Friday 27 May 2011

Hazrat Abu Baker Sadiq

Bismi Allahi arrahmani arraheem
In the name of Allah, the most Gracious, the most Merciful

 Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A)

Aap Rasool(S.A.W) ke khalifa the.Ap ka isme garami Abdullah Ibn Abi Qahfa Usman bin Aamir bin Omroo bin Kaab bin Saad bin Taim bin Mrah bin Kaab bin Loi bin Ghalib-ul-Qurshi Altemi tha.Aap ka nasab Mrah bin Kaab per Rasool e Khuda (S.A.W) se mil jata hai.
Imam Novi ne apni kitab" tehzeeb"ma likha hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq ka ism e garami Abdullah hi sahi aur mashoor hai bauz log kehte hain ke aap  ka nam Atiq tha lakin tamam ulema ka is baat  per itefaq hai ke Atiq ap ka laqab hai ism e garami nahi hai.Atiq ke maini hain aag se azad kiya hova.

Hadis sharif ma aya hai ke jise Tarmzi(R.A) ne biyan kiya hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya  ke ap atish dozagh se azad hain.Baaz kehte hain ke hasan o jamal ki wajah se atiq kahe jate the (atiq ke maini sahib e jamal ke bhi hain) bauz maurkhain" ka  khiyal hai ke chaunke aap ke nasab ma koi aaib nai tha aise liye ap ko atiq kaha gaya.Mausab Ibn Zubair wagirah likhte hain ke ais aamer per tamam umat ka itefaq hai ke aap ka laqab sadiq hai kyunke aap ne bay khof aur nadar ho ke Hazoor(S.A.W) ki naboot ki tasdeeq ki aur kisi qism ki tarsh roai ya jhijak ais tasdeeq mai sarzad nahi hovi.

Hazrat Abu Baker Sadiq ka maqam rafih:

Islam ma aap ka darja aur martaba aur darja bohat hi buland hai Sadiq ka laqab pane ma waqiah Miraj bhi mashoor hai ke aap ne kafron ke sawal ke jawab ma waqiah miraj  ki foran tasdiq farmai .Eihal o aiyal ko chor ker Rasool (S.A.W) ke sath hijrat farmai,Ghar -e- Saur aur tamam raste aap ki khidmat ma rahe naiz Yaum e Badar ma aap ka (kufar ke mauqable ma )kalam karna Hudaibiya ma Makkah Sharif ma dhakhil na hone ke baais logon ke dilon ma jo shakook paida ho gaye the ain ka irtafa(dour karna) aur Rasool (S.A.W) ka ye irshad garami sun ker ke "Allah Tallah ne apne bande ko duniya ma rehne ya akhrat qabool ker laine ka ikhtiar de diya hai" aap ka aha zari karna, Sarwar Alam (S.A.W) ke wasal ke waqt sahba karam ki taskeen khatir ke liye aap ki istaqamat aur khutaba ke zariye ain ma tasqeen qalab paida karna aur Muslmano ki maslahat ke paish e nazer khilafat ko qabool farma laina.

Maurtadeen se jang ke liye Hazart Usama bin Zaid ki qiyadat ma Shaam ki janib lashker ko rawana karna aur aise aazam per sabit qadam rehna, sahaba karam ko (Allah sharha sadoor farmaye) ba saboot o dalail ain ko haq e se agah karna aur murtadeen ke khilaf jang ma ain ko apna humnawa banana ,mumlikat Shaam ki jasnib faujaun ko rawana karna aur phr ain ko kamk pohnchana aur phr mumlikat Sham ki taskhir Hazrat Sadiq Akber (R.A) ke ahaim fazail hain.Naiz aap ka Hazrat Umer(R.A)ko khilifa mauntakhib karana bhi bohat bari fazilat ka hamil hai. Yaun Hazrat Sadiq Akber (R.A) ke fazil o kamalat beshamar wila tadad hain.(irshad Imam Novi) Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ka isme garami aap ka laqab jaisa ke mazkor ho chuka .

Allama Ibn Kasir kehte hain ke tamam ulema ka ais bat per itefaq hai ke aap ka isme e garami Abdullah Bin Usman hi hai magar Ibn Saad Ibn Sarin se rawyat kerte hain ke aap ka ism sharif "Atiq" hai lakin sahih yehi hai ke"ATIQ" aap ka laqab tha,nam nahi tha han ais aamer ma ikhtlaf hai ke ye laqab kab aur kis wajha se hova.Baaz kehte hain ke aap ke husan o jamal ki wajah se ye laqab hova Ibn Naeem kehte hain ke aamor e khair ma aap ki sabqat karne ke wajah se aap ka ye laqab hova .Baaz ashab ka khiyal hai ke pak o saaf aur aala nasab hone ke wajah se aap ka ye laqab hova.baaz ka khayal hai ke aap ka nam Atiq hi tha phr baad ma Abdullah ho gaya.

Tabrani ne likha hai ke Qasim Bin Muhammad(S.A.W) ne Hazrat Ayesha (R.A)(um ul mominain) se aap ka aism e mubarak dariyafat kiya tu Hazrat Ayesha Sadiqa (R.A) ne farmiya.Abdullah aarz kya gaya ke log tu aap ko Atiq kehte hain tu Hazrat Ayesha (R.A) ne farmiya ke Abu Qahfa ki teen oladain thain jin ko Atiq Mataq aur Matiq kaha jata tha.
Ibn Manda ka biyan hai ke Ibn Talha(R.A) ne apne walid se daryaft kiya ke Hazrat Abu Baker (R.A) ka nam Atiq kyo hai unho ne jawab diya ke ain ki walda majda ki olad chaunke zinda paida nahi hoti thain tu jis waqt aap paida hove tu aap ki walda majda aap ko Khaana-e-Kaaba mai le gain aur baregah Elahi ma aarz kiya Elahi ye bacha moot ke changal se azad raha hai aab aise mujhe inayat farma de.

Tabrani ne likha hai ke aap ko aap ke husan o jamal ke bais Atiq kaha jata tha .Ibn Asker ka biyan hai ke unho ne Hazrat Ayesha (R.A) se rawyat ki hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ka naam nami ghar ke logon ne tu Abdullah hi rakha tha magar Atiq zayada mashoor ho gaya.Ye bhi rawyat hai ke Rasool Akram(S.A.W) ne aap ko Atiq se masom farmiya tha.
Abu Yaali ne apni masnad ma aur Ibn Saad (Rehmat Ullah)aur Hakim(Rehmat Ullah) Hazrat Ayesha Sadiq(R.A) se rawyat hai ke unho ne farmiya"ma aik din kashana naboot ke dilaan ma thi aur dilaan per pardah pera hova tha.Sehan ma Rasool Allah (S.A.W) ma sahaba karam (R.A) tashrif farma the itne ma walid majid tashrif laye ain ko deikh ker Sarwar Alam(S.A.W)ne farmiya jo koi dozakh se bari aur azad shaks ko deikhna chahta ho wo Abu Baker ko deikh le pas aap ka naam gharwalo ne tu Abdullah hi rakha tha lakin Atiq mashoor ho gaya.

Tarmazi(Rehmat Ullah) aur Hakim ne Hazrat Ayesha ki rawyat se likha hai ke aik roz walid majid Sarwar Konain(S.A.W) ki khidmat ma hazir hove tu Hazoor (S.A.W) ne irshad farmiya .Aye Abu Baker(R.A)Allah Tallah ne tum ko aag se bari farma diya .Chonacha aisi din se aap Atiq ke naam se mashoor ho gaye.

Bazar wa Tabrani ne Abdullah Ibn Zubair ki sanad se likha hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) ka nam Abdullah tha Sarwar Alam (S.A.W) ne jab ain se farmiya ke Allah Talla ne tum ko dozakh ki aag se bari farma diya hai tu aap Atiq ke nam se mashoor ho gaye.

Laqab Sadiq ki haqeeqat:

Ibn Masdi ne likha hai ke aap Sadiq ke laqab se zamana jahliat(qabal islam) hi ma malqab the aise liye ke aap hamesha sach bola kerte the baaz ne likha hai ke chaunke aap Rasool Allah(S.A.W) ki har khaber ki tasdeeq karne ma sabqat farmate the ais liye aap ko Sadiq kaha gaya ,Ibn Ishaq aur Qatada ka biyan hai ke shab e miraj ki subah hi se aap aise laqab se mashoor ho gaye.Hakim ne apni maustadrak ma Hazrat Ayesha(R.A) se rawiytki hai  mushrikin Arab ne walid majid ke pas aa ker kaha ke aap ko kuch khaber hai ke aap ke dost (Muhammad(S.A.W)) ye dawaa kerte hain ke(ye zhum hai )ke wo raat ko yahan  Bait ul Maqadas pohnchaiy gaye,

Hazrat Sadiq(R.A)ne farmaiya ke kia waqai wo aisa hi farmate hain.Unho ne kaha han wo yehi kehte hain  tu aap ne kaha beshak wo sach farmate hain ager Hazoor (S.A.W) subah ya shaam ko aise se bhi zayada aasmano ki(sair ki) khaber daite tu mai foran ain ke tasdiq kerta ,aisi bina per aap ko Sadiq  kaha jata hai aisi hadees ko Tabarani ne Hazrat Anas(R.A) aur Abu Huraira(R.A) ki rawiyat se likha hai.

Saad Bin Mansoor ne apni masnad mai Abu Huraira ke ghulam Abi Wahab ke havale se likha hai ke jab shab e miraj ma Rasool (S.A.W) maqam Zai Toaa per pohnche tu aap ne Hazrat Jabrael (A.S) se farmiya ke ais waqaih ki tasdiq meri milat nahi kare gai(ke bazhair wo mehar al aaqol hai) tu Hazrat Jabrael (A.S) ne aarz kiya ke ap ki tadiq Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) karain gaye jo Sadiq hain.

Tabrani  ne Aust ma Abu Huraira(R.A) se aur Hakim ne mastadrak mai Nizal Bin Sirah se rawiyat ki hai ke hum ne Hazrat Ali(R.A) se aarz kiya ke aye aamir ul momenin! aap hum ko Hazrat Abu Baker (R.A) ke bare mai kuch bataye tu Hazrat Ali(R.A) me farmiya ke( Hazrat) Abu Baker ki hasti wo (muhtram)hasti hai jis ka nam Allah Tallah ne Hazrat Jabreal aur Hazrat Muhammad (S.A.W) ki zuban mubarak se Sadiq rakha aur namaz  ma wo Rasool (S.A.W) ki khlifa the.Pas jis shakas se Rasool e Khuda (S.A.W) deeni mamalat ma razi hove hum  aise se apni duniya ke mamlat ke liye razi ho gaye (ain ko khalifa maqrar ker liya aur ain se bait li).

Dar Qatna aur Hakim ne Ibn Yahya se rawiyat ki hai ke unho ne kha ke ma ne barha Hazrat Ali Karam Allah Wajah ko berser manber ye farmate suna hai KhudaWand Tallah ne apne Rasool (S.A.w) ki zuban se Hazrat Abu Baker(R.A) ka nam sadiq rakha.Tabrani Hakim Ibn Saad  se rawiyat kerte hain ke Hazrat Ali Karam Allah Wajah aik bar bahalaf ye farmate  the ke  Allah Tallah ne Hazrat Abu Baker (R.A) ka nam (Sadiq) aasman se nazil farmiya hai.Aisi tarha hadis ma majood hai ke "tum taskeen rakho tum ma nabi, Sadiq aur shaheed hain" 



Hazrat Sadiq (R.A) ki walda mohtrama 

Hazrat Sadiq Akber(R.A) ki walda mohtarma ka nam Salma bint Sanhar bin Aamir bin Kaab tha aur ain ki kuniat Uml ul Khair thi ,aap ki walda mohtarma aap ke walid ke chacha ki dukhter thain .Ibn Aasker ne bhi aise quol se itefaq kia hai.

Hazrat Abu Baker(R.A) Sadiq ka molid wa Mansha:. 

Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ki waladat,Rasool Akram (S.A.W) ki waladat ba saadat se 2 sal 2 mah baad(Makkah ma) hovi aur teraisat(63) saal ki umer pa ker aap ka intiqal hova.Khalifa bin Khiyat Yazeed bin Aasim se rawiyat kerte hain ke aik bar Rasool Akram(S.A.W)ne Hazrat Abu Baker(R.A)se farmiya ke Abu Baker tum bare ho ke ma bara hon,Abu Baker (R.a) ne aarz kia ke bare tu aap hi hain albata meri umer zayada hai.(ye hadees ghair matasal gharib hai)

Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki parwarish aur nashodunama Makkah Mauzama ma hovi aur tajarti wa karobari zaroorton ke ilwa kabhi Makkah Mauzama se bahir nahi nikle,apni baradri ma sab se zayada doolat mand the lakin maroot wa ehsaan ke paiker the.Quoam ma bohat moaziz samjhe jate the ,aap ke oasaaf ke bare ma Ibn wa Gahna kehte hain ke aap sila rehmi kerte hain.

Ahadis Rasool Allah(S.A.W) ki tasdiq farmate hain aur gumshuda ki talash aap ka shaiwa hai ,zamana ki shidotuon ka aap muqabla kerte hain aur maizbani aap ka shaar hai .Imam Novi(Rehmat Ullah) ka biyan hai ke iyam e jahliat ma aap ka shumar roosaaye Quraish ma hota tha,Quresh aap se mashwara liya kerte the aur aap se ain logon ko behad mohbat thi aur aap bhi ain ke mamlat se had darja ka taluq khatir rakhte the (ain ke mamlaat ki deikh baal farmate the).Jab aap islam ma dakhil hove tu siwaye islam ke kisi chez se sarokar nahi raha (qadeem mashagial biqul tarq ker diye)Ibn Zubair ne Maroof bin Kharbooz se rawiyat ki hai ke aap Quraish ke ain girah(11) ifrad ma se hain.

 jin ko eihad jahliat aur zamana islam dono ma sharf aur bazurgi hasil rahi aap zamana jahliat ma deet (khaon baha) aur jurmane ke muqadmat faisal kia kerte the kyunke Quraish ma koi badshah nahi tha ke aisey kamo ka insram ais ke hath ma ho balke her khandan ka raais ya her qabila ka mohtram shaks aik muqrara kaam ka zimedar hota tha.Jis tarah bani Hashim hajiyon ke muntazam aala the (ain ko pani pilana aur khord wa noosh ka intezam Bani Hashim ke supard tha, aisi tarah fasal qazaiya aur deet ke ihkaam Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) qabal islam jari farmiya kerte the).Abdul Dar ke zime Kaaba ki darbani thi,aalambardari aur majlis Shaura ka intezam the yani ain ki ijazat ke baghair koi Bait Ullah ma dakhil nahi ho sakta tha aur jab tak ye persham jang buland na kerte koi khandan jang ke liye tayar na hota tha.Goya jangi aamoor ka intezam bhi Bano Abdul Dar ke sapord tha majlis Shaura ke mauntazim bhi yehi the ainhi ke hukam se Dar al Nadowa ma ijtama hota tha.

Eihad -e - Jahliat ma Hazrat Abu Baker ka pakeeza kerdar:.

Ibn Aasker ne Hazrat Ayesha Sadiqa (R.A) se rawyat ki hai ke Khuda ki qasam walid majid Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne zamana jhaliat ma kabhi koi sheher kaha aur na eihad Islam ma,aap ne aur Hazrat Usman(r.a) Bin Aafan ne zamana jahlait hi ma shirab tark ker di thi.

Abu Naeem Hazrat Ayesha(R.A) se rawyat kerte hain ke unhon ne farmiya walid majid Hazrat Abu Baker (R.A) ne zamana jehaliat hi mai khud shirab haram ker li thi(sharab pina tarak ker diya tha) .Ibn Asker ne Ibn Zubair(R.A) ke havala se likha hai ke aap ne kabhi bhi sheher nahi kaha .Ibn Aasker hi Abu al Aaliya Riyahi ke hivala se kehte hain ke sahaba karam ke aik majma ma Hazrat Sadiq Akber(R.A)se diryafat kia gaya  ke aap ne zamana jehliat ma shirab noshi ki hai?tu aap ne farmiya bakhuda!ma ne kabhi shirab nahi pi! logon ne ais ka sabab pocha tu farmiya ke ais liye nahi pi ke izat wa namos mehfoz rahe, marowat baqi rahe kyunke sharab khori se marwat jati rahti hai,ye kahber jab Rasool e khuda(S.A.W) ko pohnchi tu Hazoor ne dou(2) martaba irshad farmiya ke Abu Baker ne sach kaha.

Hazrat Abu Bker Sadiq(R.A) ka holiya sharif:.

Ibn Saad ne Hazrat Ayesha (R.A) ke havale se likha hai ke aik shaks ne aap se aaraz kia ke aap hum ko Hazrat Abu Baker (R.A) ke sarapa se aagha farmiye tu aap ne farmiya ke aap ka rang safaid tha .akhera badan tha.dono rukhsar ander ko dabe hove the, pait itna barha hova tha ke aap ka azara aakser nechy khisak jata tha .paichani hamesha aarq aalod rehti thi .chehre per gosht zayda na tha ,nazrain hamesha nichi rakhte the biland pechani the ongalion ki jarain gosht se khali thain ,hina aur kasam ka khizab lagate the.

Hazar Aanas (R.A) se marvi hai ke jab Hazoor(S.A.W) Madina tashrif laye tu Hazart Abu Baker Sadiq(R.A) ke siwa kisi ke baal safiad aur siyah makhlot nahi the chonacha aap ain khichari balon per hina aur kasam ka khazab lagia kerte the.

Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ka islam qabool farmana:.

Tarmazi wa Ibn Haban,Abi Saeed Khudri se rawyat kerte hain ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ne farmiya ke kia tum ma sab se zayada musthaq khilafat ma nahi hon?kia islam laine ma mujhe awliyat hasil nahi ?kia mujh ma ye awsaf nahi hain?Ibn Aasker ne Hazrat Ali(R.A) ke hivale se likha aap ne farmiya ke mardon ma sab se pehle Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) islam laye ,Ibn Abi Khashima ne Zaid Bin Arqam(R.A) se rawyat ki hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) wo pehle shaks hain jinhon ne Rasool e  Khuda (S.A.W) ke sath namaz perhi hai! Ibn Saad ne Abi Ardi al Dosi al Sahabi (R.A) se rawyat ki hai ke unhon ne farmiya sab se pehle islam qabool karne wale Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) hain. Shabi(r.a)farmate hain ke ma ne Ibn Aabas (R.A) se daryaft kia ke sab se pehle kon islam laya tu aap ne farmiya Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) aur tum ne Hasan Bin  Sabit ke ye ishaar u sunhe hi hon gaye
.
Jab tu kisi ka ranj wa alam yad karo   tu Hazrat Abu Baker (R.A) ko bhi yad karo
WO duniya ma sab se zayada naik aur aadil they siway Nabi Akram ke, aap sab se zayada wafadar the aur sulahkar 

Aap baregah Khudawandi ki taraf rojou hone aur aap hi sab se pehle Rasool (S.A.W) ki tasdeeq karne wale the aur yar e ghar the

Abu Naeem ne Farat Bin Saaib ki zubani likha hai ke unhon ne Saimoon Bin Mehrani se daryaft kia ke aap ke nazdiq Hazrat Abu Baker(R.A) wa Umer afzal hain ya Hazrat Ali Karam Allah Wajah tu wo larza branadam ho gaye aur ain ke sath se aasa chot ker gir gaya aur unhon ne jawab diya ke mujhe guman bhi na tha ke ma aise zamane tak zinda rahon ga ke jis ma ain dono ke darmiyan mauzana karne ka waqat aye ga .Wo dono ache the aur islam ke liye aise the jaise jism ke liye sir,phir ain se diryafat kia gaya ke Hazrat Abu Baker (R.A) pehle muslman hove the ya Hazrat Ali(R.A),

Aap ne jawab diya ke Hazrat Abu Baker (R.A) Bihra e Rahab ke zamane ma islam la chuke the jabke (Hazrat) Ali Karam Allah Wajah paida bhi nahi hove the baaz ashab ki raiye hai ke aap kul sahaba (R.A)aur taibin wa gair se pehle eiman laye the balke baaz hazraat ne tu yahan tak da-wa kia hai ke aap ki sabqat islam per ijama hai ,aisi tarah baaz kehte hain ke Hazrat Ali (R.A) sab se pehle eiman laiye hain ,baaz ka khiyal hai ke Hazrat Khadija(R.A) sab se pehle eiman lain, ain sab mukhtalif aqwal ki tabtiq ais tarah hai ke mardon ma Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ,khawateen ma Hazrat Khadija(R.A) aur bachon ma Hazrat Ali (R.A) hi sab se pehle islam laine wali hastian hain ,ye tatbiq wa tauzih sab se pehle Hazrat Amam Abu Hanifa (R.A) ne ki hai.

Aise silsaly ma mukhtalif ara:.

Salam Bin Jad ne Muhammad Bin Hanifa (R.A) se diryaft Kia gaye ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) sab se pehle eman lane wale shaks hain ,unhon ne kaha nahi ,ain se phir daryaft kia gaya ke phir ye bat kyo mashoor ho gai ke sab se pehle Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) eman laye tu unho ne farmiya ais liye ye bat mashoor ho gai ke wo islam lane se apni wafat tak tamam muslmano ma sab se afzal wa aala rahe.

Ibn Abi Shiba aur Ibn Aasker ne Saad Ibn Waqas ki zubani biyan ki hai ke ma ne apne walid se diryaft kia ke kya Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne islam qabool karne ma sab se pehle sabqat li tu unho ne jawab dia ke nahi balke ain se qabal panch Hazraat islam la chuke the magar aamer waqai ye hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ka islam hum se behter wa buland tha.Ibn Kasir(R.A) kehte hain ke Rasool Akram (S.A.W) per sab se pehle eman lane wale eihle bait Rasool Allah(S.A.W) thay yani Hazoor ki zauja muhtarma (um ul momanin) Khadija(R.A),aap ke Ghulam Zaid,Zaid ke zauja Um e Aiman ,Hazrat Ali (R.A) aur Warqah Bin Naufal.

Ibn Aasker Isa Bin Zaid se rawiyat kerte hain ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ne farmiya ke aik martaba ma Ka'aba ke samne bhaitha tha aur Zaid Bin Omroo Bin Nafil kahra hova tha ke ais asna ma Umiya Ibn Abi Salt mere pas aya aur mera mazaj pocha ma ne kaha ke thik hon phr aise ne deen Hanifa ke bare ma aik sher perha aur mujh se kehne laga ke paighumber muntazir humre khandan ma paida honge ya aap ke khandan ma ,mai ne aab tak ais nabi muntazir ke bare ma kuch nahi suna tha ke` wo kaab maboos hon ge aise liye ma Warqah Bin Nofal ke pas gaya jo Aasmani Kutab per gehri nazar rakhte the aur ain ke maun se akser aisa kalam nikala tha jis ka koi mafhoom samjh ma nahi aata tha ke ma ne ain ke pas ponch ker ye tamam qisa ain se biyan kia.unhon ne mujh se ye waqiah sun ker kaha ke aye mere bhai!ma kutab samavi ka aalim hon aur ain aloom aasmani se mujhe aaghai hai ye nabi muntazir mulk Arab ke wast ma nasab ke lihaz se paida hon gaye aur ain ke nasab ka mujhe ilm hai .

Chaunke tum bhi nasban wast Arab se taluq rakhte ho.Aise liye wo tum hi ma paida hon ga.Ma ne kaha ke wo kia taleem dain gaye unhon ne jawab dia ke ain ke taleem yehi ho gai ke "aik dosre per zulm na karo,na kisi ghair per zulm karo aur na khud mazloom bano" .Ye tafsil sun ker wapis chala aya aur jis waqat aur jis waqt Rasool Allah (S.A.W) ki baaus hovi ma ne foran islam qabool ker liya aur ap ki tasdiq ki.Muhammed Ibn Ishaq kehte hain ke mujh se Muhammmad Bin Abdul al Rehman ne barrawiyat Abdullah Bin al Sahin al Tamaimi biyan kia ke Rasool Allah (S.A.W) ne irshad farmiya ke jab ma ne kisi ko islam ki dawat di tu aise ko tadbazab ma paya aur aise ko tradad hova siway (Hazrat) Abu Baker (R.A) kay ke jab ma ne islam paish kia tu baghair tadzab aur tardad ke unho ne islam qabool ker lia.

Baheqi kehte hain ke aap ki sabiq al islam hone ka sabab ye hai ke aap naboot ki nechania qabal az islam hi mauloom ker chuke the pas jab aap ko islam ki dawat di gai tu aap ne islam lane ma sabqat ki Abu Maisara ka biyan hai ke Rasool Akram (S.A.W) aik ghaibi awaz ya Muhammad suna kerte the aik bar jab ye awaz suni tu aap ne aisi waqat ye baat Abu Baker Sadiq (R.A) ko sunai ke wo zamana jehliat ma bhi aap ke dost the.

Abu Naeem aur Ibn Aasker ne Hazrat Abas(R.A) se Rasool Allah(S.A.W) ka ye irshad naqal kia hai ke"ma ne jis ko dawat islam di ais ne mere kalam ko lota dia yani inkar kia siway Ibn Abi Qahafa kay ke ma ne jaise hi dawat e islam di unhon ne foran qabool ker lia aur ais per sabit qadam rahe.Bukhari Abu al Darda ki rawiyat se Rasool Akram (S.A.W) ka ye farman biyan kerte hain ke"aye logo !kia tum mere dost (Abu Baker(R.A)) ko chorna chahte ho aur waqiah ye hai ke jab ma ne tum se kaha ke ma Khuday Wahid ka rasool hon.Mujhe Khuda Wand Tallah ne tumhari hadyat ke liye bhaija hai tu tum ne mujhe jhutla dia magar ais waqt Abu Baker (R.A) hi ne meri tasdiq ki.

Suhbat WA Hazoori Khidmat
Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki masalsal rafaqat:.

Tamam ulema ka aise bat per itefaq hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) qabool islam ke bad se sarwar aalam(s.a.w) ki wisal sharif tak hamesha safar wa khizar ma aap ke rafiq rahe behjaz ais ke ke aap ke hukam aur ijazat se hajj ke liye ya kisi jehad ma aap ki suhbat ma na reh sake,warna wo her hal ma her waqt aap ke sath rahte Hazrat Sadiq Akber(R.A) ne Allah aur Rasool Akram(S.A.W) ki khushnodi wa raza ke liye eihal wa aiyal ko chor ker Rasool Allah ke sath hijrat farmai ,Ghar e Saur ma aap ke sath rahe jaisa ke quran kareem ma irshad hai(  ghaar ma do hi the jab ke Rasool(S.A.W) ne apne rafiq se kaha ke ghum na karo Allah humare sath hai)aksar ghazwat ma Rasool e Khuda (S.A.W)ki aanat ki ,naiz aap ki sirat per aur aise bohat se showahid majood hain,khasosan jang Hanain ma jab ke log aap ka sath chor ker bhag gaye aap rasalt Maab (S.A.W) ki khidmat ma majood rahe aap ki shujat ka biyan judagana anwan ke tehat kia jaye ga.

Ibn Aasker Abu HUraira (R.A) se rawiyat kerte hain ke Yaum e Bader ma firshton ne aik dosre se kaha ke deikho Sadiq(R.A) Rasool Allah(S.A.W) ke sath saiban ke nechy majood hain .Abu Yali( R.A) aur Ahmed (R.A) ne Hazrat Ali Karam Allah Wajah se rawiyat ki hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne mujh se aur (Hazrat) Abu Baker(R.A) se farmiya ke tum ma se aik ki madad Jabrael (A.S) ker rahe hain aur dosre ki Makeal (A.S) Ibn Asker (R.A) kehte hain ke ghazwa Bader ma Abdul Rehman Bin Abi Baker mushrikin ke sath the,islam qabool karne ke bad unho ne Abu Baker Sadiq(R.A) se kaha ke aap Jang e Bader ma kai bar zad ma aye lakin ma ne ne aap se qatah nazar ki aur aap ko qatal nahi kia ye sun ker Hazrat Abu Baker(R.A) ne farmiya ke ager tum meri meri zad ma aa jate tu ma tum se sirf nazer na kerta aur tum ko qatal ker daita.

Hazrat Abu Baker (R.A) ki shujat

Aap tama sahaba karam sab se zayada bahadur the:.

Al Bazar ne apni masanad ma likha Hazrat Ali ne logon se diryaft kia "batao ke sab se zayda bahder kon hai?"jawab dia ke aap sab se zayada bahadur hain ! aap ne farmiya ke ma tu hamesha apne baraber ke jor se larta hon phir ma sab se bahadur kaise hova? tum ye batao ke sab se zayada bahadur kon hai

!logon ne kaha ke janab hum ko nahi mauloom aap hi farmyain,aap ne irshad kia ke sab se zayada bahadur aur shuja Hazrat Abu Baker(R.A) hain,suno!Jang Bader ma hum ne Rasool khuda(S.A.W) ke liye saiban (aarsh) banya tha hum ne aapis ma meshwara kia ke(aise saiban ke nechy)Rasool Allah(S.A.W)ke sath kon rahe ga .Kahin aisa na ho ke koi mushrik Rasool (S.A.W) per hamla ker de ,bakhuda hum ma se koi bhi agey nahi barha ke itne ma Hazrat Abu Baker(R.A) shimshir berhana hath ma laiker Rasool Allah (S.A.W) ke pas kahre ho gaye aur phir kisi musrik ko aap ke pas aane ki jurat na ho saki.Ager kisi ne aisi jurat ki bhi tu aap foran ais per toot pare,ais liye aap hi sab se zayda bahdur the.

Hazrat Ali (R.A) ki dosri shadat:
                                                               
Hazrat Ali Karam Ullah Wajah hi farmate hain ke aik martaba ka waqiah hai ke ke musrikin ne Rasool Allah (S.A.W) ko apne naza ma le lia aur wo aap ko ghasit rahe the aur keh rahe the ke tum hi ho jo kehte ho ke Khuda aik hai .Khuda ki qasm kisi ko ain musrikin se muqabala karne ki jurat na hovi lakin (Hazrat) Abu B aker Sadiq (R.A) agey barhe aur musrikin ko mar mar ker aur dhake de de ker hatate jate aur farmate jate tum per afsos hai ke tum aise shaks ko aiz poncha rahe ho jo ye kehta hai ke mera Parwardigar sirf aik Allah hai ".Ye farma ker Hazrat Ali(R.A) ne apni chader othai (chader  maun per rakh ker ) aur itna roye ke aap ki darhi tar ho gai phir farmiya ke Allah Tallah tum ko hadiyat de .

Aye logo !batao ki momin aale Firuan ache the ke Abu Baker (R.A) ache hain (aale Firuan se jo log eman laye unho ne apne paeghamber per ais qader jaan nisari ki jitni Hazrat Abu Baker ( R.A) ne) logo ye sun ker kahmosh rahe tu Hazrat Ali ( R.A) ne farmiya ke logo !jawab kyo nahi daite !Khida ki qasm Abu Baker (R.A) ki aik saat (hiyat)aale Firuan ke momin ki hazaron saaton se behter aur bartar hai ,ais liye ko wo log apna eman (dar ki waja se) chupate  the aur Abu Baker (R.A) ne apne eman ka izhar ali ul eilan kia.

Urwa Bin Zubair kehte hain ke ma ne Abdullah Bin Umro Bin al Asas se sawal ke kia musrikon ne Rasool Allah (S.A.W) ke sath sab se zayada aur sakht tareen burai (ghustakhi) kon se ki hai ? tu unho ne jawab dia ke ma ne bashasham khud deikha hai ke Aqba Bin Abu Mauit Rasool Allah (S.A.W) ke pas aya ais waqt Rasool (S.A.W) namaz per rahe the ,Aqba ne apni chader Rasool Allah ki garden ma dali aur aap ka gla ghontne laga (gale ma chader dal ker ais ko bal diane laga yahan tak ke Rasool Allah ka gala ghutne laga) ke itne ma (Hazrat )Abu Baker Sadiq (R.A) tashrif laye aur Aqba ko dhaka dai ker pechy hatiya aur kaha ke tu ais shaks ko mar dalna chata hai jo ye  kehte hain ke "mera Rab Allah hai , aur jo Parwardigar ke pas se bohat si nechaniya le ker aye hain".

Hisam ne apni masnad ma Hazrat Abu Baker (R.A) ki zubani likha hai ke jang e Uhad ma tamam log Rasool Khuda (S.A.W) ko tanha chor ker mantashir ho gaye.Sirf ma tanha wo shkas tha jo Rasool Khuda(R.A) ke sath raha .Ibn Aasker Hazrat Ayesha (R.A) se rawiyat kerte hain ke jis waqt islam ma 38 afrad dakhil ho chuke the tu Hazrat Abu Baker(R.A) ne Rasool Akram (S.A.W) se lehjat ke sath aarz kia ke aab aap islam ka ala ul eilan izhar farmaye.Hazoor (S.A.W) ne farmiya ke aye Abu Baker (R.A) abhi hamari jamiat bohat kam hai ,Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne phir bhi israr kia farmiya yaha tak ke Hazoor S.A.W) ne deen barhaq ka eilan farma diya ais ke bad muslman masjid se idhar odhar muntashir ho gaye sirf eihle khandan hi masjid ma reh gaye .

Ais waqt walid majid ne kahre ho ker aik taqreer farmai aur logo ko islam ki dawaat di ,mushrikin ne Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A)  per hamla ker dia aur masjid ma majood muslmano ko bohat aaiz pohnchai.

Ibn Aasker Hazrat Ali (R.A) se rawiyat kerte hain ke Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne islam qabool karne ke bad islam ko zahir farmiya aur logo ko islam ki taraf baliya.

Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ka bazal aamwal! Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ke eisar per Allah Tallah ki khushnodi:

 Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) tamam ashab Rasool ma se ziyada sakhi the.Allah Tallah ka ye irshad ke "wo perhaizgar aur mutaqi hai jo apna maal islam ki liye ais muqsad se kharch kerta hai ke wo pakeeza ho jaye "ulema mufasrin ka is per itefaq hai ke ye ayat aap hi ki shan ma nazil hovi hai.Hazrat Abu Huraira (R.A.) se rawiyat hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya ke Abu Baker Sadiq (R.A) ke maal ne mujhe jitna nafa diya itna kisi ke maal ne nahi diya.Aisa per Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne rote hove aarz kia "Hazoor ma aur mera maal sab Hazoor hi ka hai.Aik hadees Hazrat Ayesha (R.A) se bhi aisi tarah ayi hai (Abu Yali ) Saeed Bin Masib se marvi hadees ma ais qader aur azafa hai ke Hazoor (S.A.W) Hazrat Abu Baker (R.A) ke maal ko apne maal ki tarah kharch farmiya kerte the.
Hazrat Ayesha (R.A)se marvi hai ke jis roz Hazrat Abu Baker (R.A) mashraf ba islam hove aap ke pas chalis hazar darham majood the ,ap ne ye tamam maal Rasool(S.A.W) per kharch ker diya.

Ibn Aasker ne Ibn Omer se rawiyat ki hai ke jis roz Hazrat Abu Baker (R.A) eman laye tu ain ke pas chalis hazar darham the    aur jab aap hijrat karke Madina aye tu ais maal ma se sirf panch hazaar darham baqi reh gaye the,aap ne tamam maal (35 hazar darham) muslmano ke azad karane aur islam ki madad karane ma kharch ker dala tha.Hazrat Ayesha (R.A) se marvi hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) ne saat aise muslamano ko azad karia jin ke aaqa ain ke muslman hone ki bina per ain per dard naak azab kerte the.(ain ko sakht tareen sazain  daite the)

Ibn Shaheen,al Baghovi aur Ibn Aasker ne Ibn Omer (R.A) se rawiyat ki hai kay ma aik roz Rasool Allah (S.A.W) ki khidmat ma hazir tha aur wahan Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) bhi majood the  aur wo aik aisi qaba pehne hove the jis ko unho ne apne sina per kanto se atkia hova tha (batno ya tasmo ki bjay ais ma kante lage hove the .) pas ais waqt Jabrael (A.S) nazil hove aur unho ne farmiya aye Muhammad (S.A.W) aaj Hazrat Abu Baker(R.A) apni qaba ko seene per kanto se kyo itkay hove hain.Hazoor (S.A.W) ne jawab ma irshad farmiya unho na apna tamam maal mujhe per (islam ki taraqi ke liye) kharch ker diya hai.Hazrat Jabrael ne kaha ke ya Rasool Allah, Allah Tallah ne aun per salam bhaija hai aur farmiya hai ke ain se kaho aye Abu Baker (R.A) kia tum mujhe se apne aise faqar ma razi ho ya nakhush ho! ye sun ker Hazrat Abu Baker (R.A) ne kaha ka ma apne rab se nakhush kis tarah ho sakta hon ma tu ais se razi hon,khush hon,bohat khush hon ,bohat razi hon ,Aise tarah ki aur bohat si ahadees aur bohat si rawyatain hain jin ma aap ke maal o daulat ke aisar aur islam ki rah ma ais ke kharch karne ka haal hai.

Ibn Aabas (R.A) se rawiyat hai ke Rasool Akram(S.A.W) ne farmiya ke aik din Hazrat Jabrael (A.S) aik aisa  jaba jis ma kante lage the pehne hove nazil hove Hazoor (S.A.W) ne ain se diryaft kia ke aye Jibrael ye kia halat hai ,unhno ne aarz kia ke Allah Tallah ne firshton ko hukam hiya hai ke wo aisa hi labas pehne jaisa  Hazrat Abu Baker (R.A) pehne hain.

Abu Dawood aur Tarmazi ne bahavala Hazrat Omer Farooq (R.A) likha hai ke bargah Nabvi(S.A.W) se hum ko hukam hova hai ke hum rahe khuda ma apna kuch maal tasdiq karain .Ma ne dil ma pukhta irada ker lia ka ma aaj Abu Baker (R.A) se ziyada maal rahe Khuda ma tasdiq karon ga chaunacha ma apna nisaf maal laiker Rasool Allah ki kihdmat ma hazir hova .

Sarwoor Alam (S.A.W) ne mujhe se daryaft farmiya ke apne eihle wa aiyal ke liye kitna maal chora,ma ne aarz kia ke ain ke liye nisf maal chor aya hon,itne ma Hazrat Abu Baker (R.A) apna (kal) maal laiker hazir hove ,Hazoor (S.A.W) ne ain se farmaya ke tum ne apne eihle wa iyal ke liye kia chora? unho ne jawab ma kaha ki ain ke liye Allah aur ais ka Rasool kafi hai.Aise waqt ma ne apne dil ma faisala kia ke ma kisi baat ma ain se sabqat nahi le  ja sakta.

Hasan Basri (R.A)farmate hain ke aik murtaba Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) jab sadqa laiker hazir hove tu ais ki maaliyat ka izhar kiye baghair Hazoor (S.A.W) se aarz kia ke ye mera sadqa hai wallah mujhe aab Allah hi kafi hai .Hazrat Omer Farooq(R.A) bhi sadqa le ker hazir hove aur ais ki maaliat zahir karke kehne lage ke mujhe aab khuda ka sahra hi kafi hai .Rasool Khuda (S.A.W) ne farmiya ke tum duno ke sadqaat ma itna hi faraq hai jitna tum duno ke ilfaz ma farq hai.

Tarmazi ne Abu Huraira (R.A) se bahavala Abu Baker (R.A) tehreer kia hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya "ma ne her aik ka ehsan otar diya siway Abu Baker(R.A) ke ehsan ke ain ka ehsan mere zima baqi hai ,ain ka ehsan itna aazeem hai ke ais ka awuz qiyamat ke din ke Allah Tallah hi ain ko aata farmaye ga,mujhe kisi ke maal se itna nafa nahi poncha jitna Abu Baker(R.A) ke maal se pohncha.

Bazar ne berrawiyat Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) tehreer kia hai ke aik roz ma apne walid Abu Qahfa ke sath baregaha nabvi ma hazir hova tu (mere borhe walid ko deikh ker )Hazoor(S.A.W) ne farmiya ke tum ne apna zaaif walid ko(yaha aane ki ) kyo takleef di ,ma khud ain ke pas a jata ais per ma ne aarz kia ke aap ka zehmat farmane ke bajaye ain ka ana hi thik hai ,ais per irshad farmiya ke hume ain ke baite yani (Abu Baker) ke ehsaanat yad hain.

Ibn Aasker ne berriwayat Ibn Aabas (R.A) likha hai ke Rasool Akram (S.A.W) ne irshad farmiya ke Abu Baker (R.A) ke mujhe per azeem ehsaanat hain ke aur kisi ke nahi hain unho ne apne jan aur maal se meri madad ki.Aur apni baiti bhi mere aaqad ma dey di. 
Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ka murtaba ilmi

       Aap tamam sahaaba (R.A) ma sab se zayada aalim aur sab se zayada zaki the :
Amam Novi ne apni tasneef "tehzeeb" ma likha hai ke ulema ne aap ke tehjer ilmi per Bukhari aur Muslim ki ais hadees se aistadlal kia hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ne farmiya ke Khuda ki qasam ager koi shaks namaz wa zakat ma farq kare ga tu ma ais ko qatal ker don ga .Kia ain ma wo mujhe majboor samjhte hain? wo jo kuch bhi Rasool Allah (S.A.W) ke zamane ma ada kerte the ager ais ma kuch bhi kami ki tu ma in se qaatal karon ga.

Sheikh Abu Ishaq ne ais hadees se aur degar ahadees se istadal kia hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) sab se zayada aalim the kyunke sahaaba karam (R.A) ko kisi masala ma tardad hota aur aise hal na ker pate tu ais ko Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki khidmat ma paish ker daite aur ais per jo kuch raye aap ki hoti thi jarah wa taadail ke bad jawab dursat hota tha aur sahaba(R.A) aisi taraf roujo kerte the (aisi faisle per amel hote the ).Abdullah Ibn Umer se kisi ne sawal kia Rasool Allah (S.A.W) ki eihad mubarak ma kon shaks fatwa diya kerta tha tu unho ne jawab diya ke Hazrat Abu Baker aur Hazrat umer (R.A) se ziyada koi aalim nahi tha (yehi duno hazraat fatwa diya kerte the) 

Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ka kamal fahaim wa farasat:

Abu Saeed Kahudri(R.A) se marvi hai ke aik roz Rasool Akram (S.A.W) ne khuttba ma irshad farmiya ke Allah Tallah ne apne bande se kaha ko wo duniya ko pasand ker laye ya akhrat ko ikhtiar ker laye.So ais bande ne apne liye akhrat ko pasand ker liya hai.Ye sunte hi Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ashkabar ho gaye aur kehne lage ke kaash ya Rasool Allah hum apne maa baap aap per qurban ker dain,ye kalmaat sun ker hum hazrin ko taajub hova kyunke Hazoor(S.A.W) tu mehaz aik shaks ka zikar farma rahe the jis ko ye ikhtiar diya gaya tha aur ais ma haqeeqat aur ramzia tha ke wo sahib e ikhtiar khud Rasool Allah (S.A.W) ki zaat garami thi,ais ramaz ko faqat Abu Baker Sadiq(R.A) ka ilam hi pa saka.Aisi zakwat fahim ke baais wo hum ma sab se zayada alim the .

Rasool Akram (S.A.W) ne farmiya ke jo log mujh per eman laye ain ma Abu Baker ki muhbat aur ain ka maal mujhe sab se zayda pasand hai ager ma Allah ke siwa kisi ko dost bana sakta tu Abu Baker(R.A) ko dost banata lakin ain ki akhowat islami maudat mere dil ma baqi hai Hazoor (S.A.W) ne irshad farmiya ke tamam darwzon ke band ker daine ke bawjood Abu Baker (R.A) ka darwaza lazman khula rahe ga.

 Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ka ilm quran:.

Ibn Kasir kehte hainke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) sahaba ma sab se zayada ilm quran rakhte the ais liye ke Rasool Allah (S.A.W) na aap ko namaz ma sahaaba karam ko imam banaya tha.Rasool Khuda(S.A.W) ka irshad hai ke quoam ka imam quran sharif ka sab se zayada ilm rakhne wala hona chaye.

Naiz Hazoor(s.a.w) ka irshad hai ke jis quoam ma Abu Baker (R.A) majood hon ain ke bhagair koi dosra imamat nahi ker sakta .Aisi ke sath sath ye baat bhi sabit hai ke aap sab se zayada ihkam rasaalat se agah the chaunacha bareha sahaaba karam (r.a) ne aamor e sunat ma aap se rojou kia hai aap aisi surton ma hamesha ain ke samne hadees Rasool Khuda (S.A.W) paish farmiya kerte the ,aap ko baksrat ahadees yad thain aur bawaqt zaroorat aap unhain biyan farma diya kerte the aur aap se ziyada hafiz ahadees aur kon ho sakta tha ke aghaz risaalat se wisal mubarak tak aap tak hamesha Rasool Akram (S.A.W) ki suhbat ma rahe ilwa aizain aap ki qowat hafza bhi bohat taiz thi aur aap tamam logon ma sab se ziyada zaki aur zi fehaim the.

Hazrat Abu Baker(R.A) se qaleel ahadees marvi hone ka sabab:

Bain huma qarbat Rasool Allah (S.A.W) aur zakat fahim aur qowat hafiza aap se bohat kam ahadees marvi hain,ais ki wajah ye hai ke Rasool Akram (S.A.W) ke wisal mubarak ke baad aap bohat kam mudat tak baqeed hiyat rahe ager aap kuch mudat tak zinda rehte tu yaqeenan aap se marvi ahadees ki tadad tamam sahaba se ziyada ho jati hai aur phir koi hadees aisi na hoti jis ma Hazrat Abu Baker(R.A) ki sanad na pai jati thi ,naiz ye ke dosre sahaba karam(r.a) ko Hazrat Abu Baker(R.A)se rawiyt laine ki ais liye zaroorat nahi pari ke wo hazraat bhi akser wa baishter Rasool Khuda (S.A.W) ki suhbat mubarak ma hova kerte the aur irshadat nabvi suna kerte the pas jis ko khud unho ne Hazrat Risalat Maab (S.A.W) se simat kia ho ais ko Hazrat Sadiq(R.A) se naqal wa rawiyat karne ki zaroorat baqi nahi rehti. 

Muqadmat ke faisale ma Hazrat Abu Baker(R.A) ka tahmul :

Abu al Qasim ne barrawiyt Memon likha hai ke jab Hazrat Abu Baker(R.A) ke samne koi muqadma paish hota tu awalan aap quran majeed ma talash farmate aur quran hukam ke bamo jab faisala farmate  ager wahan koi sarhat na hoti aur faisala ma dushwari hoti tu phr isrshadat nabvi (ahadees) ke mutabiq faisala farmate aur ager koi hadees bhi nahi milti tu phr aap dosre muslmano (ashab rasool) se ais mamala ma meshwara laite aur farmate ke ais silsala ma mere pas aik muqdma aya tum ma se kisi ko mauloom hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne aisi muqadma ko kis tarah faisal kia tha pas aap ke pas tamam sahaba karam jama ho jate the aur ager kisi ko maulom hota (koi hadees ais masle ke bare ma yad hoti ) tu wo aap se biyan ker daita .

Tu aap ais ke mutabiq faisala sadir farma daite aur farmate ke Allah ka shukar hai,hum ma aise log majoud hain jo Nabi kareem (S.A.W) ki hadees ko yad rakhte hain.Ager ais tarah bhi koi hadees sharif nahi milti tu sahba karam ko jama karke ain se meshwara kerte aur jis faisala per itefaq raye ho jata tu aap aisi ke mutabiq faisala ker daite the. 

Hazart Umer (R.A) ka bi yehi tareeqa tha ke awal quran majeed aur ahadees per nazer farmate ager waha se masala ka hal na milta tu Hazrat Abu Baker(R.A) ke faisala ki pervai kerte aur ager ais silsala ma Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ka bhi koi faisala nahi hota tu Akabarin sahaba (r.a) ki kasrat raye per faisala farma the.

Hazrat Abu Baker(R.A) ilm ul nasab ma mahir the:.

Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A Arab se amoman aur Quraish ke nasbon se khasosan waqif the jair Mautam jo Quraish ma insab ke sab se ziyada mahir the kehte hain ke ma ne ilm al nisab Hazrat Abu Baker(R.A) se seikha hai ,jo Arbon ke nasbon ke sab se azeem janane wale the.
Hazrat Abu Baker(R.A) ilm taabir ke bhi aalim the:

Ain kamalat ke sath sath aap ilm taabeer se bhi bakhobi waqif the,aap Rasool Akram (S.A.W) ke eihad mubarak hi ma khawabon ki tabeer batla diya kerte the chaunacha mashoor maaber Muhammad Bin Sarin (jo tabeer roya ma buland paya rakhte hain) farmate hain ke Rasool Allah (S.A.W) ke baad Hazrat Abu Baker(R.A) sab se bare maaber the Dailmi ne apni masnad (firdous) ma aur Ibn Aasker ne barrawiyt Samrah biyan kia ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya ke mujhe hukam diya giya hai ke khawab ki tabeer Abu Baker (R.A) batia karain.

Hazrat Abu Baker(R.A) ki fasahat taqreer:

Ibn Kaseer (R.A) ka biyan hai ke aap logo ma sab se zayada faseeh muqarar the ,Zubair Bin Bakar kehte hain ke ma ne akser ulema ka ye qwol suna hai ke sahaba karam(r.a) ma sab se zayada faseeh muqarer  Hazrat Abu Baker(R.A) ,Hazrat Umer aur Hazrat Ali (R.A) the ma aainda safaat ma hadees saqifa ma Hazrat Umer (R.A) ka wo qwol paish karon ga jis ma aap ne Hazrat Abu Baker(R.A) ko sab se zayada aalim aur sab se zayada khof Khuda rakhne wala ,tabeer roiya ma kamal rakhne wala aur sab se ziyada faseeh al biyan khateeb batiya hai.

Hazrat Umer(R.A) ke ais qwol se jo hadess saqeefa ma mazkoor hai,ye bat badlaeel samne aa jaye gai.Sulah hudabia wali hadees se pata chalta hai ke Hazrat Abu Baker(R.A)  tamam sahaba (r.a) ma sab se ziyada aalim the'.Hazrat Umer (R.A) ne Rasool Khuda (S.A.W) se ais sulah ke bare ma kuch maarozat kiye aur kaha kia hum duniya ko deen ke auaz chor dain.Hazoor ne ais ke jawabat marhemat farmaye,yehi sawal Hazrat Umer (R.A) ne Hazrat Abu Baker(R.A) se kia tu aap ne jo jawabat ais ke diye wo baaina ain jawabat ke mutabiq the jo Hazoor (S.A.W) ne irshad farmaye the.Aisi liye aap ko tama sahba karam (r.a) ma sab se zayada aaqil ,rast guftar wa dorast kerdar aur sahib al raye samjhe jate the. 
   
ASABAT RAYE

Tamam al Razi (r.a) ne apni tasneef fawaid ma aur Ibn Aasker ne barrawiyat Umer (R.A)wa Bin al Asas likha ke ma ne Rasool Allah (S.A.W) ko ye farmate suna hai ke jabrael (A.S) mere pas aye aur unho ne kaha ke ya rasool Allah, Allah ka irshad hai ke aap Abu Baker (R.A) se meshwara le liya kijiye.

Tabrani Abu Naeem wagaira hum ne berrawiyat Mauz (r.a) Bin Jabal biyan kia hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne mujhe Yemen bhaijne ka irada farmiya tu aap ne aik majlees mashawarat qaim farmai jis ma degar sahab akaram (r.a) ke sath sath Hazrat Abu Baker (R.A) ,Hazrat Umer (R.A) ,Hazrat Usman (R.A) ,Hazrat Ali (R.A) ,Hazrat Talha (R.A) ,Hazrat Zubair (R.A) Hazrat Asaid (R.A) Bin Huzair majood the ,ais mamala per guftago hovi tu tamam sahba (r.a) ne Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki raye se itefaq kia ,Hazoor (S.A.W) ne farmiya ke aye Mauz tumhari kia raye hai ma ne aarz kia ke jo Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki raye hai wohi meri raye hai .

Ais per Hazoor (S.A.W) ne irshad farmiya ke Allah Tallah ko (barser falak) ye gawara nahi ke Abu Baker ghalti karain .Ibn Usama(R.A) ke ilfaz ye hain ke Allah ko aasaman per ye gawara nahi ke Abu Baker Sadiq(R.A) zameen per ghalti karain .Tabrani ne berrawiyt Sehal Bin Saad al Saadi apni masnad ma likha hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya ke Allah Tallah ko pasand nahi ke Abu Baker Sadiq(R.A) ghalti karain.

Hazrat Sadiq (R.A) ka hafiz e quran:.

Imam Nodi(r.a) farmate hain ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) bhi ain sahba ma se the jinho ne quran hifz kia tha.Hazrat Anas (R.A) farmate hain ke Rasool Khuda (S.A.W) ke zamane ma Ansar se char ifrad ne quran karim ker liya tha.Kitab al taqan ma is ki tafseel majood hai ,Abu Dawood ne Shabi ke havole se jo ye biyan kia hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki wafat tak quarn karim jama nahi hova tha ais ka mutlab ye hai ke ais tarteeb ke mutabiq jama nahi hova tha jis tarah Hazrat Usman (R.A) ne mushraf ko jama farmiya tha. 
  
 Hazrat Abu Baker(R.A) ki dosre sahba per fazilat

Ulema eihle sunnat ka ais aamer per ijma aur itefaq hai ke Rasool Allah (S.A.W) ke baad Hazrat Abu Baker(R.A) ain ke baad Hazrat Umer (R.A) phr Hazat Usman (R.A) aur ais ke baad Ali(R.A) ain ke baad aashra mubashra ke baqi haazart ais ke baad baqi ashab bader phr baqi ashab ohad ain ke baait al Rizwan ke ashab ain ke baad degar ashab Rasool (S.A.W) tamam logo se afzal hain.Abu Mansoor Baghdadi ne bhi likha hai ke aisi per umat mulama ka itefaq hai .

Bukhari ne berrawiyt Abdullah Ibn Umer likha hai ke Rasool Allah (S.A.W) ke zamane ma hum log Hazrat Abu Baker(R.A) ko afzal al sahaba(r.a) shamar kia kerte the ,phr Hazrat Umer (R.A) ko aur ainke baad Hazrat Usman (R.A) ko.Tabrani ne ain ilfaz per itna aur zayada kaha hai ke Rasool (S.A.W) ko bhi hamre ais khiyal se agahi ho gai aur aap ne ais per nagawari ka izhar nahi farmiya .Ibn Aasker ne Ibn Umer(R.A) se ais tarah rawiyt ki hai ke hum ma Rasool Allah(S.A.W) tashrif farma the (isnae guftagoo ma) hum ne sab se zayada afzal Hazrat Abu Baker,phr Umer Farooq ko phr Usman ko aur phr Ali(R.A) ko qarar diya .

Ibn Aasker ne berrawiyat Abu Huraira (R.A) likha hai ke hum(ashab rasool (s.a.w) jab aapis ma bhaite othate tu akser kaha kerte the ke ais omat ma Rasool(S.A.W) ke baad sab se afzal Abu Baker ain ke baad Hazrat Umer(r.a) phr Usman(r.a) hain phir khamosh ho jate the.Tarmazi (r.a) ne Jaber Bin Abdullah ke havala (sanad) se likha ke aik murtaba Hazrat Umer(R.A) ne Hazrat Abu Baker ko"khair al naas baad Rasool (S.A.W) "keh ker pukara tu Hazrat Abu Baker(R.A) " ne farmiya ke aye Umer(R.A) tum ne apne aap ko kyo chor diya ,ma ne Nabi Kareem (S.A.W) se khud suna hai Umer(R.A) se behter shaks per aftab kabhi talouh nahi hova.

Muhamad Bin Ali Ibn Talib kehte hain ke ma ne apne walid muhtram Hazrat Ali se daryaft kia ke Rasool Khuda (S.A.W) ke bad logon me kon afzal hai unho ne farmiya Abu Baker(R.A)  ma ne kaha ke phr unho ne farmiya Umer (R.A) ais ke baad ma dara ke aab aap Hazrat Usman (R.A) ka naam lain gaye pas ma ne kaha ke ais ke baad aap afzal hain ,tu aap ne farmiya ke ma tu muslmano ma se aik fard hon yani aik mamoli muslman hon.

Hazrat Ali (R.A) ka irshad:

Ahmed Bin Hanbal (R.A) kehte hain ke Hazrat Ali (R.A) ne farmiya hai ke Rasool Allah (S.A.W) ke baad Hazrat Abu Baker wa Hazrat Umer (R.A) khair omat hain ,Zahabi kehte hain ke Hazrat Ali (R.A) ne kai murtaba farmiya (rafazion per khuda ki laanat ,wo kaisi jehlaat ma mubtala hain) Tarmazi aur Hakim ne biyan kia hai ke Umer Bin Khitab (R.A) farmate hain Abu Baker (R.A)ke hamare sardar ,hum ma sab se behter aur Rasool (S.A.W) ko hum sab se ziyada mehboob hain.

Ibn Aasker ne berrawiyt Ibn Yaali likha hai ke aik bar Hazrat Umer (R.A) manber per tashrif le gaye aur farmiya ke ais omat ma Nabi Kareem (S.A.W) ke baad Hazrat Abu Baker(R.A) afzal al naas hain.Ager kisi shaks ne ais ke khilaf kaha tu wo muftari hai aur ais ko wo saza di jaye gai jo aftara perdaz ke liye shariat ne rakhi hai.Abu Dawood kehte hain ke Nabi (S.A.W) ne irshad farmiya ke siway nabi ke aur koi shaks aisa nahi jis per aftabt talouh aur gharoob hova ho aur wo Hazrat Abu Baker(R.A) se afzal ho(yani nabi ke baad duniya ma in se koi afzal nahi hai.) .Aik rawiyt ma "marsal" ke ilfaz bhi aye hain.Hazrat Jaber (R.A) se marvi hadees ais tarah hai ke kisi shaks per suraj talouh nahi hova ke wo  Abu Baker(R.A) se afzal ho ,

Tabrani wagaira ne ais ko saboot wa dalael ke sath likha hai ke ,Ibn Kasir ne bhi ais ki sehat per dalael paish kiye hain.Tabrani ,Salama Bin Akawa se riwayat kerte hain ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya ke Hazrat Abu Baker(R.A) khair al naas hain siway ais ke wo nabi nahi hain .Saad Ibn Zarara(r.a) ne kaha hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne irshad farmiya ke Jabrael ne mujhe bataya hai ke aap ke baad aap ki omat ma Abu Baker (R.A) khair al naas hain.Umero Bin al Asas se rawiyt hai ke ma ne Rasool Allah (S.A.W) se aarz kia ke logo ma aap ko sab se zayada mehboob kon hai aap ne farmiya (Hazrat)Ayesha (R.A) ma ne arz kia ke mardon ma sab se zayada mehboob kon hai?

farmiya ain ke walid ( Abu Baker (R.A)) ma ne aarz kia ain ke baad aap ne farmiya Umer Bin al Khittab.Yehi hadees baghair lafz Umer (R.A) ke Hazrat Anas (R.A) ,Ibn Umer aur Ibn Aabas se marvi hai Tarmazi aur Nasai ne ais ko zabt kia hai .Hakim Abdullah Bin Shaqeeq se rawiyt kerte hain ke ma ne Hazrat Ayesha (R.A) se diryaft kia ke sahba kaaram ma Rasool Allah (S.A.W) ko sab se zayada mehboob kon tha? Unho ne farmiya(Hazrat)  Abu Baker (R.A) .Ma ne aarz kia ain ke baad aap ne farmiya (hazrat)Umer (R.A) ma ne aarz kia ain ke baad ,aap ne farmiya(Hazrat) Abu Ubaida Bin al Jarah.

Tarmazi ne Hazrat Anas se(R.A) ki rawiyt se likha hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne irshad farmiya ke Abu Baker wa Umer duno mersalin ki ilwa tamam awalin wa akhrin ke janat ma sardar hon gaye .Hazrat Ali (R.A) ,Ibn Aabas ,Ibn Umer ,Abu Saeed al Khidri aur Jaber Ibn Abdullah se bhi aisi tarah marvi hai.

 Tabrani ne aust ma Aamar Bin Yasir se rawiyt ki hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya ke jis ne mere ashaab ma kisi ko(Hazrat ) Abu Baker (R.A)wa (Hazrat) Umer (R.A) per fazilat di ais ne mahjarin wa insar per ziyadti ki.Ibn Saeed ne Zehri se rawiyt ki hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne Hasan Bin Sabit (r.a) se farmiya ke tum ne Abu Baker (R.A) ki shan ma bhi kuch kaha hai.Unho ne kaha kaha jee han !

Aap ne farmiya sunao ,pas Hasan Bin Sabit (R.A) ne ya ishar perhe .

Abu Baker(R.A)Hazrat Risalat Maab ke yaar e ghar hain  jab aap pehar per charte hain tu dushman bhag jata hai. Tamam log jante hain ke Rasool Allah se ain ko kitni mohbat hai apko itn mohbat kisi se bhi nai hovi Ain ishaar ko sun ker Raool Allah(S.A.W) ne tabasum farmiya aur Hazrat Hasan se kaha ke hasan tum ne sach kaha.Umat ma sab se zayada reham dil aap hain.

 Ahmed (r.a) wa tarmazi ne berrawiyt Anas (r.a) Bin Malik aap ka ye irshad likha hai ,meri umat ma Abu Baker (R.A) sab se zayada reham karne wale hain aur ahakam Elahi ki tamil karane ma Umer (R.A) sab se ziyada sakht hain.wale hain .Aur sab se ziyada hiya wale Usman (R.A) hain aur halaal wa haram ma sab se ziyada tameez karne Maaz Bin Jabal hain. .Aur Zaid Sabit sab se ziyada faraiz janane wale hain.aur Abi Bin Kaab behtarin qari hain.Har omat ke liye aik ameen hota hai aur meri omat ke ameen Abu Abaida (r.a) Bin al Jarah hain.Ibn Umer (apni rawiyt ma) itna aur ziyada kerte hain "sab se ziyada qazion ka faisala kerne wale Ali (R.A) " hain Ibn Anas ne isi hadees ko ais azafa ke sath biyan kia hai" sab se ziyada zahid mutaqi aur rast guftar Abuzar(r.a) hain aur sab se ziyada ibadat guzar aur mutaqi Abu al Darda hain aur Mawia Ibn Abi Sufiyan sab se ziyada haleem wa burbard hain aur bukhshish wa karam wale hain.

Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ki tareef wa tasdiq ma ayat e qurani

Ma ne ais mazou per chand katabain deikhi hain ain ma wo nasoos biyan ki gai hain jin ma Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ki tarif wa tasdiq ki gai hai lakin mere nukta nazer se wo na kafi hain ais liye ma ne ais mozau per bh ikitab likhi hai aur aisi se yahan natoor ikhtasar kuch paish kerta hon.(kindly check ye add karna hai ke nai).

Allah Tallah farmata hai " jab dono ghar ma the tu Rasool Allah ne apne hum nasheen (sahab) se kaha ke ranj wa gham na kijiye Allah hamare sath hai phr Allah ne ain per taskeen nazil farma dai).Tamam muslmano ka is per itefaq hai ke ais ayat ma "sahab" se murad Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) hain,Ibn Abbas (R.A) farmate hain ke Rasool Allah (S.A.W) se sakeena (sakoon khatir wa tasali ) tu kabhi zaail nahi hova bas jin per sakina nazil hova wo Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) hain.

Ibn Hatim se berrawiyt Ibn Masood(r.a) biyan kia hai ke jab Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne Hazrat Bilal (r.a) ko Umia Bin Khalaf aur Abi Bin Khalaf se aik chader aur char sou(400) darham ke aoaz  khirid ker ain ko azad ker diya tu Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ki shan aur Abi Bin Khalaf wa Umia Bin Khalaf ke bare ma Allah Tallah ne wallail aza yaghsha se ain sakeem lashni  tak ayaat nazil farmain .

Abudullah Bin Zubair (r.a) se marvi hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A)ka Makkah ma dastoor tha ke aap zaaif mardon aur borhi aurton ko jab wo islam qabool ker laite ain ko kharid ker azad farma daite aik din Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ke walid ne kaha "aye farzand ! ma deikh raha hon ke tum zaaif logo ko kharid ker ghulami se azad ker rahe ho ,ager tum ain borhon ke bjay qawi aur jawan logo ko kharid ker azad karo tu wo sath dain gaye,tum ko nuksan se mehfoz rakahin gaye.

Aur tumhari mudafat karain gaye "ye sun ker Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne kaha aye walid muhtram ais se bara muqsad Allah Tallah ki raza aur khusnodi hasil karna hai (duniyavi faida mere paish nazer nahi hai )Abdullah Ibn Zubair(r.a) kehte hain ke hamre afrad khandan ka kehna hai ke ais per fama man azma wataka  ki ayat nazil hovi (Ibn Jareer )Hazart Arwa se marvi hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne ain saat afrad ko jin per mehaiz muslman ho jane ki wajah se ain ke malik tafleef pohnchate the ,jab kharid ker azad ker diya tu ye ayat  walijanbha al taka alzi yauti mala yatazki() nazil hovi(Tabrani) Abdullah Ibn Zubair(r.a) farmate hain ke  wa la la had andah yajzi se surat ki akhari ayat Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki shan ma nazil hovi .

Bukhari ne Hazrat Ayesha (R.A) ki rawiyt se biyan kia hai ke walid mohtram ne kabhi bhi qasam kaha ker ais ke khilaf nahi kia yahan tak ke qasam ke kufare ki ayat nazil ho gai.Bazar (r.a) wa Ibn Aasker ne Ibn Asaeed Bin Safwaan ke havala se biyan kia hai ke aik murtaba ma aus suhbat ma majood tha ke Hazrat Ali (R.A) ne qasam ais tarah khai ke qasam hai ais Khuda ki jis ne Muhammad(S.A.W) ko (rasool bana ker ) bhaija aur Abu Baker (R.A) se ais ki risaalat ki tasdiq karai.Tu ye ayat nazil hovi wallazi ja bilsadaaq wa sadaq bah awlaaika hum al mautakon()

Hakim ne Ibn Abas ke havala se likha hai ke  eashar hum fi al ma( ) Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) aur Hazrat Umer (R.A) ki shan ma nazil hovi thi.Ibn Hatim Ibn Shozoob se rawiyt kerte hain ke ayat waman khaf maqam rabha jantan()

Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ki shan ma nazil hovi ,ma ne ais ayat ki tashreeh wa tasreeh apni kitab" isbab nazool " ma ker di hai.Ibn Umer (R.A) aur Ibn Abas (R.A) se marvi hai ke salah al momaneen Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) aur Hazart Umer (R.A) murad hain'
Abdullah Bin Abi Hameed ne apni tafseer ma mujahid ke havale se likha hai ke jab ain Allah wa maalikata yasloon ali al nabi nazil hovi tu Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ne Rasool Allah (S.A.W) se aarz kia ke YaRasool Allah aisi koi naik bat aap ke liye nazil nahi hovi jis ma hum ko shamil na kia gaya ho lakin ais ayat ma aisa nahi hai (hum ais ma shamil nahi) aisi waqt ho allahzi yasla alaikam wa maalikta  ayat nazil hovi (ye bhi Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ki shan ma hai ),

Ibn Aasker (r.a) Ali Bin Hussain (r.a) se rawiyt kerte hain ke wanazana ma fi sadorhim man ghala akhwanan ali saroor manqabaleen( )  Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A),Umer wa Ali (R.A) ki shan ma hai .Ibn Aasker ne Hazart Ibn Abaas (r.a) ke havala se likha hai ke waseina al insan bwa ladihiya ehsana se aad alazi kanova yaalon tak  Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A)ki shan ma hai .

1. Ibn Aasker(r.a) na Ibn Aabina se rawiyt ki hai ke Allah Tallah ne Rasool Allah (S.A.W) ke silsala ma tamam muslmano per siway Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ke aaqab farmiya hai (yani Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ko aaqab se mushtashna farmiya hai)jaise farmiya hai Tarjuma :ager tum ne ais ki madad nahi ki tu Khuda ne ais ki madad ki .Jabke kafron ne ais ko ghar se nikala aur ghar ma hajab dou(2) ma se aik apne sath se kaha .
      
                                                            Havashi

1. Tarjuma :so jis ne (Allah ki raha ma) diya aur allah se dara
2. Tarjuma: aur ais se aisa shaks dour rakha jaye ga jo bara perhaizgar hai aur jo apna maal ais gharz se daita hai ke wo pak ho jaye
3. Tarjuma :aur wo jo sadq ke sath aya aur jis ne ais ki tasdiq ki yehi log hain jo Allah se darne wale hain 
4. Tarjuma: aur ain se mamala ma mashwara le liya kijaye 
5. Tarjuma:aur jo apne Rab ke samne kahra hone se dara ais ke liye do bagh hain
6. Tarjuma: aur ye jo samne beche hove takhton per bhai bhai bhaite hain hum ne ain ki dilon se ain ki bahmi kadurat ko nikal liya

Hazrat Abu Baker wa Umer(R.A) ki shan wa fazal se mutalqa ahadees

Imam Bkukhari(r.a) ne berrawiyt Abu Huraira(R.A) biyan kia hai ma ne Rasool Allah (S.A.W) se suna hai ke aap ne farmiya aik cherwaha aik jagah bakrian cheraha raha tha itefaqan aik bhiriye ne gala per hamla karke aik bakeri pakeri cherwahe ne ais bhiriye ka pecha karke ais bakeri ko chora lia ais waqt ais bhirye ne kaha ke ais waqt kya ho ga (tu kya kare ga) jab bakerion ma tu nahi ho ga balke ma hon ga .Itne ma aik shaks aik bar barader bail ke sath idhar se guzara bail ne meri taraf deikh ker kaha ke ma saman laadne ke liye nahi balke khaiti bari ke liye paida hova hon.Ye sun ker logon ne kaha kia khoob bail bhi batain kerta hai ye sun ker Hazoor(S.A.W) ne farmiya mere biyan ki tasdiq Abu Baker(R.A) aur Umer(R.A) karain gaye agarcha ais majlis ma Sadiq Akber (R.A) aur Farooq Azam(R.A) majood nahi the lakin Hazoor (S.A.W) ne ain dono hazraat ke eman kamil ki itemad per ye farma diya .

Tarmazi ne Hazrat Abu Saeed Khudri se rawiyt ki hai ke her nabi ke dou(2) aasamni aur do zameeni wazir hote hain.Mere aasmani wazir Jibrael wa Meakael hain aur zameni wazir Abu Baker(R.A) wa Umer(R.A) hain .Baaz ashaab al sanan muhdaseen ne Saeed Bin Zaid se rawiyt ki hai ke ma ne Rasool Allah (S.A.W) ko ye farmate suna hai ke Abu Baker (R.A) wa Umer(R.A) wa Usman (R.A) wa Ali(R.A) jannati hain aur ais ke baad baqi hazraat ashra wo mubashra ka zikar farmiya (ain ko bhi jannati irshad kia) Tarmazi ne ais hadees ko Abi Saad se rawiyt kia hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne irshad farmiya ,bare rutabe wale log ais tarah deikhai daite hain jaise ufaq per sitare zameen se (jagmugate) nazer ate hain aur Abu Baker (R.A) wa Umer(R.A) inhi buland murtabe walon ma hain.

Tarmazi Hazrat Anas Bin Malik se rawiyt kerte hain ke jab Hazoor (S.A.W) mahjarin wa insar ki majlees ma tashrif lai jate aur wahan Hazrat Abu Baker (R.A) wa Hazrat Umer (R.A) bhi majood hote tu pori majlees ma koi shaks Hazoor (S.A.W) ke roaye mubarak per nazer jama ker nahi deikh sakta tha siway Hazrat Abu Baker(R.A.) wa Hazart Umer (R.A) ke ye Hazraat roye mubarak ka mushaida kerte aur tabassum farmate Hazoor(S.A.W) bhi ain ke taraf deikhte aur tabasuum farmate.

Tarmazi (r.a) aur Hakim ne Ibn Umer(r.a) ke havale se biyan kia hai ke aik murtaba Rasool Allah (S.A.W) masjid ma dakhil hove aur aap (S.A.W) ke dayin bayin Hazrat Abu Baker (R.A) aur Hazrat Umer (R.A) the ais waqt Hazoor (S.A.W) ne dono ashaab ke hath paker ker farmaya ke hum qayamat ma aisi tarah othain gaye.Tarmazi(r.a) aur Hakim (r.a) na Ibn Umer (R.A) ne ais hadees ko biyan kia hai ke Rasool Allah(S.A.W)ne irshad farmiya ki qiyamat ma sab se pehle ma otho ga ais ke baad Abu Baker(R.A) wa Hazrat Umer (R.A) othain gaye. Abdullah Bin Hanzlha ne ais ke taseeh ki hai aur yaun biyan kia hai ke nabi (S.A.W) ne aik martaba Hazrat Abu Baker(R.A) wa Hazrat Umer(R.A) ko deikh ker farmiya ke ye dono mere kan aur ankh hain .

Bazar wa Hakim ne Abu Arwi al Dosi se rawiyt kia hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) aur Umer Farooq (R.A)Hazrat Risalat Maab (S.A.W)ki khidmat ma hazir hove tu aap ne farmiya ais Khuda ka shukar hai jis ne tum ko mera madadgar banaya (yehi hadees Maraa Ibn Aazib (r.a) se bi marvi hai).Abu Yaali ne Aamar Bin Yasir (r.a) se rawiyt ke hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya ke aik bar Hazrat Jibrael (a.s) mere pas aye tu ma ne kaha aye Jibrael Umer (R.A) ke fazail mujhe se biyan kijiye unho ne kaha ke ma ager omar Nooh tak Umer(R.A) ke fazail biyan karon tab bhi pore nahi ho sakte halanke Umer(R.A) ke fazil Abu Baker ke manaqab wa fazail ka aik juozav hain.

Ahmed Abdul Rehman bin Ghanam se rawiyt kerte hain ke Rasool Allah (S.A.W) ne   Hazrat Abu Baker(R.A) wa Hazrat Umer(R.A) ko mukhatib karke farmiya ke ager tum dono kisi amer per muntafiq al raye ho jate tu ma hargiz tumhari raye se ikhtalaf nai kerta.Tabrani ne baraa bin Aazab aur Ibn Saad ne Ibn Umer(R.A) se naqal kia hai ke ain dono hazraat se kisi ne pocha ke Rasool (S.A.W) ke eihad (masood ) ma kon fatwa diya kerta tha tu unho ne kaha ye khidmat Hazrat Abu Baker(R.A) wa Hazrat Umer(R.A) injam diya kerte the aur ain ke ilwa hum ko aur kisi ka ilm nahi hai.

Abu al Qasim bin Muhammad rawiyt kerte hain Hazrat Abu Baker(R.A) , Hazrat Umer(R.A),Hazrat Usman (R.A) ,Hazrat Ali (R.A) fatwa diya kerte the(log ain charo hazraat ki taraf  rojawo hote the)Tabrani ne berawiyt Ibn Masood biyan kia hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne irshad farmiya ke her nabi ki omat ma kuch khas log hote hain ,meri omat ke khas khas log Hazrat Abu Baker(R.A) wa Hazrat Umer(R.A) hain.Hazrat Ali (R.A) farmate hain ke Hazoor(S.A.W) ne irshad farmiya" Allah Abu Baker per reham farmaye ke unho ne apni baiti ka nikah mujh se kiya aur dar al hijrat yani madina tak pohnchia .Ilwa azain Bilal (r.a) ko azad karwaya .aisi tarah Umer(R.A) per bhi reham farmaye ke wo haq baat kehne per kabhi nahi choakte agarcha kitni hi karwi aur kari baat kehna pare .Khudawand Kareem Usman (R.A) per bhi rehmat farmaye ke wo itne hayadar hain ke farshte bhi ain se hiya kerte hain, Allah Tallah Ali (R.A) per reham farma .Jahan Ali(R.A) hon wahan haq Ali ke sath rakh (Ibn Aasker)

Hazrat Suhail kehte hain ke jab sardar jahan (S.A.W) hajj al widah se wapis tashrif laye tu manber per tashrif farma hove aur hamd wa sana ke baad farmiya logo! Abu Baker (R.A) ne mujhe kabhi ranj nahi pohnchia ais ko yad rakho ,aye logo!ma ain se razi hon aur yaad rakho ma Umer(R.A) ,Usman(R.A), Ali (R.A) ,Talha(R.A) ,Zubair(R.A) ,Saad(R.A) ,Abdul Rehman (R.A) bin Auf aur mahjareen al awalain se bhi khush hon.

Abdullah bin Ahmed,Ibn Abi Hazim se rawiyt kerte hain ke aik shaks Ali (r.a) bin Hussain (r.a) ke pas aya aur daryaft kia ke Hazrat Abu Baker(R.A) wa Hazrat Umer(R.A) ki Hazoor(S.A.W) ki nazer ma kia qader wa manzalt thi(baregah nabvi ma ain ka kiya martaba tha) Ali bin Hussain ne jawab diya ke jitna qiyamat ma ain ka murtaba Hazoor ke sath ho ga (itna hi martaba tha) Ibn Saad Bistaam bin Muslim se biyan kerte hain ke Hazoor(S.A.W) ne Hazrat Abu Baker(R.A) wa Hazrat Umer(R.A) ko mukhatib farma ker irshad kia ke "mere baad tum per koi hukmran na ho ga)"

Ibn Aasker Hazrat Anar Bin Malik se (marfoaan) rawiyt kerte hain ke Hazrat Abu Baker (R.A) aur Hazrat Umer(R.A) se mohbat kerna eman aur ain se baghaz wa adawat rakhna kufar hai.Abdullah Bin Masood farmate hain ke Hazrat Abu Baker (R.A) aur Hazrat Umer(R.A) ki mohbat aur ain dono ki marfaat sunnat ki pervai hai Hazrat Anas(R.A) se marfoan rawiyt hai ke Hazoor(S.A.W) ne irshad farmiya hai ke mujhe umeed hai ke meri omat Hazrat Abu Baker (R.A) aur Hazrat Umer(R.A) se mohbat rakhe gai aur kalma la ilha ill al allah se nahi phire gai.

Wo ahadees jo sirf Hazrat Abu Baker (R.A) ki fazilat aur shan ma nazil hovi hain 
Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ko jannat ke tama darwazon se khushaamdeed kaha jaye ga:-

Bukhari aur Muslim ne Hazrat Abu Huraira (r.a) ke havole se biyan kia hai ke ma ne Rasool Khuda(S.A.W) se suna hai ke aap ne farmiya" jo shaks kis cheez ka jor Khuda ki rah ma kharch kare ga wo jannat key darwazon se ais tarah pukara jaye ga ."aye Khuda ke bande!ais darwaze se dakhil ho jawo ye darwaza acha hai."ais tarah jo shaks namazi hai wo namaz ke darwaze se aur jo mujahid hai wo eihal jehad ke darwaze se aur sahab sadqa,sadqa ke darwaze se,saaim rozay ke darwaze se jis ka naam Riyan hai pukara jaye ga.Hazrat Abu Baker (R.A) ne aarz kia zahe naseeb ais shaks ka jo ain tamam darwzon se pukara phr aarz kia YaRasoolAllah kia aisa shkas bhi ho ga jo ain tamam darwazo se pukara jaye ga.Hazoor (S.A.W) ne farmiya mujhe umeed hai ke aye Abu Baker (R.A) tum hi aise shaks ho gaye!

Abu Dawood aur Hakim Hazrat Abu Huraira ke sand tasdiq ke sath biyan kia hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya ,insanon ma sab se ziyada jis ne mere sath dosti aur maal ke sath tawun kia wo Abu Baker (R.A) hain Allah Tallah ke siwa ager ma kisi ko dost banata tu Abu Baker (R.A) ko dost banata.Wo mere deeni bhai hain.Ais hadees ko mukhtalif rawiyon se Ibn Abas (r.a) ,Ibn Zubair(r.a),Ibn Masood(r.a),Jandab Bin Abdullah(r.a),Bara(r.a),Kaab(r.a) bin Malik ,Jaber bin Abdullah.Anas(r.a),Abi(r.a) waqaad al yaesi,Abu al Mula,Hazrat Ayesha(r.a),Abu Huraira (r.a) aur Ibn Umer (r.a) ne bhi biyan kia hai.

Hazrat Umer (R.A) ka izhar e mauzrat:-

Bukhari (r.a) al Darda (r.a) se rawiyt kerte hain ke wo Rasool Khuda (S.A.W) ki khidmat ma hazir the ke Hazrat Abu Baker (R.A) tashrif laye aur salam ke bad aarz kia ke mere aur Umer bin al Kihtab(r.a) ke mabain kuch chachmak ho gai hai ma ne ais per ain se izhar afsos kia aur mazraat chahi lakin unho ne mauzrat qabool karne se inkar ker diya,aab aap ke pas hazir hova hon ye sun ker Hazoor ne teen bar irshad farmiya ,aye Abu Baker (R.A) Allah Tallah tum ko mauf farmaye! (Hazrat Abu Baker (R.A) ke chale jane ke baad ke baad) Hazrat Umer (R.A) ko ehsas nidmat hova pas wo Hazrat Abu Baker(R.A) ke daulat kadah per tashrif laye gaye.

Lakin wo tashrif nahi rakhte the lehaza wo Rasool Akram(S.A.W) ki khidmat ma hazir hove ainko deikhte hi Rasool Akram(S.A.W) ka chehera mubarak (ka rang) moutghair ho gaya ye surat hal deikh ker Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ko bhi Hazrat Umer (R.A) ke hal per shafqat ayi !Rasool Allah (S.A.W) ko ranjeedah deikh ker Hazrat Umer (R.A) ne ghutno ke bal khare ho ker aarz kia ke aye Allah ke Rasool (S.A.W) ma ain se do gunnah qasoor war hon ye sun ker Hazoor (S.A.W) ne irshad farmiya ke jab Allah Tallah ne mujhe tum per mauboos kia tu tum ne mujhe jhutlia lakin Abu Baker ne meri tasdiq ki aur apni jan o maal se meri madad ki ,kia aaj tu mere aise(mukhlis) dost ko chor rahe ho ! aap ne ye jumla do martaba irshad farmiya ,ais ke baad phr aisi surat kabhi waqiah nahi hovi.

Ibn Aadi ne bhi ais mazmoon ki hadees ko Hazrat Umer(R.A) se biyan kia hai ke lakin ais izafa ke sath ke "tum mujhe mere dost ke bare ma dukh mat pohnchao.Jis waqt Allah Tallah mujhe deen haq ke sath tumhari hidayat ke liye mauboos farma chuka tu tum ne meri takzeeb ki(mujhe jhutliya) lakin Abu Baker(R.A) ne meri tasdeeq ki.Ager Allah Tallah ne ain ko mere sahab se mosaum na farmiya hota tu ma apna bana laita (ain ko khalil kehta) lakin aab bhi wo mere deeni bhai hain.

Ibn Aasker ne maqdam se rawiyt ki hai ke aik dafa Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) aur Hazrat Aqeel Ibn Abi Talib ma kuch badmazgai ho gai . Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ke faheem wa hoshmand the dosre Hazrat Aqeel(r.a) Rasool Allah(S.A.W) ke qarabatdar bhi the lehaza Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ne ain se kuch bhi na kaha aur Rasool Allah(S.A.W) ki khidmat ma tamam majara biyan kia,Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki shikiat sun ker Rasool Allah (S.A.W) hazrin ma khare hove aur farmiya logo! tum mere dost ko mere liye chor do,tumhari haseeiat kia hai aur ain ki haseeiat kia hai(tum ko ais ka kuch andaza hai) bakhuda! tum sab logon ke darwazon per andhera hai lakin Abu Baker Sadiq(R.A) ka darwaza noorani hai.Bakhuda tum ne meri takzeeb ki aur Abu Baker Sadiq(R.A) ne meri tasdeeq ki.Islam ke liye tum ne maal kharch karne ma bukhal se kam liya aur Abu Baker Sadiq(R.A) ne maal kharch kia ,tum ne mujhe badnaam kia lakin Abu Baker Sadiq(R.A) ne meri dildari ki aur aram pohnchia.

Bukhari(r.a) ne Ibn Umer (R.A) se rawiyt ki hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya jo shaks gharoor wa takaboor se apna kapra zameen per latkaye ga.Allah Tallah aise shaks ki taraf qiyamat ke din ma nazer nahi farmaye ga.Ye sun ker Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ne farmiya ke aab jo shaks bhi mere kapre ko ais tarah latka deikhe tu ma aise zubaan daita hon ke wo aise phar dale .Aise per Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya ke tum aisa azraoye gharoor wa takboor nahi kerte ho .Muslim ne Abu Huraira se marvi likha hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne ashaab (r.a) se farmiya tum ma se aaj kis ne roza rakha (Hazrat) Abu Baker Sadiq(R.A) ne farmiya ma ne ,aap ne farmiya ke aaj janaza ma shirkat kis ne ki (Hazrat) Abu Baker Sadiq(R.A) ne farmiya ma ne ,Hazoor ne farmiya aaj maskeen ko khana kis ne khilaia .

(Hazrat) Abu Baker Sadiq(R.A) na kaha ma ne,aap ne irshad farmiya ka aaj mareez ki aiyadat kis ne ki (Hazrat) Abu Baker Sadiq(R.A) ne farmiya ma ne!ye sun ker Hazoor(S.A.W) ne irshad farmiya jis shaks ma itni khobiyan jama hon jayain wo zaroor jannati hai .Ais hadees ko Hazrat Anas(r.a) aur Abdul Rehman bin Abu Baker ki rawiytaon se bhi biyan kia hai ain ki rawiyt ma wo jannati hai ya wo jannat ma dakhil ho gaya ki bajaye ye ilfaz hain."Jannat ais per wajib ho gai".

Bazar(r.a) ne Abdul Rehman bin Abu Baker(R.A) se hadees naqal ki hai ke Rasool Akram(S.A.W) subah ki namaz se farigh ho ker sahaba karaam ki taraf mutwaja hove aur dariyaft farmiya ke aaj tum ma se kon rozadar hai Hazrat Umer(R.A) ne aarz kia YaRasool Allah(S.A.W) mera aaj roza nahi hai ,Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ne farmiya YaRasool Allah(S.A.W) ma ne raat ko roze ki niyat ki thi aur ma aaj roze se hon .Hazoor (S.A.W) ne farmiya aaj tum me se kis ne mareez ki aiyadat ki thi.Hazrat Umer(R.A) ne araz kia ma tu aaj ghar se kahain nahi nikala hon.Hazrat Sadiq(R.A) ne farmiya mujhe mauloom hova tha Abdul Rehman bin Auof bimar hain chaunacha ma masjid ma aate hove ain ki ayadat ker aya hon,phr Hazoor(S.A.W) me farmiya ke tum me se kisi na aaj maskeen ko khana khilaya hai ?Hazrat Umer(R.A) ne jawab diya ke abhi tu hum ne aap ki iqtadah ma namaz perhi hai aur abhi tak kahain nahi gaye(pas khana kis tarah khilate ) Hazrat Sadiq(R.A) ne aarz kia YaRasool Alla(S.A.W) subah jab ma masjid aa raha tha tu Abdul Rehman (r.a) ke hath ma jou ki roti ka aik toukara tha itne ma aik  faqir ne sawal kia .

Ma ne wo tokara ais sahil ko de diya ,ye sun ker Rasool Allah(S.A.W) ne irshad farmiya aye Abu Baker (R.A) tum ko jannat ki basharat ho ! phr kuch kalamat bhi farmaye jin ko sun ker Hazrat Umer(R.A) shadoo masroor hove ,phr Hazrat Umer(R.A) ne iqrar kia ke har naik kam ma Abu Baker(R.A) hi sabqat le jate hain.

Abu Yaali Ibn Masood se rawiyt kerte hain ke ma masjid ma namaz perhane ke baad dawa ma mashghool tha ke Rasool Khuda(S.A.W) tashreef laye sath ma (Hazrat) Abu Baker (R.A) aur Hazrat Umer(R.A) the,aap ne farmiya ke jo mango gaye wo diya jaye ga phr farmiya ke jo shaks chahata hai ke wo quran pak ko tarteel aur omdagi ke sath parhe tu ais ko chahye ke wo Ume Aabaid ke farzand (Ibn Masood) ki kiraat kare ais ke baad ma apne ghar chala aya ke itne ma Hazrat Abu Baker(R.A) tashreef laye aur mujhe mubarak bad di aise ke bad Hazrat Umer(R.A) tashreef laye tu unho ne Hazrat Abu Baker(R.A) ko wapis jate hove paya tu unho ne iqrar kia ke aye Abu Baker (R.A) har khair ke kam ma aap hi sabqat lae jate hain .

Rabia Asalama rawiyt kerte hain ke mujh ma aur Abu Baker (R.A) ma kuch baat barh gai aur unho ne mujhe karye ilfaz keh dale lakin phr wo ais per nidam hove aur mujhe se kaha ke aye Rabiya tum bhi waise hi namunasib ilfaz mujhe keh lo take badla ho jaye .Ma ne kaha ka ma asia nahi karon ga.

Unho ne kaha ke nahi nahi wo ilfaz kehna parain gaye aur ager tum nahi kaho gaye tu Rasool Allah (S.A.W) tum se nagawari ka izhar faramyain gaye.Ma ne kaha aye Abu Baker (R.A) ma hargaiz nahi kahon ga.Ye inkaar sun ker Hazrat Abu Baker (R.A) wapis tashreef laye gaye ,kuch dair baad Bani Aslam ke kuch log mere pas aye aur unho ne kaha Allah Tallah Abu Baker(R.A) per reham farmaye .Rasool Allah(S.A.W) tum se naraz kyo ho gaye ais liye ke unho ne hi aise ilfaz kahe hain.Ma ne kaha ke kia tum Abu Baker(R.A) ki shan se waqif nahi ho yehi Sani Asnain hain (ayat sani asnain inhi ke silsala ma nazil hovi ) wo muslmano ma buzarg aur bare hain.

Tum apni fikar karo ke wo deikh rahe hain ke tum meri himayat ker rahe ho ais se ain ko zaror nagawari ho gai aur jab Rasool (S.A.W) tashreef layain gaye aur Hazrat Abu Baker (R.A) ko ghuse ma deikhain gaye tu Hazoor(S.A.W) bhi ghusa farmayain gaye aur ain dono ke ghusa se Allah Tallah bhi naraz ho ga aur ais tarah Rabiya halak ho jaye ga berhal Hazrat Abu Baker(R.A) rawana ho gaye aur ma bhi ain ke sath hi chal para aur Rasool Khuda(S.A.W) ki khidmat ma hazir ho gaya.

Hazrat Sadiq(R.A) ne tamam majara Rasool Akram (S.A.W) se biyan farmiya tu Ahazrat (S.A.W) ne meri taraf tawajah farmai aur irshad kia ke aye Rabia! tumhare aur Abu Baker ke darmiyan kia faqeena hai .Ma ne aarz kia ke YaRasool Allah (S.A.W) !surat haal ye hai ke unho ne mujhe aise aise ilfaz kahe jo mujhe nagawar guzare aur phr unho ne mujh se kaha ke tum bhi ain hi jaise ilfaz mujh se keh dalo take badla otar jaye lakin ma ne inkar ke diya,ye sun ker Rasool Allah(S.A.W) ne irshad farmiya ke wo kalamt tum ain ko na kehna bulke yau kaho aye Abu Baker Allah Tallah aap ko mauf farmaye.

Kausar per rafiq hone ki basharat:-

Tarmazi Ibn Umer (R.A) se rawiyt kerte hain ke Rasool Allah (S.A.W) ne irsahd farmiya ke Abu Baker (R.A) ghar ma mere sathi wa monas the (ais hadees ki asnad hassan hain) Behqai Huzaifa (r.a) se rawiyt kerte hain ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya ke jannat ma aik parinda ho ga jo bakhti aunat ke baraber ho ga ,Hazrat Abu Baker (R.A) ne daryaft kia YaRasool Allah kia wo charne wala janwar hai ,Hazoor ne irshad farmiya ke wo parinda charne wala janwar hai aur tum ais ka ghosht kaho gaye(Hazrat Anas se bhi aisi tarah ki aik hadees marvi hai).

Abu Yaali ne Abu Huraira (R.A) se rawiyt ki hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya ke ma shab Miraj ma aasmano per gaya tu jabaja apna naam aur apne naam ke baad Abu Baker(R.A) ka nam likha hova deikha (ais hadees ki asnad zaeef hain lakin Ibn Abas (r.a) ,Ibn Umer (r.a) ,Abi Saeed (R.A) aur Abu al Darda(R.A) ki asnad ke sath bhi ayi hai ).

Ibn Hathim (r.a) wa Abu Naeem (r.a) ,Saeed Bin Jabeer (r.a) se rawiyt  kerte hain ke ma ne Rasool Allah (S.A.W) ke samne ya ayatha alnafas al mutman tah(1) ki tilwat ki tu Hazrat Sadiq(R.A) ne farmiya kia khoob ilfaz hain !Hazoor (S.A.W) ne irshad farmiya ke moot ke waqt farshte tum se yehi kahian gaye(aisi tarah khitab karain gaye).Ibn Abi Hathim,Aamir Bin Abdullah Bin Zubair(r.a) se rawiyt kerte hain ke jab ayat walowana katabna ilehim ain aqtalo aanfusakum( ) nazil hovi tu Hazrat Sadiq(R.A) ne aarz kia Ya Rasool Allah ager aap mujhe hukam daite ke ma khud hilaq ker lon tu ma khud ko zaroor halak ker dalta ,Hazoor (S.A.W) ne farmiya tum ne sach kaha.

Abu Al Qasim Baghvi berrawiyt Ibn Abi Malika (r.a) biyan kerte hain ke Rasool Allah (S.A.W) aur aap baaz ashaab aik talaab per tashreef laye tu aap ne farmiya ke har shaks shanawari kerta hova apne dost tak jaye tamam ashaab tairte hove aik dosre ke pas gaye .Sirf Rasool Allah (S.A.W) aur Hazrat Sadiq(R.A) reh gaye tu Rasool Allah (S.A.W) shanawari kerte hove Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ke pas gaye aur ain ki garden ma hath dal kar farmiya (gale laga ker farmiya) ager ma apni zindagi bhar ke liye kisi ko dost banata tu Abu Baker (R.A) ko dost banata lakin ye mere sahib wo sathi hain .(marsel wa gharib)

Ibn Aasker ne Sulaiman Bin Yasar ki rawiyt se biyan kia hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya pasandeedah khaslatain teen sou sath(360) hain jab Allah Tallah bande ke liye irada khair farmata hai tu ais ma ain ma se koi khaslaat paida farma daita hai jis ki badaulat ais ko jannat mil jati jati hai .Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ne aarz kia YaRasool Allah (S.A.W) ain ma se koi khaslat mujh ma bhi majood hai?Rasool Khuda (S.A.W) ne farmiya ke tum ma wo tamam (pasandeedah)khasaal majood hain.Ibn Aasker (r.a) ne ais hadees ko dosre ilfaz ma ais tarah biyan kia hai ke"Rasool Khuda (S.A.W) ne irshad farmiya ke achi khaslatain teen sou sat(360)h hain Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ne aarz kia YaRasool Allah ain ma se mere andar bhi koi majood hai?

Ibn Aasker ne Yaqoob Ansari(r.a) ke walid ke havole se biyan kia hai ke Rasool Allah (S.A.W) ki majlees (mubarak) ma log hajoom aur ziyadti ke bais aik dosre se ais qader qareeb ho ker bhaithte the ke aik jaal ki tarah bun jate the aur (dour) se faseel sheher ki tarah nazer aate the(aik dosre ke itsaal ma khala nahi hota tha)siwaye Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki neeshist gah ke wo itni khushada hoti thi aur koi shaks waha ja ker bhaitne ki juraat nahi ker sakta tha jab Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A)tashreef late tu apni jagah per bhaith jate ais waqt Hazoor(S.A.W) rooye mubarak aap ki taraf karke ghuftagoo farmate aur tamam hazrin ain irshadaat ko sunte !

Ibn Aasker (r.a) ne Hazrat Anas (R.A) se rawiyt ki hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya hai ke meri omat per wajib hai ke wo Abu Baker (R.A) ka shukar ada kare aur ain se mohbat kerti rahe. Sahal Bin Saad (r.a) ne bhi ais tarah aik hadees biyan ki hai .Hazrat Ayesha(R.A) se Ibn Aasker (r.a) ne farfouan biyan kia hai ke tamam logo se muhasaba kia jaye ga siwaye (Hazrat)Abu Baker (R.A) ke.

1-Aye nafas mutmana apne Rab ki taraf barza ho ker lot ja
2-Ager hum ain per farz kar daite ko wo apne nafoos ko halak kar dalain

Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ke shan ma sahaba karam aur salf salahin ke irshadat 
Irshadat sahab akaram (rizwan Allah ilehem ajmain):-

Jaber(R.A) rawiyt kerte hain ke Hazrat Umer Farooq(R.A) irashad ka hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) hamare sardar(saeed) hain (bukhari) .Imam Behaqai ne apni taalif shab al eman ma Hazart Umer (R.A) ka ye qwol naqal kia hai ke ihliyan roye zameen aur Hazrat Abu Baker (R.A) ke eman ka agar wazun kia jaye tu (Hazrat) Abu Baker (R.A) ke eman ka pala bhari ho ga.Ibn Abi Khashima aur Abdullah Bin Ahmed ne Hazrat Umer (R.A) ka ye qwol naqal kya hai hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) har kam ma sabqat le jate the .

(zawaid al zahad)Ibn Masdad ne apni masnad ma likha hai ke Hazrat Umer (R.A) ne farmiya kash ma Hazrat Abu Baker (R.A) ke seene ka aik baal hota. Aap ka ye qwol bhi Ibn Aasker aur Ibn Abi al Duniya ne likha hai ke aap ne farmiya ke meri khawish hai ke jaisi jannat Hazrat Abu Baker (R.A) ki hai waise hi jannat mujhe mil jaye ,aap ne ye bhi farmiya Hazrat Abu Baker (R.A) ke badan ki khushboo mushk se bhi achi hai .

(Abu Naeem)Ibn Aasker ne Hazrat Ali (R.A) se biyan kia hai ke ma aik martaba Hazrat Abu Baker (R.A) ke pas se guzra wo sirf aik kapra oorahe bhaithe the ain ke ye halat deikh ker baysakhta meri zuban se nikala ke koi sahifa wala Allah ko itna mehboob nahi jitna ye aik kapra wala ais ko mehboob hai.

Ibn Aasker (r.a) ne Abdul Rehman (r.a) bin Abu Baker se biyan kia hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya ke Umer (R.A) bin Al Khitab ne mujh se (kai bar) kaha hai ke Abu Baker (R.A) mujh se kare khair ma sabqat le jate hain .Tabarani ne ausat ma Hazrat Ali (R.A) ki zubani likha hai ke ais zaat ki qasam jis ke qabza ma meri jan hai ke ma ne jis kaam ma bhi sabqat ke irada kia ais ma Hazrat Abu Baker (R.A) hi sabqat laye gaye. Tabarni ne aust hi ma ye dosri rawiyt hajifa (Ibn Wahab(r.a) Ibn Abdullah (r.a)) se biyan ki hai ke unho ne kaha ke Hazrat Ali (R.A) ne farmiya Rasool Allah(S.A.W) ke baad tamam logon ma Abu Baker (R.A) wa Umer(R.A) sab se behter hain.Kisi momin ke dil ma meri muhbat aur Abu Baker (R.A) wa Umer(R.A) ka baghaz kabhi yakja nahi ho sakte.

Tabrani ne Kabir (maujam al kabeer) ma Abi Umro(r.a) ka ye qwol likha hai ke Rasool Allah(S.A.W) ke baad Quraish ma ye teen afrad yani Hazrat Abu Baker (R.A) -Hazrat Abu Obaida bin al Jarah aur Hazrat Usman ibn Aafan (r.a) aise hain jo surat ,ikhlaq husna ma bay adil wa baynazir aur sakht mazboot hain ,na unho ne logon se kabhi jhota kalam kia (jhoot bola) aur na logon ne ain ko jhota kaha)

Ibn Saad ne Ibraheem Nakhaha (r.a) ki zubani likha hai ke logon ma Hazrat Abu Baker (R.A) ka naam ain ke rehamdili ,mehrbani aur hilam ke baais "awah" mashoor ho gaya tha.Ibn Aasker (r.a) Rabeeh bin Anas (r.a) ke havale se likha hai ke kitab e awwal ma marquom hai ke  Abu Baker (R.A) ki misal qatrah barah se dai gai hai ke jahan girta hai nafa daita hai. .Ibn Aasker (r.a) Rabeeh bin Anas (r.a) se biyan kerte hain ke hum ne aunbiyah sabqeen ke ashab per nazer dali hai hum ko koi aisa nabi nazer nahi aya jis ko Hazrat Abu Baker (R.A) jaisa dost mila ho ,Zahri se rawiyt hai ke  Abu Baker (R.A) ke fazail ma se ye bhi hai ke aap ne kabhi bhi Alllah Tallah ki zaat ke bare ma shak nahi kia.
Zubair bin Baker se rawiyt hai ke ma ne baaz sahaiban ilm wa fazal se suna hai ke ashaab e Rasool (S.A.W) ke khatib Hazrat Abu Baker (R.A) aur Hazrat Ali(R.A) Ibn Abi Talib(r.a) the.Ibn Haseen(.a) kehte hain ke aunbiyah marsallen ke baad zariat adam (a.s) ma koi shaks Hazrat Abu Baker (R.A) se afzal paida nahi hova balke Rasool Akram(S.A.W) ki wafat ke baad fitna wa irtadaad ke difah ma aap ne aik nabi jaisa kardar ada kia hai.

Islaaf Karaam (R.A) ke aqwaal:-

Deenwari(r.a) ne apni al Majalasta ma likha hai aur Ibn Aasker (r.a) ne Shaabi se rawiyt ki hai ke Allah Tabarak Tallah ne Hazrat Abu Baker(r.a) ko aisi char khaslaton se makhtas famiya jin se kisi ko makhsoos nahi kia .Awal ye ke aap ka naam Sadiq rakha aur kisi dosre ka naam Sadiq nahi!dosre aap Rasool Allah (S.A.W) ke ghar ma sathi hain.Tasree hijrat ma aap ke rafiq the.Chothi ye ke Rasool Allah (S.A.W) ne aap ko hukam diya ke aap muslamano ko namaz perhain aur dosre muslman aap ke muqtadi bane .

Ibn Dawood (r.a) ne kitab al musahif ma Abu Jaffer ki zubani likha hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) agarcha Hazrat Jibrael (A.S) ko nahi deikhte the lakin ain ki aur Rasool Akram (S.A.W) ki aapis ki ghuftago suna karte the.Hakim (r.a) ne Ibn Musaib ki zubani likha hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) Rasool Allah (S.A.W) ke wazir khas the.Chaunacha Hazoor (S.A.W) aap se tamam amoor ma meshwara farmiya kerte the,wo islam ma sani ,ghar ma sani yaum e Bader ma, sayiiban ma sani aur mudafan ma bhi Hazoor ke sath sani hain aur Rasool Akram (S.A.W) ne aap per kisi ko fazilat nahi di.

1-Yani Abu Baker islam lane walon ma dosre shaks hain ais tarah aap Ghar e Saur ma Hazoor (S.A.W) ke sath the.Yaum Bader ma Hazoor (S.A.W) ke liye jo saaiban banaya gaya tha ais ma Hazoor (S.A.W) ke sath majood the aur aap ko ye sharf hai ke wafat ke baad Hazoor (S.A.W) ke pehlo ma dafan hove.

Aap ki khilafat ke silsala ma ahadees:.

Taramazi (r.a) aur Hakim (r.a) ne Huzaifa (R.A) se rawiyt ki hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne irshad farmiya mere baad tum Abu Baker wa Umer (R.A) ke parvi karna ,Tabarni ne berrawiyt Abu al Darda aur Hakim (r.a) ne Ibn Masood (r.a) se rawiyt ki hai aur Al -Qasim Baghvi ne sand hussan ke sath Abdullah Ibn Umer(r.a) se biyan kia hai ke ma ne Rasool Allah (S.A.W) se suna hai ke aap ne farmiya mere baad barah khalifa hon gaye aur Abu Baker bohat thori mudat khilafat per faiz rahain gaye ke jab Hazoor (S.A.W) ne zamana wisal se qarib khutaba diya tha tu ais ma farmiya tha ke bande ko Allah ne ikhtiar diya hai (takhatum hadees ) 

Aur akhir ma farmiya tha ke koi darwaza baqi nahi rahe ga.Siwaye baap Abu Baker ke (baqi sab band ho jayain gaye)aik rawiyt ma ye ilfaz ais tarah hain ke koi daricha siwaye Abu Baker ke daricha ke band hone se nahi bache ga.Ais hadees per ulema ka itefaq hai ke ais ma Hazrat Abu Baker (R.A) ki khilafat ka ishara hai ke aap dariche hi se masjid ma namaz perhane ke liye tashreef laiya kerte the.Hazrat Anas (R.A) se jo marvi hadees marvi hai ais ke ilfaz ye hain "siwaye Abu Baker (R.A) ke darwaze ke masjid ke tamam darwaze band ker do."(Ibn Aadi).

Tarmazi (r.a) ne Hazrat Ayesha (R.A) se jo hadees biyan ki hai aur Ibn Aabas se jo hadees zawaid al masnad ma aur Tabrani ne Mawaia (R.A) Ibn Sufian se aur Al Bazar ne Hazrat Anas (R.A) se mazrvi ais hadees ko sahaih kaha hai.Bukhari (r.a) aur Muslim(r.a) ne Jabeer Bin Mautam se jo hadees rawiyt ki hai wo ye hai."Baregah Nabvi ma aik khatoon ayain Hazoor (S.A.W) ne ain se irshad farmiya phr ana ,ain khatoon ne kaha ke ager ma phr ayi aap ko nahi paya(ager aap rehlaat farma gaye tab) tu Hazoor (S.A.W) ne irshad farmiya ke ager tum mujhe na pawo tu Abu Baker (R.A) ke pas ana.(1)Hakim ne Sihat Ibn Anas(R.A) se biyan kia hai ke mujhe Bani Mastaluq ne Hazoor(S.A.W) ki khidmat ma diryaft karne ke liye bhaija hai ke aap ke baad hum sadqaat kis ke pas bhaijain ,Hazoor(S.A.W) ne irshad farmiya Abu Baker (R.A) ke pas bhaijna .

Ibn Aasker (r.a) ne Hazrat Ibn Aabas ke havala se likha hai ke aik khatoon Hazoor (S.A.W) ke pas ayain jo aap se kuch dariyaft karna chati thain,aap ne ain se farmiya ke phr aana ,unho ne kaha ager ma awon aur aap ko na pawon aur Hazoor(S.A.W) ka wisal ho chuka ho,tab aap ne farmiya ke ager tum awo aur mujhe na pawo tu Abu Baker (R.A) ke pas ana .Ke mere baad khalifa wohi hon gaye .Muslim Hazrat Ayesha (R.A) se rawiyt kerte hain ke Hazoor (S.A.W) ne mujh se apni ilalat ke doran farmiya ke tum apni walid aur bhai ko bala lo take ma kuch unhe likh ker de don kyunke mujhe khof hai mere bad koi khawasgar khilafat khara ho jaye ,phr farmiya rehne do (mat bilao)kyunke Abu Baker ko khalifa banane ka hum ko haq hai aur Allah Tallah aur momanain Abu Baker (R.A) ke siwa kisi aur ko khalifa nahi mane gaye.

Ahmed aur dosre muhdaseen ne aisi hadees ko ain ilfaz ma Hazrat Ayesha se rawiyt kia hai ,unho ne farmiya ke mujh se Rasool (S.A.W) ne apne maarz al moot ma irshad farmiya ke Abdul Rehman Ibn Abi Baker (R.A) ko bala lo take ma Abu Baker (R.A) ke liye aik wasiat (dastawaiz) likh don take mere baad ain se koi ikhtalaf na kare phr farmiya acha rehne do Khuda na kare Abu Baker ke mamle ma momanain ikhtalaf karain .

Muslim Hazrat Ayesha(R.A) se rawiyt kerte hain ,logon ne aap se daryaft kia ke Rasool Allah (S.A.W) ager kisi ko halifa banate tu kis ko banate aap ne farmiya ke(Hazrat)Abu Baker(R.A) ko ain se phr sawal kia ke ain ke baad aap ne farmiya Umer Farooq (R.A) ko ain se daryaft kia ke ain ke baad tu Hazrat Ayesha Sadiqa (R.A) ne farmiya ke Abu Ubaida Bin Al Jarah ko.

Buhkari(r.a) aur Muslim(r.a) Hazrat Abu Musa Ashara se rawiyt kerte hain ke jab Hazrat Rasool Khuda (S.A.W) ke marz ma shidat hovi tu aap ne farmiya ke logo !Abu Baker (R.A) ke pas jawo take wo tum logon ko namaz perha sakain (imamat karain) ye sun ker Hazrat Ayesha (R.A) ne aarz kia ke YaRasool Allah !mere walid bohat rafiq al qalab hain jis waqt wo masale per aap ki jagah khare hon gaye tu wo namaz nahi perha sakain gaye. Hazoor (S.A.W) ne irshad farmiya ke tum Abu Baker se kaho wo namaz perhain,Hazrat Ayesha (R.A) ne phr wohi kaha ,Hazoor(S.A.W) ne ain se phr farmiya ke jawo aur Abu Baker (R.A) se kaho ke wo logon ko namaz perhain aur farmiya ye auratain tu Hazrat Yousaf (A.S) ke zamane ki aurtain hain ,ais ke baad Hazrat Sadiq (R.A) Rasool Akram (S.A.W) ke pas aye (ainko bauliya gaya) aur unho ne Rasool Akram (S.A.W) ki hiyat tayyaba hi ma namaz perhai .(ye hadees Hazrat Ayesha (R.A) se bhi marvi hai aur Ibn Masood (R.A) ,Ibn Umer (R.A) ,Abdullah(R.A) Bin Zaama ,Ibn Saeed(r.a) aur Ali(R.A) Bin Al Khittab aur Hazrat Hafsa (R.A) ne ais ko alag alag rawiyt kia hai).

Baaz ma Hazrat Ayesha (R.A) se ais tarah marvi khai ke ma Rasool Allah (S.A.W) se ais liye israr ker rahi thi (ke wo namaz perhane ka hukam walid ko na dain) ke mere dil ma ye khatra guzar raha tha ke log Rasool Allah (S.A.W) ke baad aise shaks se mohabat nahi karain gaye jo aap ke qain muqam ho ga aur jab koi ap ki jagah khara ho ga tu log ais baat ko naik nahi khiyal karain gaye (ais se faal badlain gaye) ais liye ma israr ker rahi thi ke bajaye Abu Baker Sadiq(R.A) ke Rasool Allah (S.A.W) kisi aur shaks ko ais baat per muqarer ker dain.

Ibn Zaama ki hadees ma hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne logon ko namaz ka hukam diya (ke Abu Baker(r.a) se kaho ,wo namaz perhain) tu ais waqt Hazrat Abu Baker(R.A) majood na the.Chaunacha Hazrat Umer(R.A) agey barhe taake wo namaz perhain mager Hazoor (S.A.W) ne farmiya nahi !nahi !nahi!!! Abu Baker (R.A) ke siwa logon ko aur koi namaz nahi perhae ga.Ibn Umer (R.A) se marvi hadees ma hai ke jab Hazrat Umer(R.A) ne takbeer tehreema kahi tu Rasool Allah (S.A.W) ne sir mubarak nagawari ke sath otha ker farmiya ,Ibn Abu Qahafa (Hazrat Abu Baker (R.A) kahan hai?) ais hadees ke bare ma ulema ne kaha hai ke ye hadees ais baat ki wazaha dalel hai ke Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) afzal ala sahaba (ali al eilaan) hain aur khilafaat ke sab se ziyada haqdar hain aur imamat ma sab se awola hain.

Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki khilafat ki silsala ma aima sa(r.a)ke irshadat    

Imam Ashara kehte hain ye baat balqul wazah hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A)ko namaz perhane ka hukam diya jab ke tamam mahjarin wa Insar majood the,naiz ye bhi farmiya ke quom ki imamat wohi shaks kare ga jo kitab Allah ka sab se ziyada aalim ho ,pas ye hadees daleel hai ais aamer ki ke Rasool Allah (S.A.W) ne Abu Baker Sadiq(R.A) hi ko namaz perhane ka hukam diya ke tamam mahjarin wa insar ma sab se ziyada ilm al quran aap hi rakhte the.

Sahaba Karam (R.A) be bajaye khud ais se istadalal kia tha ke Hazrat Abu Baker(R.A) hi mustahaq khilafat hain aur ain hazraat ma Hazrat Umer (R.A) aur Hazrat Ali (R.A) bhi shamil hain jin ka qwol ma baiyat khilafat ke biyan ma paish karon ga .Ibn Aasker (r.a) ne Hazrat Ali (R.A) se rawiyt ki hai ke Rasool Allah (S.A.W) ne jab Hazrat Abu Baker (R.A) ko hukam diya ke wo logon ko namaz perhain tu ma bhi sabat hosh wa havaas wahan majood tha.Pas hum apne duniyavi mamlat ma bhi ain ki qiyadat per razi ho gaye .Jis tarah Rasool Akram (S.A.W) ne hamare deen ke bare ma ain ki imamat per razamandi ka izhar farmiya tha.Ulema ka ais per itefaq hai ke Rasool Allah (S.A.W) ki hayat tayyaba hi ma Hazrat Abu Baker (R.A) imamat ki silhaiyat wa ihleiyat ma mauroof wa mashoor the.

Ahmed (r.a) Abu Dawood(wagaira) ne Sahal Ibn Saad ke havale se likha hai ke Bani Omroo aur nabi Auof ma jhagara ho gaya ais ki itelaha Rasool e Khuda (S.A.W) ko hovi .Itelah milne per aap zuhur ke baad wahan tashreef le gaye taake ain ma sulah saafai kera dain aur Hazrat Bilal (R.A) se farmiya aye Bilal (R.A) ager namaz ke waqt tak ma wapis na aa sakon tu Abu Baker(R.A) se kehna ke wo logon ko namaz perha dain chaunaha namaz e asar ka waqat ho gaya .Hazrat Bilal (R.A) ne azan di aur hasab e irshad nabvi Hazrat Abu Baker(R.A) ne namaz perhai.

Abu Baker Shafi(r.a)ne apni taalif al ghilalniyaat ma aur Ibn Aasker(r.a) ne Hazrat Hafsa(r.a) se biyan kia hai ke unho ne Rasool Allah (S.A.W) se aarz kia ke aap ne apni ilaalat ke zamane ma(hazrat)Abu Baker(R.A) ko imam banaya tha.Aap ne jawab ma farmiya nahi ma ne nahi banaya tha balke Allah Tallah ne banaya tha(yani bahukum Elahi ain ko imama banaya gaya tha) Dar Qatni ne ifrad ma aur Khatib wa Ibn Aasker ne Hazrat Ali(R.A) se biyan kia hai ke unho ne farmiya Rasool Allah (S.A.W) ne irshad farmiya ke ma ne Allah Tallah ki bargah ma teen bar tumhare bare ma sawal kia ke tum ko imam banao mager wahan se inkar hova aur Abu Baker(R.A) hi ko imamat ko hukam hova.

Ibn Saad ne(hazrat) Hassan (R.A) se rawiyt ki hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) ne Rasool Allah (S.A.W) ki khidmat ma aarz kia YaRasool Allah! ma ne khawab ma deikha ka me bohat se logon ki gandagi per se guzar raha hon,Rasool Allah (S.A.W) ne irshad farmiya ke tum logon ke liye aik rasta muqarar karo gaye Hazrat Abu Baker(R.A) ne aarz kia ke ma ne apne seene per dou nishan bhi deikhe hain.Rasool Allah (S.A.W) ne farmiya ke wo dou saal hain(jo tumhari muadat khilaafat ho gai).

Ibn Aasker ne Abi Bakara Bin Aabas (R.A) se rawiyt ki hai ke unho ne kaha ke ma aik din (Hazrat Umer (R.A) ke pas gaya ma ne deikha kuch log khana kaha rahe hain .Hazrat Umer (R.A) ne ais shaks se jo ain ke pechey bhaita hove khana kaha raha tha mukhatib ho ker kaha ke kia tum ne qadeem kutab (samavi) ma Rasool Allah (S.A.W) ke khalifa ke bare ma kuch perha rahe hai?ais ne jawab diya ke tamam aunbiyae sabaqain ki kitabon ma likha hai ke Nabi Akhir al Zama(S.A.W) ka khalifa ain ka Sadiq(R.A) dost ho ga.

Ibn Aasker (r.a) ne Muhammad Bin Zubair(r.a) ke havale se biyan kia hai ke mujhe Umer Bin al Aziz(r.a) ne imam Hassan Basri ke pas kuch batain dariyaft karne ke liye bhaija. Jab ma ain ki khidmat ma pohncha tu ma ne aarz kia ke logo ma Hazrat Abu Baker (R.A) ki khilafat ke silsala ma ikhtalaf paida ho gaya(log mukhtalif alara hain).Aap ais silsala ma shafi jawab dijaiye aur bataye ke kia Rasool Allah (S.A.W) ne ain ko khalifa banaya tha (namzad farmiya tha) ye sun ker Hazrat Hassan Basri(r.a) seeidhe ho ker bhait gaye aur farmiya kia ain ko bhi ais ma shak hai ?ais Zaat ki qasam jis ke saiwaye koi maubod nahi hai,aisi ne ain ko khalifa banaya tha aur Allah ain ko khalifa kyo na banata ke wohi sab se zayda aalim ,sab se ziyada mutaqi aur Khuda taras the,log unhe khalifa na bhi banate tu wo marte dum tak  aisi tarah zindagi baser kerte.

Ibn Aadi ne Abi Bakrah Bin Aabas ke havale se biyan kia hai ke mujhse Haroon al Rashid ne kaha ke logon Abu Baker ko kis tarah kahlifa mauntakhib kia?(ais ki wazahat kijayae) ma ne kaha aye um aul momanain !ain ki khilafat per Allah Tallah ne sakoot farmiya(ais ke rad ma koi hukam nahi aya).Rasool Allah (S.A.W) sakaat rahe aur tamam log bhi khamosh rahe ,ye sun ker Haroon Al Rashid ne kaha ke tafseel se biyan kijaye taake mera khiljan jata rahe.Ma ne kaha ke aye um ul momanain !Rasool Allah (S.A.W) ke marz ke zamana aath(8) din hai pas ais zamana ilalat ma (hazrat)Bilal (R.A) hazir khidmat hove aur aarz kia YaRasool Allah logon ko namaz kon perhae,aap ne farmiya Abu Baker se kaho ke namaz perhain chaunacha Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) aath(8) roz tak namaz perhate rahe ,ain iyaam ma wahi Elahi baraber nazil hoti rahi chaunacha Khudawand Tallah ke sakoot ke baais Rasool Allah (S.A.W) ne sakoot farmiya aur Hazoor ke sakoot ke baais tamam log khamosh rahe ,Haroon al Rashid ko ye wazahat pasand ayi aur asi ne kaha ke Allah Tallah tum ko ajer atta farmaye.

Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ki khilafat per ayaat qurani:.

Ulema Karam ki aik jamat ne Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ki khilafat ka istadlal ais ayat se kia hai:.

(Tarjuma aye eman walo!jo shaks tum ma se apne deen se phr jaye pas qareeb hai ke Allah aik aisi qoamm , ko (tum per) laye ga ke Allah ain se mohbat kare ga aur wo Allah se mohbat karain gaye).

Ulmaey karam ne ais ki tafseer ma kaha hai ke qoam se murad Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) aur ain ke ashab hi the ke jab kuch martad ho gaye tu Hazrat Abu Baker (R.A) aur ain ke ashab hi the ke jab kuch log martad ho gaye tu Hazrat Abu Baker(R.A) aur ain ke ashabhi ne ain per per jehad kia aur phr ain ko muslaman banaya.Younas Bin Bakeer ne qatadah(R.A) se rawiyt ki hai ke jab Rasool Akram (S.A.W) ka wisal hova tu bohat se Arab martad ho gaye tu Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ne ain se qataal kia ,ais zamane me hum log aapis ma kaha kerte the ke fasoaf yati Allah�Ta yahabonah,

Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) aur ain ke ashaab hi ki shan ma nazil hovi hai.Ibn Abi Hathim ne Jawir(r.a) ki zubani likha hai ke Allah Tallah ke ais irshad ma qul limaukhalifeen  se murad Bano Halifa hain.Ibn Aabi Hathim aur Ibn Qaneeba kehte hain ke ayat mandarja bala Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki khilafat per hujat aur wazaah daleel hai kyunke aap hi ne murtadeen ke qataal ki taraf dawwat di hai.

Abu Aabas Bin Sharieeh se suna hai ke aap kehte the ,Hazrat Abu Baker (R.A) ki khilafat quran majeed ki mazokara bala ayat se sabit hai kyunke tamam ulema ka ais per itefaq hai ke ais ayat ke nazool ke baad ain logo se jinhon ne zakat ada karna se inkaar kar diya tha aur murtad ho gaye the sirf Hazrat Abu Baker (R.A) ne logon ko ain se qataal ki dawwat di aur ain se qataal kia pas ye ayat aap ki khilfaat per dalalaat kerti hai aur logon per aap ki itaat ko farz kerti hai.Allah Tallah ne wazah ilfaz ma farma diya hai ke jo koi ais ko nahi tasleem kare ga wo dard naak azaab ma mubtala ho ga.Ibn Kasir aur baz mufasarin ne ais ayat ki tafseer jang Faras wa Rome se ki hai aur ais ka pore tour per Hazrat Abu Baker (R.A) hi per intabaq hota hai ke awwal aap hi ne ain per lashker kashi ki thi ais jang ka kahatma zaroor Hazrat Umer aur Hazrat Usaman(R.A) ke hathon hova aur ye dono hazraat bhi  Hazrat Abu Baker (R.A) hi ke farah the.

Allah Tallah ki irshad wadah Allah amano amankum waamilo saalihat yasatkhalfnahum fi al aarz( ) ki tafseer ma Ibn Kasir ne likha hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) ki khilafat per pore tour per ye ayat mantabiq hoti hai.Ibn Abi Hathim ne apni tafseer ma Abdul Rehman (r.a) ke havala se likha hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) aur Hazrat Umer (R.A) ki khilafat ais ayat se sabit hai.Khatib(r.a) ne Abu Baker Bin Ayash ka ye qoal naqal kia hai ke Abu Baker (R.A) ka khalifa Rasool Allah (S.A.W) hona quran pak se sabit hai ,Allah Tallah ka irshad hai tarjuma: "Allah Tallah jin ko sadiq farmae wo kabhi kazib nahi ho sakte."aur sahaba karam(r.a) ne (jin ko quran se sadqoon farmiya hamesha Hazrat Abu Baker (R.A) ko khalif rasool keh ker mukhatib farmiya hai .Ibn Kaseer kehte hain ke ye istadlaal bohat qwovi aur ehsan hai.

Aap ki khilafat per sahaba karam ka ijma:-

Behaiqi ne bahavala Zafarani likha hai ke unho ne kaha ma ne imam Shafi se suna hai ke aap farmate the. Hazrat Abu Baker ki khilafat per ijma umat hova hai aur wo ais tarah ke Rasool Allah (S.A.W) ki wafat shareef per jab logon ka iztarab bohat barh gaya aur wo bohat perashan hove tu ain ki tamam roye zameen per Hazrat Abu Baker (R.A) se behter aur koi shaks nahi mauloom hova pas sab logon ne aap ke hath per bait kar li(apna tamam amoor aap ke sapord ker diye ).Asad al sana ne fazail ma Mauwia Bin Qartah ke havole se biyan kia hai ke sahaba karam (r.a) ne Hazrat Abu Baker (R.A) ki khilafat ma kabhi shak nahi kia aur wo aap ko hamesha khalifa Rasool Allah hi kehte rahe ilwa azeen sahaba karam ka ijma kabhi bhi khata aur zala per nahi ho sakta tha.

Hakim ne Ibn Masood (r.a) se rawiyt ki hai ke aam muslamno ne jis chez ko acha samjha wo Allah ke nazdeek bhi achi hai aur jis chez ko aamat al muslamin ne bara jana wo Allah ke nazdeek bhi bari hai aur chaunke tamam sahba ne Hazrat Abu Baker (R.A) ki khilafat ko ehsan aur pasandeedah samjaha hai pas wo Allah Tallah ke nazdeek bhi ehsan hai.
Hakim ne Mustadrik aur Zahabi ne apne sahaih ma Maratal taeeb ke havola se likha hai ke Abu Sufiyan Ibn Harab aik din Hazrat Ali (R.A) ke pas aye aur kaha ke logon ko kia ho gaya ke unho ne Quraish ke aik mamoli admi se bait ker li(yani Hazrat Abu Baker (R.A) se )ager aap chate tu aap ko bohat aasani se ye khilafat hasil ho jati ,tu Hazrat Ali (R.A) ne farmiya aye Abu Sufiyan ,tum islam aur muslmano dono ke dushman ho ,mujhe tu Abu Baker(R.A) li khilafat ma koi kharabi nazer nahi ati kyunke wo har tarah ais ke eihal hain.

1- Ais hadees se bhi Hazrat Abu Baker (R.A) ki khilafat ka awwal hona sabit hai.
2-Tum ma jo lig eman laye hain aur jinhon ne naik aamal kiye hain Allah ne ain se wadah farmiya hai ke wo ain ko zaroor aarz per khalifa banaye gay.

Hazrat Abu Baker Sadiq (R.A) ki bait khilafat

Tafseel Waqiah bait Hazrat Abu Baker (R.A):-Imam Bukhari (r.a) aur muslim(r.a) ne Hazrat Umer(r.a) Bin al Khittab se rawiyt ki hai ke apne eihad khilafat ma hajj se wapsi per aap ne logon se khittab kia ke mujhe mauloom hova hai ke tum ma se falah shaks kehta hai ke Umer(R.A) ke marne ke baad ma falah shaks se bait kar lon ga.Khaberdar koi shaks aisa na kare ke Hazrat Abu Baker (R.A) ke bait chand aadmion ne awwalan bahgair soche samjhe ker li thi aur ain se bait awwalan aisi tarah hovi thi mager ais ma shak nahi ke ais tarah Allah Tallah ne logon ko khilafat ke silsala ma (hone wale) fitna wa fisad se bacha liya tha lakin aaj tu ma Abu Baker (R.A) jaisa koi admi majood nahi ke log ais ko apna hakim bana lain.

Abu Baker (R.A) Rasool Allah (S.A.W) ke bad hum ma se behter the,asal waqiah yaun hai ke Rasool Allah(S.A.W) ke wisal per Hazrat Ali(R.A) Zubair(r.a)aur ain ke hum khiyal log Hazrat Fatima(R.A) ke ghar ma jama hove idhar Saqeefah Bano Saadah ma Insar ikhathe hove,mahjarin Hazrat Abu Baker (R.A) ke pas aye ye deikh ker ma ne Hazrat Abu Baker (R.A) se kaha ke mere sath hamare insar bhaiyon ke pas tashreef laye chale ,pas hum odhar rawana ho gaye raste ma hum ko dou salah afrad mile aur qoam ko jo masala darpaish tha ais per guftagoo hone lagi phr unhon hum se kaha ke aye mahajarin kahan ka irada hai? 

Ma ne kaha ke hum apne insar bhaiyon ke pas ja rahe hain,unho ne kaha ke aap log ain ke pas na jayain aur aap apna mamla khud niptalain(khud hi tai ker lain) mahjarin hi ma ais masala khilafat ko tai ker lain)ye sun ker ma ne kaha ke Khuda ki qasam hum ain ke pas zaroor jayain gaye.Ye keh ker hum rawana hove jab hum wahan(Saqeefaf Bano Saadah)pohnche tu hum ne deikha ke wahan sab log jama hain aur ain ke darmiyan aik shaks chader owrahe bhaitha hai,ma ne kaha ye kon sahib hain.Logon ne kaha Saad Bin Aabadah(r.a) hain,ma ne kaha ain ko kia ho gaya ke ais tarah bhaithe hain.Logon ne kaha   ke dard ma mubatala hain pas hum bhi ais majma ma ja ker bhaith gaye,Aab ain ma se aik murqarer otha aur Khuda Wand Tallah ki hamd wa sana ke bad ais ne kaha ke hum insar Allah hain aur hum islam ka lashker hain,aur aye garho mahjarin (tum) chand nafoos ho,ais ke bawajood tumhara irada hai ke tum hamrai jarain kaat do aur hume naikal bahir karo aur khilafat se hamara kuch wasta hi na rakho ,jab wo taqreer karke khamosh hova tu ma ne irada kia ke ma kuch taqreer karon taqreer ka mazmoon mere zehan ma tha chaunacha

Mai ne Abu Baker(R.A) se taqeer karne ki ijazat chayi kyunke wo mujh se ziyada narmi se guftagoo karne wale aur hum ma se ziyada haleem aur sab se ziyada sahab waqar the lakin unho ne mujhe taqreer karne se rok diya aur ma ainki narazgi aur waqar ilmi ki baais taqreer karne per masar nahi hova.Khuda ki qasam ma ne jo kuch apne zehan ma taqreer ke iham nuktae soche the wo tamam ke tamam Hazrat Abu Baker (R.A) ne fi al badiyah tor per keh diye baulke ais se barh ker taqreer ki,unho ne farmiya Khuda ki hamdo sana aur naat mustafa (s.a.w) ke baad!aye insarion!tum ne jo kuch apne fazal wa khair ke bare ma kaha hai tum waqai ais ke eihal ho ,

Ma tamam Arabon ki ba nisbat ais baat ko ziyadah janta hon aur ais bina per keh sakta hon ke Quraish nasab ma aust al Arab aur sakoonat ke lehaz se bhi wast Arab ke bashende hain lehaza khilafat khas Quraish hi ka haq ho sakta hai,phr mera aur Abu Abaida ka hath paker ker aap ne farmiya ke tum ain ma se jis se chaho bait ker lo ma tum se khosh hon!(mujhe ye baat pasand ho gai ke ain ma se kisi se bait ker lo.) Hazrat Abu Baker (R.A) ne taqreer ma jo kuch farmiya ma ais se bilqul mutafiq tha lakin jab aap ne bait khilafat ke liye mera naam paish kia tu mujhe nagawar guzra ,Khuda ki qasam meri garden ager mar di jati tu mujhe itna nagawar na muloom hota ba nisbat ais kay ke ma asi qoam per hukmarani karon jis ma Abu Baker (R.A) jaise  shaks majood hon .Itne ma aik Insari ne kaha ke hum wo hain ke Quraish (hamrai bahduri ke baais) hum per bharosa kerte hain aur hum se nafa andooz hote hain(yani hum bhi Quraish se kam nahi)pas behter ye hai ke aye Quraish !aik ameer hum ma se ho aur aik Quraish se!ais per shoro ghaogha hova aur mujhe andesha hova ke kahain fasad na ho jaye chaunacha 

Ma ne Hazrat Abu Baker (R.A) se khaha ke apna hath berhaiye unhon ne apna hath barhiya aur ma ne sab se pehle ainke hath per bait ker li phr mere baad tamam(majood) majharin ne bait khilafat ki aur mahjarin ke baad insar ne! Khuda ki qasam! ais waqt khilafat ke liye Abu Baker(R.A) se ziyada mauzou aur behter koi shaks na tha jis ki bait ki jati ,ilwa azain ye khof bhi daman geer tha ke baghair bait ke ye majlees berkhasat na ho ke ais nazak waqat per muslamano ma aik ameer wa hakim ki shadeed zaroorat thi ager hamrai adam majoodagi ma (Saqeefah Bani Sadah ma) kisi ke hath per bait ker li jati tu phr hum bhi apni marzi ki khilaf aisi ke hath per bait karte take kisi qisam ka fitna fasad paida na ho. 

Nasai Abu Yaali (r.a) aur Hakim(r.a) ne Ibn Masood (R.A) se biyan kia hai ke risaalat maab (S.A.W) ke wisal per insar ne ye tajweez paish ki aye Quraish aik ameer tum se lia jaye aur aik hum ma se ye sun ker Hazrat Umer(R.A) Bin al Khittab ne ain ke pas ja ker farmiya aye maasher al insar !kia tum nahi jante ke Rasool Allah(S.A.W) ne Hazrat Abu Baker (R.A) ko hukam diya tha ke "tum logon ki imamat karo".Ab tum ma aisa kon hai jo ain se barh jane ka khiyal apne dil ma laye,ye sun ker insar ne kaha ke panah Bakhuda!hum Abu Baker (R.A) se paishqadami ka khiyal bhi nahi ker sakte!(hum ain se behter kabhi nahi ho sakte).

Ibn Saad Hakim aur Behaqai ne Abu Saeed Khadri(r.a) se rawiyt ki hai ke jab Rasool (S.A.W) ka intaqal hova tu log Saad Bin Ibadah(r.a) ke mukan ma jama ho hove ain logon ma Hazrat Abu Baker (R.A) aur Umer Farooq(R.A) bhi the ,sab se pehle aik insaari muqarer khare hove aur unho ne ais tarah khittab kia ke aye mahjarin !tum ko mauloom hai ke jab Rasool Khuda (S.A.W) tum ma kisi shaks ko kahain ka aamil farmate the tu hum ma se bhi aik shaks ko ais ke sath kerte the ,pas hum aisi tarah chahte hain ke(ais khilafat ma bhi) aik admi tum ma se ho aur aik hum ma se ho,dosre insari muqarerain ne bhi aisi qism ki taqreerain kain.Ain ki taqreeron ke bad(Hazrat) Zaid Bin Sabit (r.a) kahre hove aur unho ne farmiya logo! kia tum ko mauloom nahi ke Rasool Allah (S.A.W) mahjarin ma se the lehaza aab ain ka khalifa mahjarin ma se ho ga.Aur jis tarah hum pehle Rasool Allah ke insar the aab aisi tarah khalifa Rasool Allah ke insar aur madadgar rahain gaye ye keh ker Hazrat Abu Baker (R.A) ka hath pakra aur kaha ke aab ye tumhare sahab wa wali hain ye keh ker Hazrat Zaid Bin (R.A) Sabit ne aap se bait ki ais ke bad Hazrat Umer(R.A) ne ais ke bad bad tamam mahjarin ne phr tamam insar ne ap se bait ki.Ais ke bad Hazrat Abu Baker (R.A) manber per tashrif lay gaye aur hazarin per aik nazer dali tu ais majma ma Zubair (r.a)ko nahi paya tu aap ne Zubair ko talab farmiya .

Jab(hazrat) Zubair(r.a) aye tu Hazrat Abu Baker (R.A) ne farmiya ke aye Zubair(r.a) tum Rasool Alllah(S.A.W) ki phoophi ke baite aur ain ke havari(sahabi)ho ais per tum muslamano ki kamar torna chahte ho ye sun ker unho ne kaha aye khalifa e rasool aap kuch fikar na karain aur ye keh ker kahre hove aur aap se bait kar li,Hazrat Abu Baker (R.A) ne majma per phr nazer dali aur wahan(hazart)Ali(R.A) ko majood na paya tu farmiya Ali(R.A) bhi nahi hain ain ko bala lao.Jab Hazrat Ali Karam Allah Wajah tashreef laye tu aap ne farmiya ke "aye Ibn Abi Talib tum Rasool Khuda(S.A.W) ke Ibn aam aur ain ke damad ho ker islam ko kamzoor karna chahte ho"unho ne bhi Zubair(r.a) ki tarah kaha ke aap fikar na karain yakhalifa Rasool Allah aur ye keh ker bait ker li.    

Ba silsala bait Hazrat Abu Baker (R.A) chand dosri rawiyaat   
     
Ibn Ishaq Sirat ma likhte hain ke Anas(r.a) Bin Maalik kehte hain ke jab bait saqeefah ho chuki tu dosre roz Hazrat Abu Baker (R.A) manber per tashreef lai gaye qabal ais kay ke aap taqreer karain Hazrat Umer(R.A) kahre hove aur aap ne bad hamd wa saalat ke farmiya ,logo!Allah Tallah ne Rasool Allah (S.A.W) ke sahab khas aur yar e ghar ko tum per hakim bana diya hai jo tum ma sab se ziyada behter aur ache hain ais liye kahre ho jawo aur bait aam ker lo!tamam logon ne ais waqat aap se bait aam ki ,ye bait ,bait saqeefah ke bad waqiah hovi.

Ais bait aam ke bad Hazrat Abu Baker (R.A) manber per kahre hove aur aap ne hamd wa sana ke bad farmiya !muslamano!tum ne mujhe apna ameer banaya hai agercha ma ais qabil nahi tha!aab ager ma bhalai karon tu tum meri madad karna aur ager mujh se burai sarzad ho tu mujhe malamat karna.Sadq imanat hai aur kazab aik khiyanat hai ,tum ma se jo zaaif hain wo mere nazdeek ais waqt tak qawi hain jab tak ma ain ka haq na dalwa don(inshallah) aur jo tum ma qawi hain wo ais waqat tak zaaif hain jab tak ain se dosron ka haq na dalwa don(inshallah) yad rakho jis qoam ne jehad fi sabilallah chor diya wo khawar ho gai aur jis qoam ma badqari phail gai Allah Tallah ne ain ko bala ma giraftar ker diya.Muslmano!jab tak ma Allah aur ais ke Rasool (S.A.W) ki pairvai aur itaat karon tum meri itaat aut itebah karna aur jab ma Allah aur ais ke Rasool(S.A.W) se rougarani karon.(Al iyaz Ballah) tu phr meri itaat tum per wajib nahi rahe gai!pas !aab chalo namaz perho!Khudawand Tallah tum per reham farmaye!   

Mosa Bin Aqbah ne apne Maghazi ma likha hai aur Hakim ne Abdul Rehman Bin Khouf se rawiyt ki hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) ne ais din ye khutaba irshad farmiya:-    
WaAllah mujhe din raat ma kabhi imarat ka shoq nahi hova aur na ma ne kabhi ais ki hiras ki na ma ne Allah Tallah se ais ke liye zahir wa batin ma dawa mangi (ke mujhe khilafat mil jaye) asal ye hai ke mujhe dar the ke kahain fitna barpa na ho jaye ,mere liye khilafat ma koi rahat wa sakoon nahi hai,mere kandhon per aik bhari bojh rakh diya gaya hai inshallah bataiadayaizdi ais amar dashwar ko injam tak pohnachane ki khoshish karon ga,mujhe Allah ki taqat aur qowat per pora pora bharosa hai."     

Ye taqreer sun ker Hazrat Ali (R.A) aur Hazrat Zubair(R.A) ne kaha ke hume bari nidamt hai ke hum meshwara khilafat ma ap ke sath nahi the halanke hum khob jante hain ke Hazrat Abu Baker (R.A) hi tamam logon ma khilafat ke sab se bare haqdar hain kyunke aap Rasool Allah (S.A.W) ke yar e ghar hain.Hume aap ke sharf wa buzargi ka ilm hai aur ye bhi jante hain ke Rasool Allah(S.A.W) ne apni hiyat tayyaba ma aap ko imamat ka hukam farmiya tha.

Ibrahim Tameemi ki rawiyt:-

Ibn Saad(1) ne Ibrahim Tameemai se rawiyt ki hai ke jab Rasool Allah (S.A.W) ka wisal hova tu Hazrat Umer (R.A) Abu Abaida Bin al Jarah ke pas tashreef laye gaye aur ain se kaha ke aap ko Rasool Allah(S.A.W) ne ameen al amat ka khittab diya hai laiye apna hath berhaaye ma aap se bait khilafat kerta hon.Abu Abaida (r.a) ne farmiya ke aye Umer(R.A) ma tum ko bara fateen aur hoshmand samjhta tha aaj tum ais qader susat raye kyo ho gaye ho ke mujh se bait kerte ho halanke tum ma Sadiq(R.A) sani asnain jaise azeem hasti majood hai.

Ibn Saad ne berrawiyt Muhammmad(Ibn Abi Baker(R.A) se biyan kia hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) ne Hazrat Umer (R.A) se farmiya ke apna hath berhao taake ma tum se bait karon ye sun ker Hazrat Umer(R.A) ne farmiya aap mujh se afzal hain, Hazrat Abu Baker (R.A) ne farmiya lakin tum mujh se qavi ho,yehi baat do(2)bar doharai .Hazrat Umer(R.A) ne farmiya ke meri ye qowat bhi aap hi ke liye hai,aap ke fazal ,buzargai ke sath sath !ye keh ker Hazrat Umer(R.A) ne aap se bait ker li.

Abdul Rehman Bin Auof ki rawiyt:-

Abdul Rehman Bin Auof kehte hain ke Rasool Allah(S.A.W) ki wafat ke waqat Hazrat Abu Baker (R.A) kuch logon ke sath Madina Manwara se dour the aap ki wafat ki khaber sun ker aap Madina Manwara se tashreef laye aur hazir khidmat ho ker raoye anwar se chader mubarak hatai aur roye mubarak per bosa diya aur kaha ke mere maa baap aap per qurban !jaise aap zindagi ma khobaro the waise hi aap bad wafat bhi khubsurat hain,Rab Kaaba Ki qasam Muhammad(S.A.W) ka inteqal ho chuka.

Abdul Rehman (R.A) Bin Auof kehte hain ke ais ke baad Hazrat Abu Baker(R.A) aur Hazrat Umer Farooq(R.A) insar ke pas tashreef laye gaye, Hazrat Abu Baker (R.A) ne wahan pohnch ker aik taqreer farmai, isnaaye taqreer ma aap ne wo tamam ayaat wa ahadees jo insar ki shan ma warid hovi thain biyan farmain aur irshad farmiya ke tum ko mauloom hai ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya hai ke ager log aik wadai ki taraf jayain aur insaar dosri wadi ki taraf tu ma insar ki taraf jawon ga aur aye Saad tum ko yad ho ga ke Rasool Allah(S.A.W) ne farmiya tha ke khilafat Quraish ka haq hai,naikokar naikon ki aur badkar ,gunnahgaron ki pervai aur itaat karain gaye .Ye sun ker Saad ne jawab diya ke aap bilqul sach farmate hain ke aap log (Quraish) hakim hain aur hum log (insaar) aap ke wauzra hain.

Abu Saeed Khudri ki rawiyt ;-

Ibn Aasker Abi Saeed Khudri se rawiyt kerte hain ke Hazrat Abu Baker (R.A) ne bait ke baad baaz logon per nagawari ki asraat deikhe pas aap ne farmiya aye logo!kon si bat tum ko nagawar guzari hai ,kia ma khilafat ka ziyada haqdar nahin hon?kia ma sab se pehle muslman nahi hova ,ais jumle ko aap ne teen bar dhuraya phr aap ne apne kuch khasail wa fazail biyan farmaye.

Ahmed ne Rifay al Tai ke havala se biyan kia hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) ne apni bait ka waqiah insar wa Hazrat Umer(R.A) ke aqwal biyan kerte hove farmiya ke sab ne meri bait ker li aur ma na khilafat ka bojh ais liye sanbhal liya ke fitna fasad phail ker logon ke martad hone ki waba na phail jaye Ibn Ishaq wa Ibn Abid ne kitab Magahzi ma Rafay Taai ki zubani likha hai ke ma ne Hazrat Abu Baker (R.A) se daryaft kia ke aap tu mujhe dou(2) aadmion ka bhi ameer banane se mana farmiya kerte the phr aap ne ais amar khilafat ko kaise qabool farma liya?aap ne jawab ma farmiya ke ma ne ais ko zaroori samjha mujhe andesha hova ke kahain umaat Muhammadi(S.A.W) tafrqa ma na per jaye.

Qais(r.a) Ibn Abi Bazam kehte hain ke aik roz ma Rasool Allah (S.A.W) ki wafat ke aik(1) maha bad  Hazrat Abu Baker (R.A) ki khidmat ma pohncha tu aap ne bait ka tamam wa kamal wa majra mujh se biyan farmiya ,kuch dair bad juma ki azan ho gai aur namazi jama ho gaye ais waqt aap manber per tashreef lai gaye aur farmiya hazarin!ager tum chaho tu dosre shaks ko apna khalifa bana sakte ho!mujhe ye bat bakhushi manzoor hai.Aise liye ke mujh se ye bar nahi othiya jata,mujhe bhi shitaan ka khatka hai.Shittan se tu bas wohi masoom rah sakta hai jis per wahi nazil hoti ho.
     
Ibn Saad Hassan Basri(r.a) se rawiyt kerte hain ke bait ke bad Hazrat Abu Baker (R.A) manber per tashreef laye gaye aur farmiya ke amar khilaafat mere sapurd kia gaya hai aur mujhe ais se khushi nahi hai,Khuda ki qasam ager tum ma se koi shaks ais bar ko apne zima lai lai tu behter ho ga.Aab jab ke tum ne ye zime dari mujh per dali hai tu tum ais waqt tak meri itaat karo jab tak ma Rasool Allah(S.A.W) ki pervi kerta rahon ,Serkar do aalam (S.A.W) per wahi nazil hoti thi wo sab se akaram aur mausoom the aur ma aik mamoli insan hon aur tum ma se kisi se bhi ziyada mere ander khobian nahi hain ,jab tak tum mujhe rahe e raast per deikho meri itaat karna jab zara bhi farq pawo mujhe malmat karna,yad rakho ke shiatan mere sath bhi hai,jab mujhe ghusa aye tu mujh se alag ho jawo.Mujhe tum per koi tarjeeh hasil nahi hai.

Malik Bin Arwa ki rawiyt;-

Ibn Saad aur Khattib ne Malik Bin Arwah se biyan kia hai ke jab Hazrat Abu Baker (R.A) khalifa hove tu aap ne logon se hamd wa salaat ke bad ais tarah khittab farmiya-
"Ima bad (bad hamd wa salaat)logo!ma agercha tumhara ameer ho gaya hon lakin ma tum se behter nahi hon ,lakin quran sharif nazil ho chuka hai aur Nabi(S.A.W) ne hume sunaaton per chalna seikha diya hai aur hum achi tarah (ihkam shariat) jan bojh gaye pas aye logo!samjh lo ke dansihmand wohi hai jo mutaqi hai.Aur sab se ziyada fasiq wa fajir hai wo hai jo sab se ziyada aajiz hai .

Mere nazdeek tum ma jo sab se ziyada kamzoor hai wo sab se ziyada qavi hai jab tak ma is ka haq qavi se na dalwa don aur mere nazdeek tum ma se sab se ziyada qavi , zaaif hai jab tak ke ma ais se logon ka haq na le lon logo!ma sunnat ki pervi karne wala hon,deen ma nai nai batain paida karne wala nahi hon pas ma naiki karon tu muj se taawun karna ager mujh se lagharish ho jaye tu mujhe rahe e raast per le ana.Bas mujhe itna hi kehna tha.Aab ma apne aur tumhare sab ke liye mughfarat chahta hon."

Imam Malik(r.a) ne farmiya hai ke koi shaks ain sharaiat mandarja bala se ajiz ho ker imam nahi ban sakta.Hakim ne apni mustadrak ma Hazrat Abu Huraira(R.A) se rawiyt ki hai ke jab Rasool Allah (S.A.W) ka wisal ho chuka tu Madina Munawara ma aik ajeeb shoro shoab barpa ho gaya.Abu Qahafa ne logon se pocha ke kaisa shor o shoghab hai?logon ne bataya Rasool Allah (S.A.W) ne rehalat farmayi!ye sun ker kaha afsos bohat bara sahneha ronama hova kaise bardasht kiya jaye ga.Phr unho ne daryafat kia ke aap ke bad kis ko intezam(amar) sapurd hova hai logon ne kaha ke aap ke farzand ko khalifa banaya gaya hai.Unho ne kaha ke kia ais bat (Abu Baker(R.A) ki khilafat) per Bano Abad Manaf aur Bano Maghira razi ho gaye hain.Logon ne jawab diya jee han!!ye sun ker aap ne farmiya jis ko Allah bulandi per pohnchata hai ais ko koi garane wala nahi hai aur jis ko wo gira de ,ais ko koi bulandi per nahi pohncha sakta.

Yaum wa tareekh bait;-

Waqadi(r.a) ne Hazrat Ayesha(R.A) ke havala se Ibn Umer(R.A),Saeed(R.A) Bin al Maseeb(wagaira hum) ke tarq se biyan kia hai ke Hazrat Abu Baker (R.A) ki isi roz bait ki gai jis roz Hazoor (S.A.W) ka wisal hova .Yani barroz dou Shanaba 12 Rabi ul Awwal 11 hijri.Hazrat Abu Baker (R.A) se bait ki gai.

Hazrat Abu Baker (R.A) manber per Rasool Allah(S.A.W) ki jagah nahi bhaithe;-
Tabarani ne aust ma Hazrat Ibn Umer(R.A) ke havala se biyan kia hai ke tazeesat Hazrat Abu Baker (R.A)  manber per ais jagah nahi bahithe jahan Hazoor (S.A.W) tashreef farma hote the,aisi tarah Hazrat Umer Farooq(R.A) ,Hazrat Abu Baker(R.A) ki jagah aur Hazrat Usman Ghani (R.A) ,Hazrat Umer(R.A) ki jagah per jab tak zinda rahe kabhi nahi bhaithe.

Ibn Saad jin ki mashoor tasneef Tabqat hai aur Tabqat Ibn Saad ke nam se meshoor hai.

Maneen Zakat wa Martadeen se jang:.

Hazrat Umer(R.A) farmate hain ke jab Rasool Akram(S.A.W) ka wisal ho gaya tu Arab ke baaz log martad ho gaye aur unho ne kaha  ke hum namaz tu perhain gaye lakin zakat nahi dain gaye.Pas ma Hazrat Abu Baker(R.A) ki khidmat mahazir hova .Aur ma ne aarz ki aaye Khalifa Rasool Allah(S.A.W) logon ki taalif qaloob kijiye aur ain ke sath rafiq aur narmi ka bartao kijiye .Ye log tu bilqul janwaron ki tarah hain.

Ye sun ker Hazrat Abu Baker(R.A) ne farmiya ke mujhe tu tum se bharpor tawun ki umeed thi aur tum mujhe hi past kiye daite ho,tu eihad e jehaliat (qabal isalm )ma tu bare jari  aur bahadur the.Islam  qabool karne ke bad ais qader kamzoor par gaye.Batao ma kis tarah (kis zariya se)ain ki taalif qaloob karon?ain ke sath batain banawon ya ain per afson aur jaduoo karon,afsos sad afsos Hazrat Risalat Maab(S.A.W) inteqal farma gaye aur wahi ka silsala band ho gaya!Wallah jab tak mere hath ma talwar hai ma zakat na daine walon se aus waqt tak jehad karon ga jab tak ke wo zakat ki pori raqum ada na kar dain,Hazrat Umer(R.A) ne farmiya ke ais mamla ma Hazrat Abu Baker(R.A) ka ma ne apne se bhi ziyada mastad aur ajraey ihkam per sakht paya ,Hazrat Umer(R.A) farmate hain ke mujh se ye bhi farmiya ke jab tum ko ain ka hakim banaya jaye ga  tu ais qat tum ko ghumghasari ka hal mauloom ho ga.

Abu al Qasim Baghvoi(r.a) aur Abu Baker Shafi(r.a) apne fawaid ma aur Ibn Aasker Hazrat Ayesha(R.A) se biyan kerte hain ke Rasool Allah(S.A.W) ke wisal ke bad nifaq ne sir othaiya ,Arab murtad ho gaye aur Insar ne bhi aleidahgi ikhtiyar ker li ,itni mushkilain jama ho gayain ke ager itni mushkilat pahar per partain tu wo bhi ais bar ko na otha sakta lakin mere walid Abu Baker(R.A) ne zaberdast isteqlal se har aik mushkil ka mauqabla kiya aur har aik ka hal nikala.

Sab se pehle tu ye darpaish hova ke Rasool Akram(S.A.W) ko kahan dafan kiya jaye.Ais silsale ma sab khamosh the lakin walid majid ne farmiya ke ma ne Rasool Allah(S.A.W) se suna hai ke "har aik nabi wahain dafan hota hai jahan ais ka inteqal hota hai"Dosra qaziya Hazoor ki meeras ka paida hova ais silsala ma bhi sab khamosh rahe (koi bhi ais mushkil ko hal na kar saka)Hazrat Ayesha(R.A) farmati hain ke ais masla ko bhi walid mohtarum ne hal  kia aur aap ne farmiya ke  ma ne Rasool Allah(S.A.W) se suna hai ke aap farmate the:hum garho ainbiyah ka koi waris nahi hota  hamara tarka sadqa hai." 

Bauz Ulema ais silsala ma kehte hain ke sab se pehle ikhtalaf jo sahaba karam(r.a) ke mabeen waqiah hova wo ye tha ke bauz ne kaha Hazoor(S.A.W) ne kaha ke Hazoor(S.A.W) ko Makkah ma dafan kiya jaye ke wo sheher aap ka molid hai(aap ki wahan wiladat hovi) bauz kehte hain the ke aap ko aap ki masjid hi ma dafan kiya jaye ga,kuch ne kaha ke jannat al Baqeeh ma dafan kiya jaye aur bauz ashab ne kaha ke Bait ul Muqadas ma tadfeen amal ma layi jaye jo madfan ainbiyah(a.s) hai,yahan tak ke walid muhtarum ne ain ko jo kuch wo jante the ais se agah kiya.(aur Hazrat Ayesha Sadiqa(R.A) ka hijra mubarak hi aap ka madfan bana.)

Ibn Zinjoiya(r.a) kehte hain ke ye shan Hazrat Abu Baker(R.A) hi ki thi ke ager kisi masala per  aap ki raye tanha hoti thi tu tamam mahjarin wa insar aap ke wafur ilm ke baais aap hi ki raye ko tasleem karte aur apni raye se rojou ker laite the Behqi aur Ibn Aasker(r.a) Hazrat Abu Huraira(r.a) se rawiyt kete hain ke wahid la shrik la ki qasam ager Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) khalifa muqarer na hote tu roye zameen per koi bhi khuda ki ibadat na kerta .Aisi tarah aap ne apni qasam ko teen bar dohriya.Logon ne aap se kaha ke aye Abu Huraira(r.a)ye aap kis (dalil ki) bina per keh rahe hain.

Aap ne farmiya ke Rasool Akram(S.A.W) ne Usama Bin Zaid ko saat sou(700) faujiyon ka ameer lashker muqarer karke sham ki taraf rawana kiya tha.Abhi Hazrat Usama(R.A) ka lashker maqam zee khashab hi tak pohncha tha ke Rasool Allah S.A.W) ka wisal ho gaya aur ye khaber sun ker itraf Madina ke Arab murtad ho gaye ,Sahaba karam(r.a) Hazrat Abu Baker Sadiq(R.A) ki khidmat ma hazir hove aur kaha ke Usama Bin Zaid(r.a) ke lashker ko wapis baula lijiye aur ais ko Rome aur Havali Madina ki taraf bhaij dijiye jahan Arab martad ho rahe hain ye sun ker aap ne farmiya ais Khuda ki qasam jis ke siwaey koi maubood nahi hai ke ager Rasool Allah ki (pak) biwiyon ke pawon kutay paker er ghaseetain (ke ye azeem tareen musibat ho gai)jab bhi ma ais lashker ko wapis nahi baolaon ga jis ko mere aaqa ne rawana farmiya tha aur na ais perchum ko sirangon karon ga jis ko aap ne lehriya tha.

Pas ap ne Usama(r.a)Bin Zaid ko agey  barhne ka hukam diya.Hazrat Usama(r.a) jis qabeeley se guzarte wo dehshat zadah ho jata  aur wo log kehte ke ager muslmano ke ager muslmano ke pas qowat aur taqat na hoti tu aise sangeen waqt ma hum per kharoj nahi kerte,aisi tarah agey barhte barhte Usama (r.a) saltannat Rome ki hadood ma ja pohnche !aur tarfeen ma mauqabla hova aur muslmano ka lashker fatahyab ho ker sahih wa salim wapis aa gaya aur islam ka bola bala hova.

Labels: , ,