Hazrat Ibrahim ki waldah).(14) Hazrat Abu Abaidah Bin Al Jarah(15) Hazrat Mauz Bin Jabal.(16)Hazrat Yazeeb Bin Abu Sufiyan(17) Hazrat Sharjeel Bin Husna.(!8) Hazrat Fazal Bin Abbas.(19)Hazrat Abu Jandal Bin Sahal.(20) Hazrat Abu Malik al Shaura(21) Hazrat Sofaan Bantal.(22) Hazrat Abi Bin Kaab,(23) Hazrat Bilal(mauzoon Rasool Allah (s.a.w) (24) Hazart Aseed Bin Hazeer.(25) Hazrat Bara Bin Maalik(Hazrat Anas(r.a) ke bhai um al momannen(26)Hazrat Zainab Bint Hubash.(27) Hazrat Aiyaz Bin Ghanam.(28) Hazrat Abu al Hasheem Bin Nehan.(29) Hazrat Khalid Bin Walid.(30) Hazrat Jarod sardar qabeela Abdullqais.(31) Hazrat Nauman Bin Maqran.(32)Hazrat Qatatdah Bin Nauman.(33) Hazrat Iqrah Bin Habis.(34) Hazrat Saodatah Bint Zamatah.(35) Hazrat Awaim Bin Saadah.(36)Hazrat Ghailan Saqfa.(37)Hazrat Abu Mauhjan Saqfa.

Labels: , ,